Update 61 Samir with his dad​

Kuch door jaakar Samir wapas aya Shanaya ke ghar ke paas aur horn kiya. Shanaya nahane jaa rahi thi….. usski behen dauti hui aakar uss se kaha ke hone wala jiju wapas aya hai, to jhatpata kar Shanaya baahar nikli aur samir ne ussko car ke andar aane ko kaha – bilkool andhera ho chukka tha aur kyunke Shanaya nahane jaa rahi thi ek skirt mein thi….. kaafi sexy dikh rahi thi….. magar iss waqt Samir ka mann itna bechain tha kissi aur baat se pareshaan tha ke Shanaya ko achchi tarah dekha hi nahin bus sawaal kiya;

Samir: “mujhko yeh samjhao please ke tumko inn sab baton ka pata kab aaur keise chala ke mere papa tumhare yahan mujhko tumhein dekhne ke liye laaya tha aur tum keise mujhko uss din pehchaan gayi aur tum kyun uss waqt mere saamne nahin aayi sab details mein samjhao mujhe main bahot pareshaan hoon!!”

Shanaya ko bahot dukh hua Samir ki pareshani ko dekh kar aur badi araam se samir ko samjhaya:

“Mere papa mujhse shaadi ke liye kayi baar pehle keh chuki thi magar main inkaar kar rahi thi har waqt. Mere papa aur tumhare papa dost the. To jiss din tumhare papa tumko lekar yahan ane wala tha uss din subha ko mujhse kaha gaya ke koyi ladka mujhe dekhne ane wala hai….. magar main apne papa se ro padi yeh kehte ke main shaadi nahin karna chahti abhi, main kaam karna chahti thi kum se kum do saal apne papa ko financial help karne ke liye…. Main itna royi papa ke saath ke ussne kaha ke woh kuch manage karega tumhare papa ko samjhkar….. aur udhar tum bhi shaadi ke liye tayyaar nahin the iss liye tumhare papa ne bina tumhein kuch batae yahan laya tha apne dost ke ghar jaane ke bahane…. Unn donon mein tey yeh hua tha ke mujhko tumhare saamne present kiya jaega to shaayad tum mujhko passand kar loge aur tab weh log hamari shaadi ki baat chalaate….. ab kyunke main ne subha inkaar kar diya to jab tum apne papa ke saath yahan aaye to mere papa ne tumhare papa ko ek taraf bula kar bataya ke main inkaar kar rahi hoom aur tum logon ke saamne nahin aunghi. To tumhare papa ko koyi eitraaz nahin hua kyunke uss ne tumko bhi kuch nahin bataya tha………… magar main ghar ke dusre kamre se tumko chhup kar dekh rahi thi, tumko nahin pata tha…. Tumne to mujhe nahin dekha tha aur tumko kuch bhi nahin pata tha magar main ne tumko bahot achchi tarah se dekh liya thaa aur passand bhi kar liya tha magar shaadi karne ko uss waqt tayyaar nahin thi…. Dekha kismat ne humko pehle hi mila diya tha magar hum ne khud ek dusre se milna nahin chaha tha, hum kismat ke khilaaf the Samir issi liye kismat ne huumko dobaara milaya…….”

Samir ko yeh sab sunkar aur jhatka laga aur kareeb rote hue kaha; “tum kyun saamne nahin aayi thi ussi waqt Shanaya!! Aaj yeh din to nahin ata meri zindagi mein, samira to nahin ati aur main itne taklifon se nahin guzarta aaj !!! tumhara rape to nahin karta tab!!! Tum samira ki jagah meri wife ban chuki hoti kab ki Shanaya kyun tum saamne nahin aayi thi uss din Shanaya!!”

Shanaya ke paas koyi jawaab nahin ta woh sar jhukaae chhup baithi thi, fir kuch der baad kaha, “Samir tum kyun itna tension le rahe ho, tumko itne door drive karna hai araam se jao itna kuch mat socho, main ne kaha nah ab woh sab batein purani ho chuke hein ab ke liye socho purani batein bhool jao Samir please.”

Aur Samir ne dobara ussko kiss kiye aur jane ki ijazat chaha aur chala gaya drive karte magar bahot hi pareshaan!!

Samir ko achah bilkool nahin lag raha tha, drive karte waqt woh apne aap ko kos raha tha. Usska dil usske dimaagh ka saath nahin de raha tha. Khud ko bahot kamzor aur darinda keh raha tha. Keise ussne itni achchi ladki ko eisa ghao de diya ussne. Kyun woh ek buri aurat ke khatir baaki ke ladkiyon ko bura samjha…. Woh apne aap ko maaf nahin kar paa raha tha….. usske enkh har waqt bhar aate the drive karte waqt….. baar baar ensoo poch raha tha….. ussko darr tha ke uss haalat mein drive karte hue accident na kar baithega…. Car ko roka ek sunsan jagah par. Kissi se apne iss haalat ke bare mein baat karna chahta tha, sab mann ki peeda ko bahaar nikaalna chahta tha….ussko Afzal ki yaad aayi ek wohi hai jo ussko samajhta hai….woh Afzal ko sab kuch batana chahta tha aur iss dal dal se nikalna chahta tha jo iss waqt ussko dooba raha tha….apne mann ke andar ka peeda woh nahin seh paa raha tha….. ussne mobile liya, Afzal ka numar dekha aur dial karne jaaa raha tha fir ruk gaya….socha ke pata nahin iss waqt woh Samira ke saath hoga to??!! To nahin phone kiya…… kuch der andhere mein baitha raha aur fir apne papa ko phone kiya….

“Hi papa. Main ghar araha hoon.”

Papa: “are ao beta kahan tak pohunche ho?”

Samir: “papa mujhe aap se akele mein bahot sare baatein karni hai main dukhi hoon papa aap mujhe raasta dikhayie!!” yeh kehte hue Samir zoron se rone laga…. Usske baap ko ascharya hua. Samir woh ladka tha to kabhi rota hi nahin tha balke dusron ko rone se rokta tha, itna bahadur ladka agar ro raha hai to bahot bada sankat mein hoga usske papa ne socha, aur bahot ghabra bhi gaya. Ussne Samir ko wahin rukne ko kaha jahan ruka hua hai aur woh apne ek dost ko saath lekar Samir ko beech raaste mein lene ko gaya. Dost ko iss liye liya taake woh wapas ate waqt usski gadi ko drive karke ghar wapas laen.

Koyi 45 minutes ke baad bahot pareshan Samir ke papa uss jagah aya jahan Samir ne car park kiya hua tha. Apne dost ko kaha ke usski car lekar wapas ghar jaen woh apne bête ke saath wapas aega. Dost chala gaya. Baap bête mile. Aur piche wale seat par donon baithe baat karne ke liye. Car ki light on kiya samir ne baat karne se pehle. Baap ko bahot hi pareshaani hui apne Samir ko uss haalat mein dekh kar, usska chehra utra hua tha aur bahot hi gham mein dooba hua tha woh, lag raha tha ke koyi bahot hi bada samasya hai…… baap bahot hi pareshan hua fir bhi kyun ke woh baap tha to ussko apne aap par kabu rakh kar bête ki pareshani ko samajhna aur hal nikaalna tha uss waqt.

Baap ne araam se poocha, “Kia baat hai beta kia baat karni hai, tu bahot hi pareshan dikh raha hai, eisi kia baat ho gayi ke mujhse akele mein baat karna chahta hai chal bata beta, main hoon nah main hoon pareshan mat ho.”

Samir apne baap se lipat gaya aur rone laga. Baap ko bahot dukh hua aur khud bhi shayad rone wala tha apne mard bête ko bahon mein rote dekh kar. Magar uss waqt ussko usse sambhaalna tha aur baap hone ke naate usska farz bhi tha, magar mann mein darr bhi tha use ke kahin Samir ne kuch eisa weisa kaam to nahin kar diya jiss se nikalna mushkil ho!! Baap darra hua bhi tha usske dil ke dhadkanein bhi tez hoti jaa rahi thi fir bhi himmat karke samir ko dilasha dete hue apne dil ki baat batane ko kaha; yeh kehte hue;

“Are tu to mera bahadur mard beta hai aur ro raha hai, chal main to tujhe mujhse bhi ziada bahadur aur sachcha mard samajhta hoon aur tu ek ladki ki tarah ro raha hai? Hmm? Chal bata, bata kia baat hai yaar!!”

Rote hue Samir ne kaha;

“Papa main ne ek bahot achchi aur masoom ladki ka rape kar diya papa!!”

Baap ko jhatka laga. Kuch der chhup raha fir kaha;

“Okay, sun kia ladki ne case kar diya?”

Samir: “nahin papa, woh bahot hi achchi hai aur aap ussko jaante ho!! Mujhse pata nahin keise eisi ghinawni harkat ho gayi…. Samira ne jab dhoka diya to main sabhi ladkiyon ko buri nazar se dekhne laga aur socha ke sab weise hi hote hein, aur dil mein thaan liya ke sabhi weisi ladkiyon ko rape karta rahunga…. Aur pehli ladki Shanaya mili…… papa main ab uss se pyar karne laga hoon papa, jiss ka rape kiya ussi se bahot pyar hogaya… main aap ko keise samjhaun paa!!”

Baap: “ aur ladki kia kehti hai, kia rape ke baad tu uss se mila?”

Samir: “papa woh aap ke dost ki beti hai yeh baad mein pata chala mujhe , balke aaj pata chala papa!!”

Baap: “what? Kiss dost ki beti?”

Samir: “jisske yahan aap mujhe le gaye the ussko dekhne ke liye ek baar bina mujhe batae….”

Baap: “ Sharma sahab ki beti? Oh my God tumne uss masoom ladki ki rape kiya? Kia kar diya tumne Samir? Kia Saharma sahab ko pata hai? Sab mujhko details mein bata kab keise hua aur abhi haalaat kia hein?”

Samir: “nahin papa woh itni achchi hai ke aaj tak kissi ko kuch bhi nahin bataya, pata nahin keise sab chhup chaap sehen kar gayi bahot bahadur ladki hai woh, thik hai main aap ko sab kuch details mein batata hoon tab shayad halka ho jaunga……

Aur Samir ne sab kuch bilkool detail mein apne baap ko bataya. Sab kuch. Aur kaha, “papa mera dum ghut raha hai sab sochte hue!!”

Baap ne Samir ke kaandhe ko thapthapaate hue kaha;

“Ab kia problem hai? Tumne to khud sab kuch sudhaar liya hai. Woh bhi tujhpar marti hai aur tum bhi pyar karte ho ab to baraat lekar usske ghar jana hai! Achchah ab mujhe sab kuch bataane se behtar feel kar rahe ho ke nahin? Chalo baahar niklo aur chalte hue baat karte hein thoda thandi hawa khaate hein, niklo baahar ab….”

Donon car se baahar nikle aur sadak ke koney mein pade ek pathar par baithe. Aur baap ne kaha;

“Dekho beta, sab kismat ka khel hai. Upar wala sach mein Jodi wahin se bana kar humko yahan bhejta hai. Aur humko apni Jodi kabhi sahi mil jaate hein – aur jo log apne sahi Jodi se mil jaate hein weh log marte dum tak khush jite hein aaraam se, kyun ke weh Jodi upar se vidhata ka banaya hua hota hai. Aur kuch log jo ghalat logon se rishta kar jaate hein weh rishte aksar toot jaate hein beech mein jeise tumhara aur samira ka, kyun ke hum logon ne ghalat rishta kar diya tha, aur assal baat to yeh hein ke kismat ne humko tumhare sahi rishte ke yahan legaya tha magar uss waqt na tum tayaar the aur na woh ladki….tum donon ne khud apne takdeer ke khilaaf jaakar bura kiya thaa uss waqt….. shayad issi liye tumhare aur Samira ke bech woh unban hona tha kyun ke vidhata ne tumko usske liye nahin banaya tha. Tumhari Jodi to Sharma sahab ki beti hi thi…… AB DEKHO ISSI LIYE MAA BAAP KI PASSAND AKSAR SAHI HOTE HEIN…. Issi liye maa baap apne bachchon ke liye aksar rishta dhundte hein….iss mein bhi Vidhata ka haath hota hai, yeh haq shayad upar wale ne hi maa baap ko diya hai ke weh apne bache ke liye var dhundein aur rishta karaein….. ab dekho main to tumko sahi jagah lekar gaya tha nah? Magar tum raazi nahin the uss waqt shaadi ke liye, kayi baar main ne tumse kaha tha ke tera shaadi ka time ho gaya ab tumko shaadi karna chahiye magar tum nahin maan rahe the….agar uss waqt maan liya hota to samira ki bajae Shanaaya se tumhari shaadi hoti uss waqt nah? Vidhata ke roop mein hum mata pita sahi rishte banate hein assal mein woh hum nahin vidhata karte hein hamare hathon se….. to ab mujhe pura yakeen ho gaya tere iss kahani se….. hai ke nahin? Khair, jo hua so hua tum donon ko milna tha aur mil gaye, ab tum uss rape ko bhool jao jab ladki khud bhool chuki aur tumko bhoolne ke liye kaha to ab aguey badho….tum khud Sharma sahab se milo tab main tumhare saath uss se usski beti ka haath dobara maangne jaunga, badi khushi se jaunga iss baar aur zaroor woh mujhko kabhi inkaar nahin karega.”

Samir ko bahot chain aur sukoon mila apne baap se baat karke aur usske baton ko sunkar. Usske mann ka peeda kum hua aur araam haasil hui usse. Dimaagh mein jo kashmakash chal rahi thi woh tham gayi aur ab chain ki saans liya Samir ne, aur donon baap bête khushi se ghar laute.

To be continued…………… (3580 words from both updates)

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.