Update 60 Samir with Shanaya at her home​

Saamne jo Van ruka hua tha woh jaane lage to Samir ki car bhi thodi si aaguey gayi aur Shanaya ne rote hue hi zor se kaha, “Samir uss roz tumhare papa ne tumko mujhe dekhne ke liye yahan laye the magar tumko kuch nahin pata tha Samir hum ek dusre ke liye banae gaye hein Samir ab to ruk jao please!!!”

Yeh sunkar Samir ne brake lagaya aur mudhkar Shanaya ko dekha…….

Ab aguey.....

Brake lagakar, apne darwaze ka shisha niche kiya to Shanaya ke gaal par ensoo behte hue dekh kar Samir ne pehle kaha, “Tamasha mat karo log dekh rahe hein, come in, udhar se ao andar!”

Shanaya apne gaal ponchte hue uss taraf ke darwaze se andar baithi Samir ke bagal wale seat par aur apne chehre ko hathon mein lete hue sar jhuka kar aur bhi rone lagi. Samir ne firse kaha, “Log dekh rahe hein main ne kaha nah, why the hell are you crying now?”

To Shanaya ne rote hue hi kaha, “tum mujhe chorr ke jaa rahe the? Bus itni si baat pe? Itne haseen pal hum ne guzare din mein aur abhi itni si baat par itna ghussa Samir kyun?”

Samir ka chehra ab bhi bahot gambhir tha aur usska jabda ab bhi chal raha tha aur kaha, “kia kaha tumne abhi ke mujhe tumko dekhne ke liye mere papa ne tumhare ghar laya tha uss din? Kia yeh sach hai? Agar han to kyun tum nahin aayi thi mere saamne aur kyun mere papa ne mujhko nahin bataya tha ke woh kiss maqsad se yaha laya hai mujhe?”

Shanaya ka rona tab bandh hua aur badi narmi se kaha; “Samir tum abhi bahot ghusse mein ho, main jo bhi kahungi tum nahin samjhoge, ek bahot hi nazuk mauka tha woh; ab ghar jao, araam karo, jab achcha feel karoge tab mujhko call karna , ya kal milna fir tumko sab thik se samjhaungi.”

Samir: “Tum mujhko nahin samajh rahi ho ke mujhpar kia beet rahi hai….socho ke mujhko ko keisa laga jab mujhe yeh pata chala ke main ne apne papa ke dost ki beti ka rape kiya tha!!! Yeh baat mere zehen mein ek teer ki tarah chubha jab tum ne kaha ke main apne papa ke saath yahin par aya tha, turant mujhe sirf ye yaad aaya ke main ne tumhara rape kiya tha…… main apne aap ko koss raha hon, dard ho raha hai mujhe, main apne aap se sharminda hoon, apne aap par ghussa hoon, main tumse door iss liye bhaag raha tha ke khud ko pehchaan sakun…takliff ho rahi hai mujhe ke yeh main ne kia kar diya!! Kahin door jaa raha tha kissi sunsaan jagah par jahan apne aap se sawaal karun….. main tumse ghussa nahin hoon Shanaya!! Main to apne aap ko maaf nahin kar paa raha hoon ab!!! Mujhe kia pata tha ke jiss ghar mein jaa raha hoon wahan pehle aaa chukka hoon, sharmindagi mehsoos ho rahi hai mujhe!! Apne ap ko maarne ko ji kar raha hai mujhe!!!” Yeh last line kehte kehte Samir ke enkh bhar aae aur sar jhukaya to kitne boond ensoo tapak gaye niche aur Shanaya se dekha nahin gaya woh jhat se Samir ko apne bahon mein zorse jakar liya usske sar sehlate hue aur khud rote hue.

Donon premee ro rahe the. Donon ek dusre ke dard bant rahe the, apne taklifon ko ensoowon mein baha rahe the. Aur himmat jutate hue Shanaya ne apna chera saaf kiya aur apne komal hathon ko Samir ke gaal par ferrte hue kaha;

“Tum mujhse bahot pyar karte ho nah? Hmm? To sunon, main uss baat ko ab bilkool bhool gayi hoon, tum bhi bhool jao aur unn lamhon ko yaad karo jo aaj hum ne wahan bitaya, kitne khush the hum donon aaj wahan, apne ghonsle mein…… pichli baar wale sab haadse mit gaye aaj wale pyar bhare lamhon se. aaj humne mitti daal diye pichle wale hue baat par. Main to issi liye aaj wahan jaane ke liye raazi hui thi taake uss roz ke sabhi hue waakiyaat ko mita sakun, yehi vajah thi ke main aaj itne ghul mil gayi thi tumhare saath woh sab karne ke liye jo hum ne aaj wahan par kiya, sabhi pichle waqt ki guzre dard ko bilkool mitane gaye the hum, aur hum kaamyaab bhi hue, sab uss din wale dard mit gaye aur tamaam khushian wapas agaye Samir, to tum kyun ab bhi yaad kar rahe ho uss din ke haadse ko? Bhool jao, sab bhool jao woh hamare milan ka ek bahana tha bus……Ab chalo, ghar chalo papa se milkar ghar jana. Please chalo nah jaan, meri khatir yahan tak aye ho to chalo nah!”

Samir ko Shanaya ke baton se bahot araam mila aur sochne laga ke kitni achchi batein karti hai usski Shanaya, kitni samajhdaar hai ye nazuk si ladki. Aur Samir gaya Shanaya ke ghar.

Shanaya khush hui aur ghar aate hi apni mummy ko bulaya aur Samir ko introduce karte hue kaha, “Mummy yeh hai mera passand, aap ko meri shadi ki jaldi hai nah to yehi banega mera dulha aap ka hone wala damaad!” yeh kehkar Shanaya Sharma gayi aur usski choti behen aakar uss se lipat gayi ussko chedte hue.

Shanaya ki maa bahot heyraan hui aur usske samajh meinn nahin araha tha ke kia Karen, kia jawaab dein aur kiss se kia baat Karen!!! Shanaya ne apne papa ko dhunda to maa ne kaha ke woh to aaj der se wapas aega ussne phone kiya tha ke raat ko 9 baje tak ghar aega!! Matlab Samir ka uss se milna mumkin nahin tha aaj!! Shanaya udaas ho gayi. Magar apni maa ko sab baat bata diya ke yeh woh ladka hai jo ussko dekhne ke liye ek baar aya tha apne papa ke saath. Maa ko yaad aayi baat aur yeh bhi yaad agayi ke Samir ki shaadi mein gayi thi to yehi pehla sawaal kiya ussne, “Magar beta tumhari to shaadi ho gayi……..” jaldi se Shanaya ne apni mummy ki baat ko beech mein rokte hue kaha, “mummy innke woh shaadi tut gayi kab ke, kyun ke innka milan to mere saath hona tha, woh shaadi ek ghalati thi!”

Magar maa to maa hoti hai aur woh boli; “Shadiyan eise nahin tutte hein beta, shaadi ek eisa bandhan hai jissko nibhana hota hai….kyun shaadi tuti beta, kia tum donon ke vajah se to nahin? Agar eisi baat hai to bahot ghalat baat hai…..” Tab Samir ne jawaab diya, “Nahin maa ji. Meri shaadi to Shanaya se milne se bahot pehle tut chuki thi….bahot lambi kahani hai….” Aur turant Shanaya ne kaha; “mummy main baad mein aapko sab samjha dungi ke innke shaadi kyun aur keise tuti okay ab yeh sawaal karna band karo aap!!”

Kuch der baad Samir ne kaha ke ab ussko apne flat nahin apne ghar jana hai apne mummy papa ke paas aur door ka safar hai to ussko ab nikalna chahiye, fir kabhi Shanaya ke papa se milne aega. Shanaya to nahin chahti thi ke samir jae magar majboor thi ussko wapas jana hi tha. Shaam dhal chuke the, andhera hone laga tha, suraj dhal chukka tha. Aur fir Shanaya aur usski choti behen Samir ko baahar usske car tak chorrne nikle….. Samir aur Shanaya ek dusre ke haath pakre hue the….aur Shanaya ne apni choti behen ko dekha, to choti boli, “ok ok main samajh gayi aap donon ke beech main kabaab mein haddi hoon to jaa rahi hoon tum log kiss viss karlo akele mein!!” woh yeh kehkar chali gayi aur yeh donon hanssne lage….

Andhera tha, door gali ke bijli ke khambe wale bulb se thodi si roshni arahi thi unn donon par… aur Shanaya ne Samir ko bahon mein bhar liya zor se aur khud apne honton ko usske honton se lagaya aur donon ek lambe meethe kiss mein doob gaye…… aur ahiste se Samir ne car ko khola aur Shanaya ko andar khinch liya, woh uss par girr gayi aur donon jism ek dusre se chipke hue, Shanaya ki chaati Samir ke chaati par chipki hui, usske boobs beech mein kuchalti jaa rahi thi jab donon ke hath ek dusre ke jism par ferr rahe the kiss karte hue…… jee to karta tha ek baar aur sambhog Karen magar namumkin tha to Samir ne ijazat liye jaane ke liye aur aakhir car start kiya, shanaya baahar udaas ussko dekhti rahi wave karte hue aur ahiste ahiste Samir ki car door raaste mein gum ho gayi……

To be continued in next post


Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.