Update 36 Visit To doctor Agarwal - SURPRISE​

Class mein Ashita ne socha ke ussne Vihaan se baat nahin kiya, ussko call nahin kiya, phir khud se kaha ke lunch time mein call karegi.

Class mein Ashita aur Priya ek saath nahin baithte the, Priya usske do desk piche baithti thi. Ek desk par sirf ek student hote the wahan. Aur usske piche se Priya Ashita ke har ek harkat ko dekh sakti thi. Aur Priya ko shak tha ke Ashita uss amit se chat karti rehti hai chhup chhup kar iss liye uss par nazar rakhne lagi thi. Weise class mein mobile use karna allowed to nahin tha magar lagbhag sabhi students teacher ke peeth par mobile use karte hi the, yeh rokna naamumkin ke barabar tha. uss college mein pehle staff room mein kar kisi ko mobile rakhna hota tha magar ab kyunke bahot saare students dictionary mobile se hi use karte the to class mein mobile lejana allowed kar diya gaya tha. to iss tarah dictionary use karne ke bahane sabhi chat bhi karte aur anek site par bhi jaate the students mobile se.

Class mein ekaat baar Ashita ne mobile check kiya ke kahin koyi mesg to nahin aya aur Priya ne dekha wo sab karte hue Ashita ko. Phir lunch se kuch minat pehle hi amit ka mesg agaya aur class mein se hi Ashita ne reply kiya Amit ko.

Hua yeh tha ke Amit ne Vihaan se pucha ke wo kab tak wapas ghar jaega to Vihaan ne kaha ke 2 baje tak kaam khatam karlega to wapas chala jaega. Iss se Amit ko pata chal gaya ke wo Ashita se wahin mil paega kyunke tab vihaan nahin hoga wahan wohi likh kar Amit ne confirm kiya tha ke ashita se milega cybercafe mein hi, aur ashita ne ussko reply kiya tha haan mein.

Lunch time mein sabse pehle Ashita ne vihaan ko ghar ke landline par call kiya. Magar kissi ne nahin uthaya to Ashita thoda pareshaan hui phir socha ke vihaan zaroor so raha hoga, aur phone ki ghanti bajte hue ussko disturb karega to call karna band kar diya Vihaan ko. Aur tabhi Amit ka mesg phir aya. Wo flirt karte jaa raha tha aur ashita usski kissi mesg ko reply karti kissi ko nahin.

Priya ke saath baith kar lunch kiya Ashita ne aur wapas class mein chale gaye donon aur end tak class mein hi rahe. Amit ke messages aate rahe class mein bhi magar Ashita ne nahin reply kiya.

College end hone ke baad ashita bus mein nahin gayi balke chalte hue gayi kyunke Cybercafe par rukna tha.

Amit besabri se intezaar kar raha tha, vihaan wapas ghar jaa chuka tha.

Ashita ko khada wait kar raha tha amit aur ek khubsurat ladki ko school uniform mein usske taraf badhte hue dekh kar amit ka dil machalne laga aur Khushi se paagal ho gaya wo. Ashita muskuraate hue usske taraf badhi to Amit ne ashikana andaz mein baahon ko khola hug ke liye magar hansste hue ashita ne apne munh par haath rakhte hue inkaar kiya hug ke liye yeh kehkar ke log dekh rahe hein. Yeh café ke baahar hua tha.

To donon andar gaye aur Amit ki nazar ashita par se hatt hi nahin rahe the, wo bahot pyar bhari nazron se Ashita ko nihaarte jaa raha tha aur Ashita apni aadat se majboor wohi khubsurat mukaan se ussko dekhte hue baat kar rahi thi.

El table ke bagal mein baithe donon, wo ek cabin ki tarah separate jagah tha jo kuch secret customers ke liye banaaye gaye the jo private emails vaghaira send karte the etc…. to cabin ke andar the to kissi aur ko weh donon nazar nahin arahe the.

Amit ne chai vaghaira ka bandobast kar diya tha. Donon ne chai peete hue kuch baatein kiye jab Amit ne apne pyar ka izhaar kiya.

Ashita ka chehra laal hua aur ussko reply nahin kar paayi aur hanssne lagi. Amt ne kaha,

“hum apne dil ka haal bayaan kar rahe hein aur aap ho ke jawaab dene ke bajae hanss rahi ho? itna nirday to nahin lagti ho aap ke dil jeise naazuk chiz ko aap kuchal dalo?!”

Ashita khadi hui aur jaane ka permission liya. Amit ne roka ussko yeh kehte hue ke usske pyar ka jawaab chahiye usse. Aur phir baar baar milne ka vada manga Ashita se.

Tab Ashita ne araam se phir baith kar Amit se kaha;

“Dekhiye aap ko zaroor ghalat faimi hui hai, main kissi se already pyar karti hoon, meri zindagi mein koyi hai already. Main aap se pyar bilkool bhi nahin karti, haan ek friend reh sakti hoon aap ki.”

Amit ne apne dil ki dhadkanon ko jeise rukte hue feel kiya aur uss dil par jiss par pehle se ex girlfriend ki dard ab bhi basse hue the uss par ek aur gehri choat lagte hue mehsoos kiya. Usske zubaan se kuch nahin nikla ashita ko kehne ke liye. Buss ashita ke chehre mein udaasi se dekhta raha kuch der. Ashita usske badalte chehre ke rang ko aur usske disappointment ko samajh gayi magar kar bhi kia sakti thi, wapas jaane ke liye phir khadi hui aur kaha,

“aap se milkar Khushi hui ab mujhe jaana hai vihaan meri raah dekh raha hoga ghar par; aur haan ab se mobile vihaan ke paas rahega to aap please message mat karna, main nahin chahti ke bhai ko pata chale ke aap mujhse chat karte the, thank you and bye.”

Amit baitha raha aur Ashita nikal rahi thi jaane ke liye tab Amit utha aur ussko baahar tak chorrne gaya bina ek bhi lavz kahe.

Raaste par jaate hue Ashita ko usske liye thoda sad feel hua magar sach mein Ashita to uss se bilkool bhi pyar nahin karti thi, Ashita ne to sirf iss liye uss se closeness badhaayi thi ke wo jaan sake ke kia ussko pata tha ke gift jo ussne vihaan ko diya tha uss mein vihaan ne usske liye bra aur panty kharide the?

Aur phir Ashita ne kabhi kissi se chat nahin kiya tha to usske liye yeh ek nayi Anubhav thi ke kissi se chat karte hue keisa lagta hai, experience kar rahi thi wo, aur thodi si, buss thodi se dheel de diya tha Amit ko halaan ke wo flirt kar raha tha jo Ashita ko pata tha, magar Ashita ussko flirt karne de rahi thi sirf uss baat ko jaanne ke liye ke kahin ussne gift kholke dekha to nahin tha ke usske andar kia hai. Aur jab tassali ho gayi ke amit ne kuch bhi nahin dekha tha to usska kaam tamaam hua aur usske dil se ek bojh halka hua.

Udhar Amit ne Ashita ke jaane ke baad apne dil se baat karte hue kaha,

“Tu akela rehne ke liye banaya gaya hai shaayad ey dil, ro mat main tere saath hoon, sala ek ne dhoka diya tere ko, aur ek achchi lagi, socha ke tere dard ko yeh mita sakti hai magar yeh to kissi aur ki nikli. Bahut hi khubsurat bala hai yeh Ashita, yeh agar meri ho jaati to main apne aap ko sabse khushkismat insaan samajhta iss dunya ki! Khair jaane do jo apna nahin usske liye kia rona! Chhup hoja ey dil, chal sharaab mein tujhko doobote hein ab!”

*****************************************************

Ashita ghar pahunchi to Vihaan ko baahon mein bharke bahot pyar kiya uss se aur pucha kyun call nahin liya tha lunch time ke waqt. Vihaan ne jhoot bola ke soya hua tha.

Phir wohi routine donon ke beech, aur jab raat aayi to Ashita ne vihaan ko yaad dilaya ke kal Saturday hai aur doctor ke saath appointment hai. Vihaan ne kaha haan ussko pata hai aur kal 10 baje hospital jana hai doctor Agarwaal se milne.

Aur Ab suman bhi apne kamre mein Anirud se kehna shuru kiya,

“Unn donon ne phir se ek saath kamre mein rehna shuru kiya hai aur aap ne to Ashita ki bed khud uthaake Vihaan ke kamre mein rakh diya taake donon ek saath soye, keisa baap ho aap ek jawaan ladke aur ladki ko ek saath, ek hi bed par sone dete ho?!”

Anirud ne kaha,

“Tumhara dimaagh to thik hai? Vihaan bimaar hai iss liye Ashita usska khayal rakh rahi hai, jo kaam tujhe karna chahiye tha wo tumhari beti kar rahi hai upar se tum yeh sab bakne lagi? Uss din kyun nahin ruki thi Vihaan ke saath rehne ke liye? Main to ruka tha ek din tu to wapas kaam par chali gayi apne bete ko uss haal mein chorr ke? Mujhe keh rahe ho, tum batao tum keisi maa ho?!”

Suman ne munh banaate hue kaha,

“main to rukne hi wali thi vihaan ne khud kaha ke wo akela rehna chahta hai to kyun main apne kaam ka ek din miss karti bhala?!”

Anirud ne taana maarte hue kaha,

“haan jeise bahot badi employee of the year ka khitaab milega uss boutik mein tumko!”

Suman ne phir kaha,

“Chalo Vihaan bimaar tha iss liye Ashita ko uss kamre mein sone diya magar ab to thik hone laga hai vihaan to wapas Ashita ko usske kamre mein sone ko kaho ab!”

Anirud ne needh mein aate hue awaaz mein kaha,

“abhi puri tarah se thik nahin hua hai hamara vihaan, kal doctor se appointment hai, kal pata chalega aur kitne din mein wo thik hoga, ab so jao aur mujhe sone do, good night!”

*******************************************************

Agle din 10 baje doctor Agarwal ke consultation room mein vihaan aur Ashita nazar aaye.

Doctor ne apni ussi khubsurat akarshit karne wale muskurahat mein Ashita ko dekhte hue kaha,

“So how are you, young girl? And how is your brother doing now?”

Ashita ne badi Khushi se doctor ke chehre mein dekhte hue kaha,

“aap ko batana hai ke bhai ab keisa hai mujhe to bahut improvement dikh raha hai ab.”

Doctor ne bina Vihaan ko dekhe Ashita se pucha,

“Aur aap ki wo Saheli, kia naam tha? haan Priya nahin aayi aaj?”

Ashita ne jeeb ko daanton mein dabaate hue kaha,

“main bilkool bhool gayi ussko batana ke aaj aap se milna hai varna ussko bhi saath laati main!”

Doctor muskurate hue chal kar vihaan ke paas gaya aur usske enkhon ko dekhte hue pucha,

“can you see well?”

Vihaan ne kaha,

“At times yes but at times its double or triple vision…”

Ashita ne tab kaha,

“Sir please tell us about her brain blood clots, can you know about that at this moment?”

Doctor ne kaha usske liye scan karna hoga aur phir scan section mein jana padega, phir doctor ne Ashita se kaha,

“Can I please ask you out for a few minutes I have to examine him and ask him some private questions?”

Ashita ne blush hote hue yes kaha aur baahar nikal gayi. Baahar nikal kar Ashita darr rahi thi ke kahin doctor vihaan se ye baat nah kare ke ussko samajh mein agaya tha uss din ke weh donon incestuous relationship mein hai!!! Consultation room ke baahar baithi Ashita bahot fikar karne lagi thi aur darr rahi thi ke pata nahin kia hoga ab! Usska dil bade zoron se dhadak raha tha aur ussko andar sunne ko mann kar raha tha ke kia baat doctor kar raha hai vihaan ke saath.

Andar Doctor aur vihaan ek dusre ko dekh kar muskura rahe the aur doc ne vihaan se kaha,

“To ab bolo sab sahi chala ke nahin? Hamare plan ne sahi kaam kiya nah beta?”

Vihaan bahot khush hote hue khade hokar doctor ko zor se hug kiya aur kaha,

“Haan doctor sahab bilkool plan kaamyaab raha, very successful, aap ne mera itna bada kaam kiya, mujhko successful kiya aap ka dil ki ghehraayi se shukriya ada karta hoon. Jo aap ne kiya koyi bhi nahin kar pata Sir.!”

Aur Vihaan ke enkh bhar aaye aur ensoo chalak bhi gaye, doctor sahab ne usska peeth thapthapaate hue kaha;

“Magar ab plan ko keise aguey badhana hai yeh tumko decide karna hai. 3 se 6 mahine ka mohlat diya tha main ne jabke tumko discharge kiya tabhi blood clots terminate ho gaye the, tumne acha acting kiya hoga ghar par nah?”

To be continued…. (3753 words from both updates)

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.