Update 75 The Class​

Lunch ke baad Vihaan ki French class 12th ke students ke saath tha matlab Ruchi ke saath.

Sabhi students present the to Vihaan ne sab ko ek ek karke white board par apne naam Surname ke saath likhne ko kaha French mein khud ko introduce karte hue.

Sab ne apne naam iss tarah se likhe

“Je Suis xxxxx xxxxx” (main xxxxxx xxxx hoon”

Ya kissi ne eisa likha

“je m’appelle xxx xxx” (mera naam xxx xxx hai)

Vihaan ne Ruchi ko last mein white board par jaane ko kaha aur ruchi ne likha,

“Je m’appelle Ruchi Daasgupta” (mera naam hai Ruchi Daasgupta)

Yeh pehli baar tha jab Vihaan ko Ruchi ki surname ka pata chala, aur yeh surname sunkar Vihaan ko laga ke wo iss surname ko jaanta hai, suna hua hai kahin, ya kabhi, magar kab aur keise aur kahan?

Jab Ruchi apna naam likh rahi thi uss waqt Vihaan class mein usski jagah par baith kar ussko likhte hue dekh raha tha aur usski handwriting admire kar raha tha, usski handwriting bahot khubsurat thi.

Surname jaanne ke baad kuch der tak Vihaan sochta raha yaad karne ki koshish karte hue ke ussne yeh Dasgupta surname kahan suna hai ya padha hua hai, eisa lag raha tha Vihaan ko jeise ek bahot bada jaana pehchana hua naam hai jeise ek neta ki ya ek mashoor actor, ya cricket player ya kissi jaane mane hasti ki….

Class lena tha to ussko apne class par dhyaan dena tha iss liye ussne uss surname ko uss waqt ignore kiya aur wapas apne class ke saamne gaye aur students se French grammar ke baare mein kuch lessons diye aur aakhir mein wapas class ke saamne bulaya Ruchi ko hi kuch likhne ke liye.

Ek discussion chal rahi hi class mein 2 words ko lekar aur ussko clear karne ke liye Vihaan ne Ruchi ko whiteboard par kuch likhne ko kaha French mein. Likhna yeh tha – I LOVE YOU - magar French mein. Vihaan ne jaan bujh kar Ruchi ko pehle likhne ko bulaya kyunke ussko pata tha ke ruchi keise likhegi aur usske baad ussne ek ladke ko bulaya wohi likhe ke liye French mein hi.

Vihaan ne Ruchi ko iss liye pehle likhne ko kaha kyun ke jiss mudde par behess ho rahe the wo tha do lavz (AAP) aur (TUM ya TU) inn do lavzon ko French mein kehne aur likhne ke baare mein discuss kiya jaa raha tha…. To kyunke Ruchi Vihaan ko AAP kehkar bulati hai iss liye Vihaan ko pata tha ke Ruchi I LOVE YOU likhegi to aap word use karegi, aur wo ladka TU word use karega. To natija yeh hua likhne ke baad; ruchi ne yun likha

“Je vous aime” – matlab “main aap se pyar karti hoon

Aur ladke ne likha,

“Je t’aime” – matlab “main tum se pyar karta hoon”

To Vihaan ne donon ko wapas baithne ko kaha aur class ke saamne samjhaane gaya, aur kaha,

“Jeise ke hum hindi mein kissi ko aap kehkar baat karte hein, French mein aap ko VOUS kehte hein, aur jab tu taraka karke baat karte hein ussko French mein TU kaha jata hai, magar French wala TU pronounce alag kiya jata hai jeise CHIU. Ab VOUS second person plural bhi hota hai aur TU second person singular – to jeise ke aap logon ne dekha ke ek hi sentence ko inn donon ne likha magar different tarike se likha hua hai aur donon sahih hai. Ruchi ne AAP matlab second person plural use kiya aur iss ladke ne second person singular use kiya, donon ka matlab yehi hai ke I LOVE YOU. Ab heyraani ki baat yeh hai ke English mein AAP word nahin hai. Third person plural hai hi nahin Engish mein. English mein second person singular bhi YOU hai aur second person plural bhi YOU hi hai! Hindi, Urdu aur French mein third person plural hote hein aur jeise hum kissi bade ki izat karte hue ussko AAP kehkar bulaate hein ussi tarah French mein bhi VOUS kissi ko izzat dene se istemaal kiya jata hai, kissi bade ko ya kissi ajnabee se baat kaaren to VOUS kehkar baat karte hein.

Ab jeise ke first second and third person of English singular hein

I am-YOU are - HE/SHE is

Aur first second aur third person Plural hein,

WE are – YOU are -THEY are --- Endlish mein is YOU ko ab Honorary you kaha jata hai, aur pehle you ko intimate you…..

To jeise ke aap logon ne dekha ke English mein second person singular aur second person plural donon mein YOU hai, magar hindi, Urdu aur French mein second person plural VOUS/AAP hai….

Hope I am clear enough and you got it now dear students.”

Sabhi students including Ruchi bade dilchaspi se sun rahe the aur Vihaan ko uss tarah se explain karte hue class ke saamne admire kar rahe the. Ruchi uss waqt jeise Vihaan ki aur bhi Diwani ho gayi. Vihaan ek bahut hi achcha teacher saabit hua.

Class ke baad sabhi students ne apne aap mein baat kiye ke unnko ek best teacher mil gaya iss baar aur unnko pura yakeen tha ke French mein badhya marks milega sabko. Sab bahot khush the of course Ruchi bhi.

***************************************************

Shaam ko college release hone ke baad Ruchi aur vihaan ek sath bus mein wapas laute aur Vihaan ne chal kar Ruchi ko karib usske ghar tak chorrne gaya pehle din ki tarah, utne hi door tak gaye ke Ruchi ne ussko mudhkar wapas jaane ko kaha…

Ab wahan se jab Vihaan wapas laut rahe the to Phoolvati Vihaan ka wait kar rahi thi apne aangan mein. Vihaan karib aya to Phool ne ussko cherrte hue kaha,

“kyun Sir ji chorr aye apni girlfriend ko? Humare taraf bhi thoda nigaahe karam karte jaiye nah!”

Vihaan ruk gaya Phoolvati ke angan ke saamne aur pucha,

“Tumhare ghar par koyi nahin hai? Mujhse baat kar rahi ho to tumko koyi problem nahin hogi ek laldke se baat karne se?”

Phoolvati: are Sir aap koyi thode hi ho? aap to mere teacher ho, to teacher se kaun mujhe mana karega baat karne ko bhala? Veise main akeli hoon abhi koyi nahin hai ghar par, aana hai kia ji?” yeh kehkar Phool ne ek enkh mara Vihaan se, of course mazaak kar rahi thi, shaitaani kar rahi thi….

Vihaan hanss pada aur kaha,

“tum bahot bold ho, tumko dar nahin lagta kuch bhi keh deti hi besharmon ki tarah dhat!”

Phoolvati: “thoda besharam hona padta hai Vihaan ji, varna aap jeisa koyi meri zindagi mein aaye to baat ban jaaye, hey baat ban jaaye” aur phool ne ekaat dance step bhi kar diye iss gaane ko gaate hue vihaan ke saamne….

Vihaan ne aur bhi hansste hue kaha,

“ek baat bata, wo kamra tumhara hai kia aur raat ko uss mein night lamp on rehta hai raat bhar?!”

Phoolvati ne apne munh par haath rakh kar vihaan ko chahunkne wali ada mein kaha,

“haaye, kia sir meri bedroom tak chale gaye tum to, keise pata chala tumko ke wo mera bedroom hai aur raat ko light on rehta hai? Raat ko mujhse milne ka mann kiya hai kia ji? Ajaiyo mann kare to main to Khushi khusi aap ko andar aane dungi!”

Vihaan: “chhup kar tu bahot naughty ladki hai chii eisi baatein ladkiyan karti hai kia?”

Phool: “chii kahe ka saheb, ek baar aajana khidki se agar mere bedroom ka pata chal hi gaya hai to, iss mein chii kaahe ko, enjoy karna hai aur mast maja karna hai aur kia, veise Ruchi ke yahan kabhi gaye ho ke nahin, chale jana bahut enjoy karoge Sir!”

Vihaan darr gaya aur socha ke kahin kal raat wale baat Ruchi ne bata to nahin diya Phool ko aur pucha,

“kyun tere khidki se agar main andar aya to kissi ko pata nahin chalega kia? Tere ghar par tere parents nahin hote kie?”

Phool: “are raat ki baat kar rahi hoon, tumne kaha ke light on rehti hai raat ko issi liye raat ki baat kaha main ne raat ko ane ko kaha, aur raat mein mere kamre mein parents kia karenge? – veise tumko keise pata chala ke raat ko night lamp on rehti hai mere kamre mein? Hmmm? Kia irada hai? Tum kahin raat ko mujhe jhankne to nahin aate ho? Aate ho to bata dena main khidki khol dungi tumhare liye araam se ana nah! hihihihi”

Vihaan ne dil mein socha ke iss gaon ke sabhi ladkiyan raat ko kissi ko apne kamre mein bulaate hein kia jo phool bhi eise baatein kar rahi thi.

Magar assal baat to yeh thi ke phoolvati sirf taang khichaayi kar rahi thi usska koyi matlab nahin tha ussne jo kuch bhi kaha bus eise hi keh diya tha…. Ab kaun jaane ke dil hi dil mein Phoolvati bhi chahne lagi thi vihaan ko, yeh wohi jaane!!

To be continued in the next update immediately….

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.