Update 59 At Aditi’s place, Samir in mental turmoil​

Shanaya ne kaha, “ruko, ruko yahin, tum to aguey chale aye thoda piche lo uss dukaan ke paas park karo, who Majid bhai hai ussi se milawana hai tumhein, chalo usske dukaan ke andar baat karte hein ….. Stop! Han thik hai yahin rehne do aur ao andar!” Samir ne thoda reverse liya aur Majid bhai ke dukan ke paas car ko park kiya aur Shanaya pehle nikli car se.

Uss waqt mamool ke jeise gali mein har mod par log khade the group mein aur jeise car gali ke andar ghussa tabhi se log car ke andar dekhne lage kyun ke ek nayi car thi uss mohalle mein aur bahot sare logon ne Shanaya ko driver ke paas baithe hue dekha bhi. Kuch naujawaan the ek group mein chawdahe par unn mein ekaat the jo kuch saal pehle Shanaya se flirt karne ki koshish kar rahe the, sab ne dekha to unnke beech batein hui. Jiss waqt car Majid bhai ke dukaan ke paas ruka to wahan par bhi kuch naujawaan Shanaya ke umr ke hi maujood the jo donon ko dekh rahe the bahot heyraaani se.

Yeh pehli baar thi ke Shanaya ek car mein ghar wapas aayi thi. Bahot sare ladke to uss waqt Shanaya ko walk karte hue ghar wapas ane ka intezaar karte hein aur ussko nihaarte hein jab woh bus stop se chal kar ghar wapas jaate hein har shaam ko. To iss shaam ko sab ke sab bahot keyraan the aur hakbakae dekh rahe the. Jab Shanaya Samir ka haath pakar kar Majid bhai ke dukaan ke andar lejaane laga to unn ladkon ke beech yeh baatein hui;

Ek ne kaha: “Kamaal hai yaar, Shanaya ka bhi boyfriend ho gaya?!”

Dusre ne kaha: “hmmm to tu kia samajhta tha ke iss zamane mein ladkiyan akeli waqt bitate hein?”

Teesre ne kaha: “hoga koyi usske saath kaam karne wala….. usski body dekh yaar, Jeans aur Tshirt mein hai, Tshirt chipka hua hai usske chaati par, usske basu dekh, Salman jeisa body wala hai baap re hero lag raha yeh to!!”

Pehle wala ne fir kaha: “Sala main samajhta tha ke Shanaya bahot achchi ladki hai, kitni masoom aur achchi dikhti hai yaar!!”

Dusre ne fir kaha: “Kyun ussko kissi ko passand karne ki haq nahin hai kia? kitne dinon tak akeli rahegi, kissi na kissi ko usske zindagi mein ana to tha, agar tujhko woh nahin mil paayi to ab woh tere liye buri ladki ban gayi?”

To pehle wale ne kaha; “Nahin yeh baat nahin hai yaar, mera matlab tha main ne nahin socha tha Shanaya iss type ke love ke chakkar mein padegi, main hamesha sochta tha ke arranged marriage hogi isski hamare traditional tarike se pariwaar ladka dekhega aur yeh wahin shadi karegi jahan isske parents chahenge…. Apne aap kissi ke saath aegi yeh nahin socha tha main ne kyunke yeh to kissi ko bhi ghanss nahin daalti thi!!”

Ek aur ladka tha ek aur koney mein jiss ko jalan ho rahi thi kyun ke woh aas lagae baitha the ek na ek din woh Shanaya ko zaroor paa lega….. ussko to rone ka mann kar raha tha, uss ne kabhi bhi nahin socha tha ek din Shanaya ko kissi mard ke saath dekhega woh…… khair uss din bahot saare dil tute uss mohalle mein jahan Shanaya rehti thi!

Ab Majid bhai ne jab dekha ke ek car ruki usske dukaan ke saamne to khade hokar dekhne lage aur jab Shanaya baahar nikli to woh khush aur bahot heyraan bhi hua kyun ke uss ne bhi kabhi nahin socha tha kabhi Shanaya ko kissi ke saath car mein aate dekhega!

Shanaya ne khushi se hansste hue Majid bhai ko Samir se milaya aur kaha;

“Majid chacha, main ne kaha tha nah ke ek mahine baad aap ko jawaab dungi to yeh hai mera jawaab aur mera passand.”

Majid bhai ne khushi khushi Samir se haath milaakar ussko gale se lagaya. Bahot hi khush tha woh aur Shanaya ko badhaayi diye. Shanaya ne kaha, “Ab aap ko papa se baat karna hai hamare bare mein, weise main abhi Samir ko ghar hi leja rahi hoon unn se milwane ko par baad mein aap baat karna agar kuch hua to okay?”

Majid bhai ne kaha; “Kuch nahin hoga beta, kuch bhi nahin hoga aur hona bhi nahin chahiye. Tum donon khush raho main bahot hi khush hoon tumhare liye Shanaya beta, jao apne papa se milado iss naujawaan ko.”

Wahan se jab Shanaya aur Samir nikle aur jab Shanaya ke ghar ke paas aaye to Samir ka dil zoron se dhadka kyun ke yeh wohi ghar tha jahan Samir ke papa ka dost rehta tha…… Samir ki bolti band thi kuch der aur woh Shanayha ke chehre mein bahot heyraani aur gambhirta se dekhne laga…… Shanaya muskurate hue ussko dekh rahi thi aur kaha “ab chalo bhi!!” Samir car se nikla aur uss makaan ko dekhta raha….yaad kar raha tha kia issi ghar mein aya tha apne papa ke saath….fir wapas mudhkar Shanaya ko dekha bahot heyraani se aur usske chehre mein uss heyraani aur pareshaani ko dekh kar Shanaya thodi ghabraayi aur Samir ke bazu ko pakar kar apne bazu mein cross kiya aur dhire se kaha; “yehi surprise dena tha tumko, han tum iss ghar mein aa chuke ho Samir, main tumko uss din se jaanti hoon jab tum iss ghar mein aae thi uss din apne papa ke saath!!”

Yeh sunkar Samir ko bilkool khushi nahin hui, woh naraaz hua aur ghusse mein Shanaya se poocha, “eisa kyun kiya tumne mere saath? Kia saabit karna chahti ho tum?..... Agar tum mujhko pehle se jaanti ho to yeh sab naatak kar rahi tum mere saath?”

Shanaya ne bilkool nahin socha tha ke iss baat par Samir naraaz hoga…. Shanaya samhjhana chahti thi usse ke woh usss roz ussi ko dekhne ke liye aya tha magar iss se pehle ke woh kuch kehti Samir wapas car mein baith gaya aur start kiya…. Shanaya ghabraayi aur usska chehra utar gaya, woh Samir ko rok rahi thi magar Samir ne reverse gear lagaya aur piche dekhte hue car ko reverse le raha tha….Shanaaya baahar se car ke saath daud rahi thi Samir se baat karrte hue, “Ruko Samir tumko abhi bahot kuch batana baaki hai suno to eise mat jao please mere papa se to mil lo, please ruko Samir……” Magar Samir ne apne door wale shishe ko upar kar liya aur wapas door tak chala gaya aur car ko mudh liya wapas jaane ko….. Shanaya rone lagi fir daud kar car ke paas gayi, shishe ko thoka kyun ke car ko rukna pada saamne ek van ruka hua tha iss liye….. rote hue Shanaya boli, “Please ruk jao Samir tumko mere pyar ka vaasta….” Magar Samnir car ka shisha niche nahin kar raha tha aur apne saamne dekh raha tha Shanaya ko nahi, usske jabde hill rahe the ghusse mein dant peeste hue, fir Shanaya ne behte hue ensoowon ke dhaar se aur sisakte hue kaha, “Tumko hamare ghonsle ka vaasta ruk jao Samir tumko bahot kuch batana baaki hai jaan ruk jao please main marr jaungi agar tum eise wapas chale gae to…please ruk jao nah!!”

Saamne jo Van ruka hua tha woh jaane lage to Samir ki car bhi thodi si aaguey gayi aur Shanaya ne rote hue hi zor se kaha, “Samir uss roz tumhare papa ne tumko mujhe dekhne ke liye yahan laye the magar tumko kuch nahin pata tha Samir hum ek dusre ke liye banae gaye hein Samir ab to ruk jao please!!!”

Yeh sunkar Samir ne brake lagaya aur mudhkar Shanaya ko dekha…….

To be continued……………..

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.