Update 48 KEISA JUNOON?​

Uss sapne ke baad Samir dobara sochne par majboor hua. Kuch tha jo ussko rok raha tha, kuch eisa tha jo usske dil mein ek tees sa utha raha tha…. Raat ke beech chohunk kar utha tha woh uss sapne ko dekh kar. Thik ussi waqt raat ko ussi lamhe udhar Shanaya jaag uthi aur uthkar baith gayi apni bed par….. usske khayaal mein to sirf Samir hi bassa hua tha aur usske ilawa woh kuch aur sochti hi nahin thi. Woh Samir ko soch rahi thi aur udhar Samir Shanaya ko soch raha tha. Ab issko kahani ya kitaabi batein kahen ya hakikat mein bhi eisa hota hai. Nahin yeh sirf kitabon aur kahaniyon mein nahin hakikat mein bhi eisa hota hai.

Ek roohani kashih tha donon ke beech jeise ek dusre ko jodh raha tha. Aatmaon ka milan ho raha tha jeise. Shanaya ko sirf Samir ki enkhen dikh rahe the, ussne apne enkhon ko bandh kar liya aur Samir ko yaad kiya to sirf usski enkhen dikh rahe the usse, aur uss taraf Samir Shanaya ka masoon chehra, darri hui, sehmi si dikh raha tha ussko sochte hue…. Shanaya ne Samir ko uss waqt dil mein yaad karte hue socha jab gadde mein woh ussko chum raha tha aur uss waqt Shanaya darri hui thi aur sirf usske enkhon mein dekh rahi thi, woh ghusse se bhari hui khatarnaak enkhen jiss mein koyi khaff nahin tha jiss mein mardaangi dikh rahi thi aur bahot himmat….. Shanaya unn enkhon ko yaad karte hue khud ko apne bahon mein jakra aur Samir ki yaadon mein kho gaya…. Aur udhar Samir ne bhi khud ke bahon ko apne aap par kiya aur Shanaya ko yaad karte hue uss drisht ko yaad kiya jab gadde mein ussko weise jakra tha aur usske gale ko chummte jaa raha tha……

Fir Shanaya ko Samir ka jism apne jism par jeise mehsoos hua aur usska pura jism ka rowan khada ho gaya aur achanak ussne apne enkhon ko khola, muskuraayi aur dhire se “Samir I love you” kaha… aur ussi waqt Samir jiss ne apne enkhon ko bandh kiya hua tha chohunk kar enkhon ko khola kyunke ussko Shanaya ki awaaz sunaayi di…. Ussne Shanaya ko usse phukaarte hue suna….

Bina mobile, bina telephone, bina satellite ke yeh donon communicate kar rahe the ek dusre se… kia eisa ho sakta hai? Kia yeh mumkin hai? Han eisa hota hai…. Yeh roohani taaqat ka assar hai, aatmaon ka milan hai…. Telepathy kahen ya koyi aur naam dein isse magar eisa hota hai….. bus itna hona chahiye ke dil ki gehraayi se ek dusre ko usssi samaye par yaad Karen , dil saaf aur paak honi chahiye aur pyar sacha hona chahiye tab yeh mumkin hota hai….. woh ehsaas ho jata hai ke jiss se aap communicate kar rahe hon woh respond kar rahe hein ya nahin, mehsoos hoti hai woh kashish jo aam taur par nahin hote… raat ki gehraayi ko cheerte hue milon door se kissi ki awaaz sunayi deti hai…. Usska ehsaas hota hai, usska wajood saamne dikhaayi deta hai, usski chuwan ka ehsaas ho jata hai…. Aur jab ishk iss gehraayi tak aati hai to koyi bhi taaqat eise ishk karne wale ko alag nahin kar sakte…. Woh iss liye ke eise ishk ko khud upar wala sahara deta hai aur jodta hai, woh khud milata hai roohon ko aur milaap zaroor hota hai der se hi sahi magar hota hai.

To Shanaya ne Samir ko aur Samir ne Shanaya ko mehsoos kiya uss raat ki gehraayi mein. Donon jeise ek dusre ke bahot hi kareeb the uss waqt…. Shanaya ke enkhon se do boond chalak gaye aur heyraani ki baat yeh thi ke Samir ki enkhen bhi bheeg gaye ussi waqt uss taraf ship par. Aur Samir ne kaha; “Tum kaun ho, tum se kia rishta hai, kyun mere dil – o – dimaagh mein iss tarah se chaayi hui ho? Samira se to kabhi eisa mehsoos nahin hua mujhe, magar tum se

kia naata hai, keise pata lagaun…iss waqt mere sabhi peintre pheeka lagta hai…mere training sab kamzor dikh rahe hein tumko samajhne aur jaaanne ke liye…..”

Udhar Shanaya ne khud se kaha Samir ko gehraayi se mehsoos karte hue, “Main behad pyar karne lagi hoon tumse, tumhara intezaar badi besabri se kar rahi hoon, mujhko aur mat tarpao, jaldi wapas ajao, muhjse eisi imtehaan na lo main bahot kamzor hoon mujhse nahin saha jaega Samir….”

Samir ka dil bahot zor se dhadka jab Shanaya ne weh lavz kahein….. Samir ko laga koyi ussko bula raha hai, aur uthkar baahar ship par gaya thandi hawa khane…subha ke 3 baje the, aasmaan mein bahot saare tare feyle hue the, chaand ka tukra door apne roshni mein khud badalon mein chupa chupi kehl raha tha, ek thandi hawa ka leher daud raha tha jiss se Samir ko sukoon mila, aur uss leher mein ussne ek baar fir Shanaya ki jism ki khusbhoo mehsoos kiya jiss ne ussko aur ek baar chohunka diya…. Yeh kia kashish thi, kia junoon tha usske samajh ke baahar tha, ussne ek lambi, gehri sanns lete hue Shanaya ka naam liya aur kaha, “Kaun ho tum Shanaya, kia mujhko tum bhi dhoka de rahi ho ya mujhse koyi ghalat faimi ho rahi hai? Batao mujhe; mujhe darr hai ke kahin main kuch ghalat na kaar baithun?!!”

Udhar Shanaya ne kaha; “Tum mujhko dhoka to nahin de sakte, kabhi nahin mujhe jitna apne bhagwaan par yakeen hai ab tum par bhi utna hi bharosa hai, jiss tarah se tum uss roz pachta rahe the, jiss tarah se tumne woh sms bheje the woh kaafi hai tumhare dil ki baat samajhne ko…. Main ab sirf tumhari hoon aur marte dum tak rahungi…tumko mujhe apnana hoga, main ne to dil se tumko apna liya hai…bus tumhare wapasi ka intezaar hai Samir…..”

Udhar Samir ne aasman ko dekhte hue thik ussi waqt ek duah manga;

“Ey upar wale, ey dilon ko jodne wale mujhse koyi bhi eisa kaam mat karwana jiss se kissi ke dil ko thess ponhuche ya kissi ka dil toote, mujhko sahi raasta dikhana aur koyi ghalat faimi ho to jaldi use door karna please….. Shanaya kaun hai mujhko dikha dena, agar main ussko chahta hoon to ussko meri zindagi mein laana aur agar woh meri nahin ho sakti to ussko mujhse hamesha ke liye door kar dena,, mujhse aur dhoka sehen nahin hoga maalik, main kuch kar baithunga agar mujhe dhoka diya gaya to….. main uss se bahot pyar karne laga tha….magar mujhe nahin pata kia woh bhi mujhse sach mein pyar karti hai ke nahin, agar karti hai to humko milana varna mat milana ey dunya ko banana wale, iss khubsurat aasmaan ka vaasta hai tujhe meri taklifon ko door kar!!” Aur Samir ne apne enkhon se behte hue ensoo ko poncha upar dekhte hue……

Shaayad aasmaan ne usski duah ko qubool kar liya uss waqt.

To be continued…………….

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.