Update 49 People doubt​

Shanaya apne office har roz jaati magar ab Shanaya woh Shanaya nahin dikhti thi, khayaalon mein gum rehti thi, man mein ek bojh jeisa lagta tha, kaafi logon ne notice bhi kiye aur ek shaam ko to jab kaam se wapas arahi thi, aur jiss hisse ko paidal chal kar ghar jaati hai wahan se guzar rahi thi to mohalle ke logon ne notice kiya ke woh Shanaya jo hassmukh raha karti thi usske chehre par ek udaasi si chaayi hui hai. Aur logon ne aapas mein batein karni shuru kar diye.

Baat yahan tak gayi ke usske papa ke kaanon tak aa gaye. Aur Majid bhai ne bhi Shanaya ke papa se kaha ke Shanaya aaj kal normal nahin hai zaroor kuch baat hui hogi. Aksar eisa hota hai zindagi mein ke jo khud ko nazar nahin aata dusron ko dikh jaate hein khaas kar ishk ke mwaamle mein. To Shanaya ko khud pata nahin tha ke usski personality mein kuch badlaav aayi hai aur log ussko notice kar rahe hein; woh apne aap mein gum si rehti thi magar ussko nahin pata tha.

Jab Shanaya ke papa ne Majid bhai se poocha ke kia badlaav dekha hai uss ne Shanaya mein to Majid bhai bola;

“Are bhai woh bilkool meri beti jeisi hai, itne barson se ussko jaanta hoon, usski chehre mein ek noor hua karti thi woh ghaayab hai aaj kal, woh jab bhi mere dukaan se guzarti thi to keise bhi karke mere taraf ek nazar dekhti thi ya ek do batein kiya karti thi magar koyi ek mahine se delh raha hoon woh iss taraf dekhti bhi nahin, yahan tak ke har shaam ko main usska haal poochta hoon , magar ab to sunti bhi nahin meri awaaz ko, seedhe sar jhukae chali jaati hai, jeise kissi ke khayaalon mein khoyi hui hai ya koyi gham ussko sata rahi hai, kuch to jai, kissi se pyar vyar ka chakkar to nahin? Mujhe to eisa hi lag raha hai zaroor kissi ko chahti hai yeh ya koyi ussko pareshaan kar raha hoga tu pata kar, teri beti hai….. agar tujhse nahin hoga to tu ijazat de main baat karta hoon, mujhse kuch nahin chhupaegi…. Ya to fir koyi acchah sa ladka dhund le aur usske haath peele karde yaar usski umar badhti jaa rahi hai 24 ki ho gayi nah….. ”

Shanaya ke papa ne kaha woh who to shaadi se inkaar kar rahi thi, tab Majid bhai ne bola woh to ek saal pehle ki baat hai, iss ek saal mein kia pata usske dil mein ab ghar bassane ki ichhah jaagi ho? To donon doston ne socha ke bina Shanaya ko kuch batae kiss achche ladke ko talaash karke ussko Shanaya se milaate hein…aur turant Majid bhai ke kaha ke ladka to hai, bus uss ko Shanaya ko dekhne ana hai….

Bus hona kia tha, inn logon ne sab intezaamaat kar liye aur ek Sunday ko din mein ek car rukti hai Shanaya ke ghar ke saamne aur ladka aur usske maa baap Majid bhai ke saath ghar ke andar aate hein jisska swagat Shanaya ke mummy papa karte hue andar baithne ko kehkar Shanaaya ko bulaate hein.

Shanaaya ko tayaar hone ki kabhi zaroorat hi nahin padti thi. Woh itni khubsurat aur achchi hamesha dikhti hai bina sajna sawarna hi woh alag hai sabse, issi liye usske mata pita ne ussko sajhne dhajne ko nahin kaha tha.

Jab Shanaya lounge mein aayi to unn logon ko dekh kar thoda heyraan hui aur sawaali nazron se apne mummy aur choti behen ko dekha. Choti behen samajh gayi thi ke ussko ladke wale dekhne aayi hai to woh Shanaya ko chidha rahi thi. Shanaya apne papa ke paas baithi apne nazron ko jhukae, woh hamesha weisi hi pesh aati thi ghairon ke saamne yeh mamooli baat thi. Shanaya ko shak ho raha tha magar pakka pata nahin tha ke kia baat hai, ussne to ladke ke taraf dekha bhi nahin. Sar jhuka kar Namaste kiya generally sabko baithne se pehle magar kissi se bi nazrein nahin milaayi, yeh usski aadat thi.

Kuch der baad Majid bhai bola;

“Shanaya beta yeh ladka bank manager hai aur issko koyi eitraaz nahin ke tum kaam kaaro shaadi ke baad bhi. Oonche khayaalaat ke log hein, modern hein aur tu khush rahegi mujhe pura yakeen hai.”

Yeh sunkar Shanaya ka dil zor se dhadka aur usske maathe se pasina chhuth gaye…. Usske jism mein ek thartharaahat si hui aur woh uth khadi hui turant sar ko niche hi jhukaae hue, ek kadam jaane ke liye kiya magar usske papa ne usska hath pakar liya aur baithne ka aadesh diya. Shanaya ko majbooran baithna pada aur apne dupate ko ungliyon mein goal goal ghumaate hue aur peyron ko chappal mein ragadhte hue apni bechaini ko khud mehsoos karne lagi… usske dil mein Samir ki yaad taaza thi aur ussko har pal sirf Samir nazar araha tha chaaron taraf, usski zubaan par sirf ek hi naam ata tha har pal woh tha Samir, Samir, Samir…. To ab woh keise kissi aur ke bare mein soch sakti hai aur keise kissi ko apne dil ki haalat baata sakti hai!! Bahot bekaraar thi aur usske samajh mein nahin araha tha ke kia karen….. uss se kuch bola bhi nahin jaega kissi se bhi apne aur Samir ke bare mein…. woh bahot ghabra gayi aur apne papa ke kaan mein dhire se sirf itna kehkar uth gayi jaane ke liye, “Papa main shaadi nahin karungi abhi please inn logon ko lauta dijiye”

Papa ghussa hua aur aur fir usska haath pakar kar baithne ko kaha. Shanaya darr gayi kyunke usske papa ne kabhi bhi usske saath weise baat nahin kiye the. Papa naraaz tha, kyunke log tarah tarah ke batein karne lage the. Aur papa ab kisssi kimat par Shanaya ki shaadi kar dena chahta tha. Aur ussne kaha;

“Dekho Shanaya, tum padhna chahti thi, to main ne padhne diya, baad mein aur ziada padhna chahi jab shaadi ki baat kiye humne; tab bhi main maan gaya. Fir jab Shaadi ki baat hui tab tu kaam karna chahti thi main tab bhi maan gaya, magar ab waqt agaaya hai ke teri shaadi ki jaae…. Hum par bhi zimedaari hai mujhko apna kartavya nibhaane do. Ek baap hote hue yeh mera haq hai ke main tumhari shaadi karaun aur tumko iss baat se inkaar nahin karni chahiye…. Kab tak rukegi tu? Kab tak shaadi nahin karegi? Itna achcha rishta aya hai, ladka bank manager hai aur ussko eitraaz bhi nahin ke tu kaam continue kare, to teri bhi khwahish puri hogi aur hamari bhi… aur ladke ne yeh bhi kaha ke tu apni tankhwa se apne bhai behen ki studies bhi finance kar sakti hai ussko iss par bhi eitraaz nahihn hai aur kia chahti hai tu??! Mujhe kuch nahin sunna tujhko yeh rishta manzoor karna hi hoga…..”

To be continued immediately on next post……………

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.