Update 35 Priya asks Ashita….​

Amit ne socha ke 15 mins baad ussko wahan se kahin door jaakar Ashita se baat karna hoga kyunke vihaan wahin tha…….

Udhar Ashita soch rahi thi ke Amit se jaanne ki koshish karegi ke kia ussko pata tha ke jo parcel ussne Vihaan ko diya tha uss ke andar kia tha… aur sochne lagi ke agar Amit ne haan mein jawaab diya tab kia jawaab degi wo Amit ko? Matlab tab Amit ko sab pata chal gaya hoga ke Ashita aur Vihaan ke beech kia sambandh hai!!…..



Ab aguey….

Break mein Ashita ne khud Amit ko phone kiya kyunke ussko jaanna tha ke kia Amit ko unn kapdon ke baare mein kuch pata tha.

Amit ne jab Ashita ka call dekha to wo bahot khush hua aur baahar nikla uss se baat karne ke liye kyunke andar Vihaan maujood tha. Amit ko Ashita ki surili awaaz aur usski bolne ki adaaein bha gaya tha aur wo sach mein ashik ho gaya tha Ashita ka to usske liye yeh ek bahot badi baat thi ke khud Ashita ussko phone kar rahi thi to Khushi se ussne call liya aur pehla line yeh bola,

“haye re meri kismat, lagta hai upar wala ab mujh par meherbaan hone laga ke itni khubsurat ladki ne mujh gharib ko yaad kiya. Sunao how are you sweetheart?”

Ashita ne apni chulbuli hanssi mein jawaab diya,

“aap yeh mujhko jaaneman aur sweetheart mat bulao please”

Amit ne muskurate hue bade khush mizaj se kaha,

“aji chorrye nah ji, kia rakha hai naam lekar bulaane mein, yeh to buss irade par depend karta hai ke kiss niyat se bulaya jaa raha hai!”

Ashita ne bhi ussi tone aur ada mein kaha,

“Acha? To aap ki niyat kia hai jaan sakti hoon zara?!”

Amit: “Niyat to bada neyk hai ji buss aap ki razamandi ki zaroorat hai issko pura karne ke liye.”

Ashita ne hansste hue kaha,

“meri razamandi? Kyun iss mein main kahan se agayi jab niyat aap ki hai to?!”

Amit ne flirt karte hue kaha,

“chalo chorro nah, yeh batao ke hum mil kab sakte hein, badi tamanah hai aap se milke kuch guftagu karne ki, aap ko enkhon ke saamne dekh kar dil ko araam milega isska bada yakeen hai mujhe.”

Ashita ne hansste hue kaha,

“aap bahot ajeeb ho ji, mere to samajh mein nahin ata ke aap mujhse milna kyun chahne lage jabke hum ek dusre ko jaante tak nahin, aap ko tasveer to bhej diya to aap to mujhse mil chuke ho nah?!”

Jiss waqt Ashita Amit se baat kar rahi thi Priya ussko door se ghurr rahi thi. Shuru mein to Priya ne socha ke wo Vihaan se baat kar rahi hogi magar Ashita ke haav bhaav se Priya ko dikh gaya ke wo kissi aur se baat kar rahi hai, to dhire dhire wo usske karib aane lagi aur sunne ki koshish karna chaahi ke agar vihaan se baat kar rahi hai to itna sharma kyun rahi hai Ashita. Aur phir Priya ne ussko text karte hue bhi dekha tha class mein tab Priya ne socha ke kia vihaan ke paas aur ek mobile hai jo Ashita ussko text kar rahi thi, iss liye Priya ko ziada doubt hua ke Shaayad Ashita kissi aur se baat kar rahi hai. Weise Priya uss waqt apne kissi friend se baat kar rahi thi break mein issi liye Ashita ke saath nahin thi varna Ashita baat bhi nahin kar paati Amit se.

Ashita ne Amit se kaha,

“kal jab aap Vihaan se milne gaye the to kuch diya tha ussko kissi plastic bag mein? Kia tha wo mujhe bataoge aap?”

Amit: “lo kallo baat! Kia yaar main hum donon ke baare mein baat kar raha hoon aur aap hai ke apne bhai ki baat lekar baith gayi, haan kal usska ek parcel reh gaya tha yahan wohi dene gaya tha kyun?!”

Ashita: “eise hi mujhe jaanna tha ke kia aap ko pata tha uss parcel mein kia tha? matlab aap ne khol kar nahin dekha tha ke bhai ne kia wrap kiya hua tha as gift uss mein?!”

Amit: “dil to kar raha tha ke dekhun magar itni himmat nahin hui kissi aur ki wrap kiye hue gift ko kholun, aap hi bata do kia tha uss mein? Kia aap ke liye kuch kharida tha aap ke bhai sahab ne?”

Ashita ne kuch natkhati awaaz mein kaha,

“mujhe yakeen nahin ho raha kyunke ek hafte tak wo gift aap ke paas raha, bhai to hospital mein tha, to ek hafte tak aap ussko weise hi dekhte rahe, nahin khola tha? aap jhoot bhi bolte ho?”

Tab tak Priya Ashita ke peeth par khadi thi aur sab sun rahi thi.

Amit ne Ashita ko jawaab dete hue kaha,

“aap kyun yakeen nahin kar rahe ho mera? Kia main jhoota lag raha hoon aap ko? Are yeh to mere liye ek duvidha ho gayi ke main aap se milna chahta hoon aur aap ne to abhi se hi mujhko liar bana diya kia yaar?!”

Ashita ne kaha,

“nahin wo baat nahin hai, aap sirf itna bata do ke uss mein kia tha kyunke bhai ne mujhko nahin dikhaya, main soch rahi hoon kia chiz tha uss mein ke bhai chhupa raha hai mujhse wo mujhse to kuch bhi nahin chhupata hai!”

Yeh Ashita ne acha game khela eise bata kar, phir khud sochne lagi ke ab agar ussne uss bra panty ko dekha bhi hoga to ussko pata chalega ke mere liye to nahin kharida gaya tha wo gift.”

Tab tak Priya ne Ashita ko piche se chhuh kar dara diya, Ashita ka chehre laal ho gaya Priya ko dekhte hue aur usske samajh mein nahin aaya ke wo ab call end kare ya baat continue kare Amit se. Ishaare se Priya ne pucha kaun hai? Matlab kiss se baat kar rahi hai, to Ashita ne apne ungli ko hothon par rakh kar ussko silent rehne ko kaha aur Amit ne jawaab diya,

“Nahin main ne nahin dekha tha uss mein kia hai, agar vihaan aap se chhupa raha hai to shayad kissi aur ke liye kuch kharida hoga, ya agar aap ke liye hoga to shayad aap ki birthday ke din dega, ya aap ki mummy ya papa ke liye kuch liya hoga!”

Tab jaakar Ashita ko tassali hui ke sach mein Amit ne nahin dekha hoga varna wo yeh to nahin kehta ke usske mummy ke liye gift hoga. Ashita ki jaan mein jaan aayi aur ek lambi saans chorrte hue kaha,

“haan shaayad mummy ke liye kuch liya hoga issi liye mujhe nahin dikhana chahta hai bhai. Achah to phir rakhti hoon ab class mein wapas jana hai okay bye.”

Magar Amit ne kaha,

“are ruko to jaaneman, yeh batate jao ke hum milenge kab? Badi khwahish hai tumko dekhne ki, milne ko, please bata do nah kab dekh sakta hoon tumko my dear!”

Ashita ne sirf itna kaha, “pata nahin bye” aur ussne call disconnect kar diya aur Priya ke taraf dekhte hue apne chaati par haath rakh kar uff kaha!

Priya ne pucha,

“kaun tha ri? Tujhse koyi flirt karne laga hai kia ab?”

Ashita ne blush karte hue kaha,

“Amit tha yaar, vihaan jahan kaam karta hai nah usska boss, mujhse kal Vihaan ki khabar lene ke liye tx kiya tha kyunke yeh mobile to bhai ki hai nah? to ussne socha bhai reply karega magar mobile to mere paas thi nah, to mujhe reply karna pada to ab issko mujhse baat karne ka chasska lag gaya hai hihihihihihi”

Donon Saheli hanssne lage magar Priya ne kaha,

“magar tu kaun si chiz ke bare mein puch rahi thi uss se ke kissi aur ke liye liya hoga vaghaira?”

Ab Ashita ne yeh batana munasib nahin samjha Priya ko ke vihaan ne usske liye lingerie kharida hai to buss keh diya ke vihaan ne kuch samaan kharid kar rakhe the cybercafe mein jo Amit ne wapas kiya kal aur vihaan nahin dikhana chahta ke uss mein kia hai wohi puch rahi thi Amit se ke kia ussko pata hai kia hai uss bag mein. Phir tabhi Mobile ki mesg wala tone baja.

Ashita ne mesg ko open nahin kiya Priya ke saamne. Priya se kaha ke washroom jaa rahi hai aur udhar jaakar mesg ko read kiya, Amit ne likha tha,

“Jaaneman yeh to bata do nah ke kab tumko apne saamne dekh sakta hoon? Please ek baar milna to hai tumse my dear.”

Ashita ne reply kiya,

“Aaj shaam ko college se wapas jaate waqt dekh lena mujhe, main aap ke cybercafe ke paas se guzrungi.”

Amit ne likh kar send kiya,

“Are magar sirf dekhne se Khushi nahin hogi, ek do baat to kar sakte hein nah kum se kum jaaneman?

Ashita ne reply kiya,

“haan to tabhi baat kar lena nah mujhse!”

Amit ne reply kiya,

“come on yaar, weisa milna bhi koyi milna hota hai kia? Kissi restaurant mein ya café mein milte hein nah?”

Ashita ne hansste hue reply kiya,

“aap mujhse flirt kar rahe ho kia ji?”

Amit: “jeisa aap ko suit kare wohi samajh lijiye nah!”

Ashita ne phir type kiya,

“to phir aap ke hi cybercafe mein milte hein thik hai?”

Amit khush hua aur haan mein reply kiya.

Jab amit ne reply send kar diya tab socha ke pata nahin tab tak Vihaan wahin hoga tab kia hoga…. Phir message likh hi raha tha ke Ashita ki mesg aayi,

“main ab class mein hoon tx mat karo please, bye.”

Phir bhi Amit ne tx bheja,

“okay aap ki lunch break mein tx karta hoon okay?”

Ashita ne reply bheja, “OKAY”

To be continued in next post immediately….


Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.