Update 62 Trouble again​

Apne baap ke saath ghar aakar Samir ko bahot achchah laaga. Jab apni maa, bhai, behen se mila to aur bhi ziada khushi hui usse. Lagta tha ke bichad gaya tha inn sab se aur ab dobara mil raha hai. Ek ajeeb si khushi hui usske andar jinn se usske rooh ko bahot araam mila.

Samira ki bewafai ki vajah se ghar mein sab ke mazboot support mila Samir ko. Sab usske saath the aur uss se samir ko bahot achah mehsoos hua. Apnon ka saath kuch aur hi hota hai. Ek ehmiyat thi usski iss ghar mein aur woh ab bhi barkaraar tha.

Aakhir mein Shanaya ki baat chali ghar mein sab ke beech aur sab bahot khush the ke Samir ko koyi aur mil gaya, woh bhi jo pehle se usska hone wala tha. Samir ki behen ne Shanaya ke bare mein poocha Samir se to jiss tarike se Samir ne Shanaya ke bare mein bayaan kiya usski masoomiyat, vyohaar aur aur khubiyon ke bare mein to Samir ki maa aur usski behen Shanaya ko dekhne ke liye machal pade. Aur baap ne kaha;

“Main ne issi liye ussko tumhare liye passand kiya tha. Do saal pehle jab woh university ki student thi tab se main ussko jaanta hoon. Jab woh jaati thi tabhi main ne Sharma ji se ek din kaha tha main teri beti ko ek din apni bahu banaunga. Tere liye ussko chunn liya tha main ne ya yun kaho ke vidhata ne mere munh se woh baat kehelwayi thi Sharma ji se. Magar tum to tab raazi hi nahin the shaadi ke liye. Mujhe uss ladki mein sab woh gun dikhaayi diye the jo ek achchi ladki mein hona chahiye. Khair ab kismat ne tum donon ko mila diya to badi khushi ki bat hai main Sharma ji se baat karunga.”

Tabhi Samir ka phone bajta hai aur woh Shanaya ka hi hi call tha aur Samir phone lekar apne kamre mein chala jaata hai aur ghanton bhar Shanaya se baat karta hai. Shanaya bata deti hai ke usska papa wapas agaya magar kissi ne usske bare mein abhi kuch nahin bataya hai ussko, isss liye ke Shanaya chahti hai ke Samir khud pehle uss se miley tab baad mein samir ka papa unn se miley. To kal ke liye dobara Samir ko usske ghar ane ko kaha Shanaya ne. Aur donon mein tey hua ke kal office jab Shanaya niklegi to Samnir ussko wahan se ghar lejaega aur tab Shanaya ke papa se milega.

Dusre din shaam ko Samir Shanaya ka intezaar kar raha tha office se nikalne ko. Woh aayi, Samir ke seene se lipti aur thodi der baad donon Shanaya ke yahan pahunche. Shanaya ne apne papa se keh diya tha aaaj shaam ko jaldi wapas ane ko kyunke ussko kissi se milwana tha. To papa ghar par wait kar rahe the. Shanaya ko thoda darr tha ke kahin uske papa inkaar nah kare kyunke Samir ka shadi ho chukka tha pehle……aur issi baat ka Samir ko bhi darr tha.

Jab ghar agaye to Shanaya ne apne papa ko samir se milaya aur kaha, “Papa yeh Samir hai aap ke dost ka beta jo ek baar mujhko dekhne ko aaye the yahan par tab main shaadi nahin karna chahti thi, aur aaj yehi mera passand hai, aap se kaha tha nah ke ek mahine baad aap ko sab bataungi…….” Iss se pehle ke Shanaya apni baat ko pura karti baap ne beech mein tokte hue poocha; “Magar isski to shadi to shaadi ho chuki hai, hum gaye the isske shaadi mein!” Shanaya thodi si ghabraayi aur kaha, “ho chuki thi papa, magar ab tut gayi hai yeh ab free hein!!”

Shanaya ke pita ne gambhirta se Shanaya ko dekha, fir Samir ke taraf dekhte hue poocha, “Shaadi ka tutna koyi khel nahin hota, kia baat hui thi? Kyun tuta tumhara shaadi?” Iss se pehle ke Samir jawaab deta Shanaya ne beech mein kaha, “Papa main ne mummy ko sab kuch bata diya hai aap mummy se pooch lena.” Tab Mister Sharma ne bahot gambhirta se Shanaya ko dekhte hue kaha; “Beta tum andar jao main Samir se baat karta hoon baad mein tumse baat karunga jao tum abhi.” Shanaya iss baar bahot ghabra gayi aur ussko wahan se jaana pada. Apne baap ke baton ko ussne aaj tak kabhi nahin taala tha. To Sharma ji ne Samir se kuch der baat kiye. Samir bilkool bahadur tha aur usska saamna karte hue usske sabhi sawaalon ka saaf saaf jawaab diya. Lagta tha ke Sharma ji iss milan ke khilaaf tha. Ussko sahi nahin lag raha tha Samir aur Shanaya ka milna. Woh khilaaf hi the jiss tarah se woh batein kar raahe the. Magar ussne Samir se aakhir mein yeh kaha;

“Well I need time to give you an answer my boy. Mujhe kuch waqt chahiye tab tak main nahin chahta ke tum Shanaya se milo, itna kar sakte ho? Usski baat kahin aur chal rahi hai abhi aur mujhko sambhaalna hai, main nahin chahta ke uss taraf ke ladke wale tumko Shanaya ke saath dekhe ya kissi tarah ke baat unn tak jaye tum donon ke bare mein! Hope you understand what I mean.”

Ye sunkar Samir ko jhatka laga aur usske samajh mein nahin aya ke woh kia jawaab de, magar ussne Sharma ji ke baton ko maan liya. Aur Samir bina Shanaya se mile wahan se chala gaya wapas apne ghar.

Samir ke jaane ke baad Shanaya ne apne papa se bahot poocha ke kyun Samir bina uss se mile chala gaya to baap ne kaha ke uss ke kehne par ussne eisa kiya. Shanaya apne papa se kabhi behez nahin karti thi, magar aaj woh zid kar rahi thi ke ussske papa ussko sab batein jo baat hui usske aur Samir ke beech. Aakhir mein baap ne Shanaya se kaha, ke ussne Samir ko ussko milne se mana kiya hai abhi ke liye. Ussne waqt manga hai Samir se, aur kuch din ke baad faisla karega ke kia karna hai usse. Shanaya rone lagi aur apne papa se rote hue kaha;

“Main ne pehli baar kissi ko chaha hai aur aap ussko mujhse door kar rahe ho? Main ne kabhi nahin socha tha ke aap eisa karoge papa! Kyun aap ne Samir ko mujhse milne se mana kiya, ab woh nahin aega mujhse milne shayad phone bhi nahin karegga kyun ke woh vade ka pakka hai aur kiya hua vada woh bhi hamesha nibhata hai, agar ussne aap ko mardon wali zuban diya hai to woh mujhko contact bhi nahin karega, aap ne eisa kyun kiya papa? Main aap se ab tab tak baat nahin karungi jab tak Samir mujhko contact nahin karega keh deti hoon aap ko!!”

Yeh kehkar aur ziada zor se rote hue Shanaya apne kamre mein chali gayi…aur Sharma ji ne apni wife ke taraf dekhte hue kaha; “are yeh to diwani ho baithi hai uss Samir ki?!! Yeh sab kab hua? Kab se jaanti hai yeh uss ladke ko?”

Raat bhar Shanaya samir ka phone ka wait karti rahi magar Samir ne nah ek sms bheja aur nah hi call kiya. Aakhir mein raat ke barah baje Shanaya ne khud Samir ko call kiya magar usska mobile off tha!!!

To be continued…………………

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.