Update 50 Shanaya in trouble​

Ajeeb uljhan mein pad gayi Shanaya ab, kia karegi? Usska mann zor se rone ko kar raha tha, usske dil ki dhadkan tez ho gayi thi, usske haath peyr kaampne lage the, awaaz nahin nikal rahi thi, sar jhukae baithi thi aur aakhir mein usske enkhon se boondein tapak hi gaye jo usski dress par girey…….

Udhar Samir ko ek bechaini si hui, ussko laga ke Shanaya par koyi musibat aan padi hai…. Samir achanak sochne laga ke kia hoga agar woh wapas jab jaega to Shanaya ne uss jagah kaam karna chorr diya ho aur woh usse nahin mile?! Tab kahan dhudega woh Shanaya ko….. bahot bechaini hui usse aur ussne turant apne superior se kaha ke unit mein radio call Karen ussko bahot zaroori baat karnni hai…….

Call ke baad Samir ne pooch taaj kiya ke jo ladki ussko dhudne aayi thi kia woh police ke saath aayi thi aur kia chahti thi. To uss waqt wahan woh aadmi maujood nahin tha jissne Shanaya aur Rita se baat kiya tha….. magar wahan ek system hai ke har kissi ki entry likhi jaati hai ek log book mein, to ussme check karke Samir ko bataya gaya ke do ladkiyan aae the usske bare mein poochne unn ke naam the Rita aur Shanaya. Weh sirf yeh poochne aae the ke kyun Samir ussko bina batae chala gaya aur Shanaya naam ki ladki khud ko Samir ki fiancée batla rahi thi….. Samir ki bechaini aur bhi badh gayi aur ussne poocha kia uss ladki ki address note ki gayi hai. Jawaab mila ke nahin unn donon ko baahar nikaal diya gaaya kyun ke weh jhoot bol rahe the chief ne uss waqt report mein yeh likha tha ke Samir shaadi shuda hai to koyi aur kyun ussko Samir ka fiancée bata rahi hai, iss liye unn donon ke baat ka yakeen nahin kiya gaya aur wapas bhej diya gaya… aur chief ne report meij yeh bhi likha tha ‘May be Samir has an affair outside so she was his actual girlfriend so not taken seriously’!!!

Samir pachta raha tha ab Ship par jaakar. Kaash woh wahan hota to issi waqt Shanaya ke paas jaata….. ab majboor tha aur bekaraar, usske samajh mein nahin araha tha ke kia Karen, wahan se wapas ana to namumkin tha aur poora ek mahina baaki reh gaya tha ship par guzaarne ko aur Samir ki bekaraari dekhi nahin jaa rahi thi…….

Udhar Shanaya rote hue uthkar apne kamre mein chali gayi jabke usske papa ussko phukaarte rahe…… Ladke ke maa baap ne kaha ke weh log intezaar kar lenge aur Shanaaya ke papa ko apni ladki ko manane ka waqt diya. Ladka ko Shanaya bahot passand aya aur apne ma baap se kaha ke ussi se shaadi karega iss liye waqt de gaya Shanaya ke baap ko ussko manaane aur tayyar karne ko……

Ladke wale chale gaye to Shanaya ke papa, mummy aur Majid bhai Shanaya se baat karne gaye usske kamre mein. Woh bed par lete ro rahi thi. Bahot gambhirta se usske papa ne kaha;

“Shanaya tu ro kyun rahi hai? Kia tumko pata hai ke log aaj kal tum par shak karne lage hein? Log to kia ab mujhe bhi shak hone laga hai tum par….. tumhara rawaya badal sa gayaa hai, tum woh nahin jo thi. Bahaot badlaav aaya hai tujh mein main jaanna chahta hoon ke baat kia hai?!!”

Yeh sunkar Shanaya ko zabardast shock laga aur ziada zor se rote hue woh apne maa se lipat gayi. Usski maa Shanaya ke sar par haath ferrte hue narmi se kaha;

“Dekh beta jab ladki ki umar badh jaati hai to log tarah tarah ki batein karne lagte hein, buri nazron se dekhte hein aur ajib ajib batein kehne legte hein. Hum nahin chahte ke tere bare mein koyi eise weise baat karein. Hum kitne mamooli aur izat wale log hein, tere papa ki kitni izat hai tu jaanti hai nah, kia tu chahti hai ke tere papa ke upar koyi ungli uthae? Nahin nah, to shaadi se inkaar kyun karti hai? Ab waqt agaya hai ke teri shaadi kiya jaye, ek na ek din to tumko shaadi karni hai hi, to ab hi sahi, tujhko kyun eitraaz hai bata de agar koyi baat hai to? Kia tu kissi ko chahti hai bata de beta hum teri shaadi ussi se kara denge iss mein koyi harj nahin hai!!”

Shanaya zor se phoot phoot kar roti jaa rahi thi apni maa ko zor se bahon mein jakre hue. Aur Majid bhai bola;

“Shanaya beta, tu sach mein kayi dinon se khoyi khoyi rehti hai, main ne tumse kayi baar baat kiye par tumko pata bhi nahin chala ke main ne baat kiye aur tu seedha chalte chali gayi, eisa to kabhi bhi nahin hua tha pehle, eisa tab hota hai jab ya to koyi badi pareshaani ho ya to kisi ko pyar ho….. to agar tujhko kissi kisam ki pareshani hai to bata de, apnon ko nahin bataegi to aur kiss se kahogi? Hum tumhare apne hein beti, hum tumko support karenge, tujhko kissi problem mein nahin dalenge, agar kissi se pyar karti ho to uss se teri shaadi kara denge iss mein koyi badi baat nahin. Bus tu humko bata de baat kia hai beti.”

“Shanaya ne rote hue Majid bhai se kaha;

“Majid chacha main kuch nahin bata sakti main majboor hoon chacha aap mujhe samajhne ki koshish kijiye, weise eisi koyi bhi baat nahin jiss se aap logon ko pareshaan honi chahiye”

Shanaya ka papa bola;

“Majboor ho? Kaun si majboori ho sakti hai tujhe aur hamein maloom nahin? Kia baat kar rahi ho tum Shanaya? Hua kia hai main jaanna chahta hoon abhi issi waqt mere sabr ka imtehaan mat lo Shanaya!!”

Shanaya bahot ghabra gayi thi aur munh mein jo ata bakki jaa rahi thi.. uss waqt dimaagh kaam nahin karr raha tha ussko iss baat ka darr tha ke usske aur Samir ke beech jo hua hai uss baat ka pata na chal jae gharwalon ko…. Uss ko lag to eisa hi raha tha ke sab log ussi baat ke bare mein jaanna chahte hein magar unn sabko to uss bare mein kuch bhi nahin pata….Shanaya uss haalat mein bhi apne dimaagh par zor dene ki koshish karte hue kaha;

“Papa aap mujhko ek mahine ka waqt dijiye main ek mahine mein aap ko jawaab dungi, aap ko sab kuch bata dungi, aap ki kassam papa!!”

Yeh sunkar mummy, papa aur Majid bhai ek dusre ke chehre ko dekhne lage…. Aur papa aur bhi heyraan hokar poocha;

“Isska matlab ke koyi baat zaroor hai, tumko kyun ek mahine ka waqt chahiye, mujhse ab intezaar nahin hota tu abhi bata ke baat kia hai Shanaaya…. Kyun ek mahina chahiye tujhe, hua kia hai? Main kuch nahin samajh raha, aur jo samajh raha hoon uss se mujhe bahot darr lag raha hai…tu abhi bata ke kia baat hai shanaya!!!”

To be continued……………….

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.