Update 51 Shanaya discovers that…..​

Majid bhai ne Shanaya ke papa ka hath pakar kar kamre ke baahar aane ko kaha. Baahar nikalte hi Majid bhai ne kaha ke Shanaya ko akeli chod diya jae, ussne ek mahine ki mohlat maangi hai to thik hai de dete hein ek mahina fir dekhte hein kia kehti hai. Magar Shanaya ke papa ne kaha;

“Yaar mujhe to fikar hone lagi, kyun ussne ek mahine ka waqt manga? Kia baat ho sakti hai? Kahin pregnant vregnant to nahin abortion ke liye waqt maang rahi hai….kia apni Shanaya eisa kaam kar sakti hai bhala, tum eisa soch sakte ho?”

Majid bhai: “Are nahin yaar tum to ek farishte par shak karne lage yaar, Shanaya jeisi bachchi ke bare mein eisa sochna bhi gunah hoga mere liye. Hogi koyi majboori ya kuch, jawaan hai, mujhe to pyar vyar ka chakar lag raha hai, shayad usski zindagi mein koyi hai issi liye itni gumsum rehti hai aaj kal….mere khayaal se yehi baat hogi….ussko rehne do yaar mat majboor karo usse kahin kuch kar na baithe woh…. Uss se pyar se batein karo hamesha ki tarah aur iss baat ko bhool hi jao ek mahine tak thik hai? Samajh gaye nah yaar?”

Fir dhire dhire sab normal ho gaya Shanaya ke liye, ghar walon ne sawaal karna band kar diya aur ussko thoda bahot sukoon haasil hui. Aur fir wohi usska Samir ke yadon mein khoe rehna, usska lautne ka intezaar karna aur fikarmand rehna ke woh aega uss se milne ya khafa hi rahega yeh sab Shanaya ki ranjh ke wajah the.

Udhar Samir bekaraar tha ke kab baaki ke din khatam honge aur kab wapas jaega apna desh. Ghar walon se ziada ussko Shanaya ki chinta thi ab, aur woh bhi iss gham aur fikr mein tha ke Shanaya se keise milega, kia baat hui hogi vaghaira vaghaira…..

Karib 15 din eise hi guzre ek dusre ke yaad mein aur ek din kuch eisa hua jiss se Shanaya ki khushi ka inteha nah raha….. eisa kia hua aakhir? Chalo dekhte hein saath milkar…..

Ek Sunday ka din tha. Din ke karib 2 baje the jab Shanaya apne kamre mein araam kar rahi thi ke kisi ne main door ka bell bajaya. Jab koyi ata tha to aam taur par Shanaya kabhi nahin jaati thi darwaza kholne, ya to usska chota bhai ya parents kholte the. To Shanaya apne kamre mein hi rahi baahar nahin gayi. Aur kuch der baad ussko apne papa aur mummy ki awaaz sunaayi diye kissi se lounge mein batein karte hue. Koyi aya hoga Shanaya ne socha aur apni bed par leti rahi. Pata nahin kyun Shanaya ko ek ghutan si hone lagi aur ussko mann kiya jaanne ke liye ke kaun aya hai usske parents se milne. Magar iss se pehle ke woh uthkar jaati dekhne ke liye usski chhoti behen kamre mein aayi aur kaha;

“Didi dekho kaun aya hai!”

Shanaya ne uss se poocha, “Kaun aya hai hmm? Bata!”

Behen: “Tum hi dekhlo aur batao kia tumko yaad hai woh kaun hai”

Heyrani ke saath apni behen ko dekhte hue Shanaya ne apne kamre ke parde ko hatate hue lounge mein jhankne ki koshish kiya to dekha ek aadmi usske mummy papa se baat kar raha hai, uss admi ka chehra pura nahin dikh raha tha, Shanaya ko hatt kar dusre aur jaana pada, wahan ka parda hataya aur dekha ke woh aadmi jo apne bête ke liye ek baar rishta lekar aya tha Shanaya ke liye woh baitha baatein kar raha hai…… ( Shanaya ke paap aur who dost ban gaye the idhar se guzar raha tha to chala aya milne aaj) Shanaya ka dil zor se dhadka aur wapas apni chohti behen ko dekhte hue kaha, “tumko yeh aadmi ab bhi yaad hai?! Keise?”

Choti behen boli, “Are tu bhool gayi hum usske yahan usske bête (missed jiju) ke shaadi mein gaye the ?!”

Tab Shanaya ne kaha, “oh achchah achcha ab yaada aayi….. magar turant Shanaya ka mann khanka achanak aur jaldi se uss jagah par firse gayi uss aadmi ko dekhne…. Aur uss waqt Shanaya ko usska woh beta yaad aya jo bilkool chup chap ussske bagal mein baitha tha jiss din woh Shanaya ko dekhne aya tha…Shanaya ussko chhup chhup kar dekh rahi thi, woh bilkool alag tha auron se, ekdum khamosh aur Shanaya ka dil iss kadar zor se dhadakne laga kyunke ussko uss ladke ki enkhen yaad aayi jo uss waqt Shanaaya ne ghaur se dekha tha AUR YEH WOHI ENKHEN THE JO SAMIR KA HAI JISSKO TV PAR DIKHAYA GAYA THA ZOOM KARKE!!! Shanaya ke jism kaampne lage usske haath peyr kamzor par gaye, usski maathe par pasina chalak gaya aur ek pal ke liye usske enkhon ke saamne jeise andhera chaa gaya…woh pardah pakar kar apne aap ko sambhaal hi rahi thi ke daud kar usski behen ussko thaamne aayi yeh poochte hue, “didi kia hua. Kia hua tumhein, chakkar aya kia? magar kyun?”

Shanaya gehri sansein le rahi thi aur apne haath ko apne seene par dabae hui thi, muskura rahi thi magar kuch bol nahin paa rahi thi…..usske enkhon se ensoo behne lage, khushi ke ensoo…choti behen poochti rahi ke kia maajra hai kyun hanss bhi rahi hai aur ensoo bhi beh rahe hein….. Shanaya ko sab yaad agaya aur ab usske samajh mein aya ke kyun Samir ko dekh kar ussko laga tha ke uss se usska koyi naata hai….woh to ussko ussi din apna dil de baithi thi, ussko chahne lagi thi aur socha tha ke woh Shanaya ka intezaar karega….magar ussne to shadi kar liya tha…. Shanaya ke samajh mein nahin araha tha ke ab kia karein…Samir uss se apna chehra chhupa raha hai magar Shanaya ko usska chehra yaad hai aur maloom hogaya ke uss naqaab ke piche kisska chahra hota hai….

Phir bhi apni tassali ke liye Shanaya ne apni behen ko lounge mein bheja aur uss aadmi se poochne ko kaha ke jiss bête ki shaadi mein woh gayi thi usska naam kia hai aur kia kaam karta hai. Choti behen gayi lounge mein aur poocha;

“Uncle hum aap ke yahan aap ke bête ke shaadi mein aaye the yaad hai nah aapko?”

Samir’s father: “Han beta yaad hai mujhe kyun?”

Behen: “Uncle aap ka uss bête ka kia naaam hai?”

Father of samir: “Usska naam Samir hai beta”

Behen “woh kiaa kaam karta hai uncle?”

Father of Samir: “Beta tum ne TV par ussko dekha hoga, woh Comando hai abhi kuch din pehle terrorist ne kidnap kiye the kuch bachchon ko woh helicopter se bachon ko bachaaane gaya tha….”

Shanaya sab sun rahi thi aur woh zoron se ro padi sab sunte hue….. aur khud se rote hue Shanaya bolti gayi, “Woh mera Samir hai, main ne kyun shaadi se inkaar kiya tha uss waqt kyun? Aaj woh mera hota, mera rape to nahin karta woh…. Uss par kia beetega jab ussko pata chalega ke uss ne mera hi rape kiya hai…. Hey Bhagwan keisa keisa khel kehlta hai tu, agar Samir hi meri zindagi ka humsafar tha to kyun hum donon ki bicharne diya tha uss waqt, kyun ab ussko mere saamne laaye ho….. ab mujhe usska fikar ziada ho raha hai…ussko issi ghar mein dobara ana hoga kia guzrega uss par jab main usske saamne aungi iss ghar mein?!! Woh mera SAMIR HI HAI… WHO MERA APNA Samir hai, main usska intezaar kar rahi hoon, woh ship par gaya hua hai ab 15 din baaki hein ussko lautne mein…. Main kitna khush hoon magar uss se keise yeh sab bataungi ab!! Mujhse nahin kaha jaega yeh sab? mujhse nahin hoga…..

Shanaya ro bhi rahi thi usska dil machal bhi raha tha ke usska aashik hi usska rapist nikla…. Magar ab rape ki koyi ehmiyat to nahhin thi kyun ke pyar jo hai ussne sab buraiyon ko dhank diya tha…ek pyar hi hai jo eise chizon par mitti daal kar daba sakta hai…aur rape ki yaad to ab Shanaya ke mann mein ata hi nahin tha balke ab ussi haadse ko pyar se sochti thi…usske liye ab woh pyar ke kuch ajib lamhe the uss gadde mein uss roz….. magar uljhan sirf yeh thi ke kia Samir bhi eisa hi sochega ya usske dil ko sadma lagega yeh sab jaan kar…isska darr tha Shanaya ko…..

To be continued…………….

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.