Update 79 The Mountain People​

Donon Ruchi ke ghar karib jeise jeise bhadhte gaye Phool ki saansein badhti gayi aur uss mein ek khauff sa paida hua kyunke bachpan se ussko uss taraf jaane se mana kiya gaya tha to usske dil mein ek darr baitha hua tha bachpan se hi, aur jab paas aagaye to vihaan ne bataate hue kaha ,

“yeh dekho pehli baar main aya tha to yahan wo mera wait kar rahi thi”

Phool ne pucha,

“raat ke andhere mein wo yahan baahar wait kar rahi thi tumko?!”

Vihaan: “haan aur nighty mein thi!”

Phool: “acha ek ladki aap ko nighty mein beech raat mein yahan wait kar rahi to matlab saaf hai ke kiss liye bulaayi thi aap ko…”

Vihaan: “idhar aao aur yeh hai usski room ki khidki jahan se baaki ke raton ko main andar gaya tha aur wapas nikla bhi tha!”

Phool: “okay I see to ab aap darwaze par knock to karo, ya khidki ke paas ussko awaaz dekar to dekho nah mujhe gabrahat ho rahi hai!”

Vihaan ne khidki ke paas awaaz diya dhire se Ruchi ke naam phukaar ke magar koyi jawaab nahin aayi to ghar ke saamne wale darwaze ko knock karne gaya vihaan, aur Phool usske piche khadi vihaan ke baazu ko thaame khadi thi kuch kaampte hue.

Dastak dene ke koyi 3 minutes baad ek khubsurat aurat ne darwaza kholte hue kaha,

“Oh! Vihaan ji, aur tum zaroor Phoolvati hogi hai nah? aao andar aao, haan sun rahe ho aap Ruchi ki Saheli aur vihaan aaye hein milne aap aaiye to!”

Jab uss aurat ne kissi aur ko awaaz dekar bulaya ghar ke andar se to Vihaan aur Phool ek dusre ke chehre mein heyrat se dekhne lage ke Ruchi ki bhabi ko keise pata donon ke baare mein aur innko keise pata the ke yeh donon wohi log hein!

Donon ko baithne ko kaha gaya to vihaan ne uss aurat se pucha,

“aap ruchi ki bhabi honge nah? kia main ne sahi pehchana?!”

Bhabi ne ek khubsurat muskurahat ke saath haan mein sar hillate hue dobara kissi ko andar se awaaz dekar bulaya.

To Phool ne ab bhi vihaan ke baazu ko pakarte hue dhire se Vihaan se kaha,

“Pucho nah ke yeh hum donon ko keise pehchaanti hai!”

Vihaan ne dhire se Phool se kaha,

“are Ruchi ne bataya hoga nah? balke puchna chahiye ke Ruchi kidhar hai, main ussko ruchi ko bulaane ko kehta hoon ya kia pata wo ussi ko awaaz de rahi hai abhi!”

Tab tak ek aadmi aya ghar ke andar se aur kaha,

“hello mister Vihaan the French teacher, and Phoolvati, to aaj idhar keise ana hua?!”

Vihaan aur Phool donon ko zabardast shock laga ke yeh bhi donon ko achi tarah se jaante hein magar keise. Phool to aaj zindagi mein pehli baar dekh rahi thi donon ko. Inn donon ko keise pata hai Phool aur vihaan ke baare mein aur wo bhi itne detail mein? Keise innko pata ke Vihaan French teacher hai?

Vihaan aur Phool donon baukhlaaye jeise the aur Ruchi ki bhaiya aur bhabi ko ghurr rahe the, dekhne se donon bilkool wo nahin dikh rahe the jeise Ruchi ne unn donon ke baare mein bataya tha, bahot nek aur ache insaan dikh rahe the donon. Bhabi ji ne kaha,

“aap baithiye main kuch khane pine ko laati hoon.”

Vihaan ke munh se ek shabd nahin nikal raha tha, aur sirf soch mein dooba hua tha ke yeh ho kia raha tha…

Unnke living room mein sofe bahot khubsurat sajaaye hue the, cushions lage hue the, zameen par niche kaaleen the, sofe bahot keemti lag rahe the, ghar mein kaafi Roshni thi, aur ek khushbhoo jeise kissi phool ki fragrace feyli hui thi.

Vihaan ne himmat karke kaha,

“Hum Ruchi ko dhundte hue yahan aaye hein, please aap hamein bataayein ke kahan hai wo?”

Ruchi ke bhai ne muskuraate hue kaha,

“Wait kijiye usski bhabi ko aane dijiye nah saath milkar baat karte hein”

Phool vihaan se satt kar baithi thi, usske baazu ko ab bhi weise hi thaame hue jeise kissi chiz ko dekh kar jab koyi ladki darrti hai to keise chipak kar kissi ke baazu ko pakar leti hai, uss waqt Phool kuch weisi lag rahi thi. Aur Bhabi ji ek tray par kuch peene ki chizein aur kuch buscuits lekar aayi aur table par rakh kar apne pati ke paas baithi aur sabko serve karte hue kaha,

“Please have a drink.”

Vihaan aur Phool donon ne socha ke yeh donon achi English mein baat kar rahe hein, padhe likhe lagte hein aur aaj ke modern zamaane ke log lag rahe hein, aur bilkool bhi bure insaan nahin dikh rahe, yeh wo bilkool nahin the jeise Ruchi ne innko describe kiya tha.

Iss baar Phool ne bhabi se pucha,

“Ruchi 3 din college nahin aayi aur usski mobile bhi band aa rahi hai kia aap bata sakti hai ke wo kahan hai?”

Iss sawaal ko sunkar bhabi ji ne apne husband ke taraf dekha aur donon ek dusre se muskuraaye. Vihaan aur Phool donon ke chehre mein dekhte hue ek jawaab ko expect kar rahe the.

Ruchi ke bhai ne kaha,

“Humko yeh bataane ki bilkool ijazat nahin hai ke Ruchi kahan hai, yeh wo khud aap donon ko bataayegi waqt aane par!”

Vihaan ne heyraani mein kaha,

“dekhiye hum bahot pareshaan hein aur humko uss se baat karna bahot zaroori hai please bata dijiye nah, aur yeh bhi batayiye ke aap hum donon ko keise itni achi tarah se jaante hein? Hum to pehli baar aap se mil rahe hein!”

Aur turant Phool ne add kiya,

“haan aur main iss gaon mein 18 saal se rehti hoon aur aap donon ko to aaj pehli baar dekh rahi hoon to aap keise mujhko pehchaante ho?!”

Ruchi ke bhai ne kaha,

“Are Phoolvatti tum uss gaon mein rehti ho, hum uss taraf ke gaon se belong karte hein, to hamara sabhi taransactions uss taraf ke gaon se deal hota hai hum tumhare gaon ke taraf kabhi nahin jaate , iss khidki ke uss taraf dekho, uss dhalaan ko dekh rahi ho? Idhar se uss taraf jaana bahot ziada easy hai, idhar se car, van, vehicles sab aate hei easily magar jahan tum rahti ho uss chauraahe par jana padta hai tab bus ka wait karna padta hai tab sheher jaati ho nah? magar hum idhar se jaate hein aur bus wahan uss bade se makaan ke paas rukta hai usske baad bus mudhkar tumhare yaha uss chauraahe par jaati hai…..”

Vihaan ne pucha,

“To ruchi kyun uss taraf se nahin jaati thi wo kyun iss taraf se hamare yahan ke chauraahe par bus leti thi?”

Tab bhabi ne jawaab diya,

“Iss liye ke Ruchi ko iss dhalaan se utarne mein takliff hoti thi aur wapas upar chadhne mein usske peyr dukhte the jabke tumhare taraf jaane se flat rasta hai iss liye wo uss taraf jaati thi!”

Vihaan ka dimaagh ne jeise kaam karna bandh kar diya tha, Phool aur bhi baukhlaayi hui thi. Aur Phool ne dhire se vihaan ke kaan mein kuch kaha, tab vihaan ne Ruchi ke bhai se kaha,

“Aap mujhe Ruchi ki dusri contact number de djiye please hum uss se baat to kar sakte hein!”

Bhai ne kaha,

“koyi contact number nahi au usski filhaal to humse bhi koyi contact nahin.”

Tab bhabi ne kaha,

“hum to ussko aap logon se bahot ziada miss kar rahe hein, hamari dulaari thi wo, hamare enkhon ka tara thi wo, hum khub roye the jab wo humse juda hui!”

Vihaan ne Phool ke taraf heyrat se dekha aur Phool ki enkhen jeise aur bhi moti ho gayi bhabi ki baat ko sunkar.

To ab vihaan ne Phool ke kaanon mein kuch kehne ko kaha. To Phool ne kaha,

“magar ruchi ne to humko aap ke baare mein kuch aur hi bataya tha…”

Bhai ne kaha,

“hahaha yehi nah ke hum donon uss par atyachaar karte hein, ke hum uss par zulum karte hein, iss mein usski koyi ghalati nain ussko weisa kehne ko kaha gaya tha!”

Vihaan ne apne peshaani par shikanjh laate hue pucha,

“Aur kiss ne ussko weisa kehne ko kaha tha, aap logon ne?”

Bhabi ji ne jawaab diya,

“hamara kahan chalta hai Sir, hum to katputli hein kissi aur ke haath mein dor hein!”

Vihaan ko thoda ghussa aya aur kaha,

“aap log yeh paheliyan bujhana bandh karenge please aur seedha baat bataoge humein?”

Bhabi ji ne kaha,

“waqt aane par aap ko sab detail mein pata chal jaega, filhaal humko kuch bhi bataane ko allowed nahin hai, khatra hai khatra samajh sakte ho aap?”

Vihaan ne awaaz ko thoda ooncha karte hue kaha,

“what nonsense is this? Kaun sa khatra kia khatra? Kia ho jaega mujhe kuch samajh mein nahin ata mujhe ruchi se milna hai buss!”

Ruchi ka bhai ne kaha,

“Cool down mister vihaan, awaaz ooncha karne se kuch nahin haasil hone wala, keep cool please. Hamein pata hai ke aap ruchi se pyar karte hein, Ruchi aap se uss se 50 gunah ziada pyar karti hai, aap kitne baar uss se yahan raat ko milne aaye hein yeh bhi pata hai hamein, hum donon ko sab pata hai magar humko silent kiya gaya hai, mute kiya gaya hai humko volume negative karke, control kissi aur ke haath mein hai, samajh lo ke koyi hai jisske haath mein remote control hai aur wo sab uss remote se control kar raha hai aur hum majboor hein!”

Yeh sab sunkar Phool aur Vihaan ko aur jabardast jhatka laga ke inn donon ko keise sab pata hai, Ruchi inn donon ko sab bataati thi? Magar kyun? Raat mein hue private batein Ruchi apne bhaiya aur bhabi ko bataati thi? Yeh keise ho sakta hai vihaan ne socha. Ruchi to vihan se chori chhupke milne ko bulaati thi aur kissi ko bhi nahin jaanne deti thi donon ke mulakaat ke baare mein to yeh bhaiya bhabi ko keise itne details ka pata hai?!

Vihaan ne apne sarke baalon par haath daba kar ferrte hue, phir apne chehre par apne donon haathon ko zor se ragadhte hue khada hua aur kaha ke wo ghar ka moaena karna chahta hai ke kahin Ruchi andar kahin bandh to nahin hai!

Ussko ijazat de diya gaya ghar mein dhudne ke liye. Phool usske saath gayi aur jab ghar ke andar daakhil hue donon to bilkool shocked ho gaye andar dekhte hue. Ghar andar se jeise ek aalishan hotel ke kamre hote hein weise tha. ek lamba corridor tha, donon taraf kamre the, jagmag chamchamaate hue jhumar lage hue the chaaron taraf , high quality ke lamps deewaaron par saje hue the, niche chaaron taraf mehngi best quality ke kaaleen biche hue the… ek ek kamre ko open karke har ek kamre ke andar mehnge samaan dikhe donon ko, kissi kamre mein to bed eise the jeise raja maharajaon ke zamaane mein hua karte the, lagta tha mugal-e-aazam ki shooting ke set sajaaye gaye the kahin par… aur donon jitney andar jaa rahe the ghar utna hi bada hota jaa raha tha eisa lag raha tha donon ko, jeise ghar ka end hi nahin tha, ek dhalaan si mehsoos ho rahi thi jeise ek underground mein daakhil ho rahe the donon, wo feel araha tha jeise zameen ke niche dhansse jaa rahe the…. To Phool ne kaha,

“kitna khubsurat ghar hai, ek haveli ki jeisi hai andar nah vihaan? Baahar se to ek chota sa ghar dikhta hai magar andar se kitna bada hai yeh keise ho sakta hai? Itne bade ghar mein sirf teen log, matlab do log rehte hein kia? Yeh to bahut hi amir log hein Vihaan!”

Vihaan ne Phool ki kalaayi thaame hue kaha,

“kuch to gadbad hai phool ye ek rahasya lagne laga hai mujhe, kuch to hai jo hum bilkool nahin samjh rahe hein, iss liye gaon wale iss makaan ke baare mein ajeeb batein karte hein yeh makaan nahin ek haveli hi hai magar kisska hai, kaun control karta hai isska pata lagana hoga hamein Phool, yeh bhaiya aur bhabi sach mein katpuli hein, Ruchi bhi katputli hi hogi, uss par kissi aur ka control hai….. Phool mujhe ab yeh shak ho raha ke we are being watched!!! I am sure that we are being watched!! Pichle jitne dinon se main yahan aya hoon all have been watched I feel that intensely now!”

To be continued……………

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.