Update 47 It happened but…….​

Samir wapas agaaya tha dil mein badle ki aag liye woh Shanaya ka intezaar kar raha tha pichli baar ki tarah, bilkool ussi jagah, ussi samay. Jeise Shanaya nazar aayi ussne bilkool pichele baar ki tarah chehre par naqaab pehne Shanaya ko zabardasti uthaya aur gadi mein bitha kar car start kiya aur tez raftaar se jaane laga. Shanaya ne koyi zor nahin dikhaayi balke woh behad khush thi aur chup chaap apne aap ko uthwane diya. Jab Samir Car drive kar raha tha to shanaya usske enkhon ko dekh rahi thi aur khushi ke ensoo usske enkhon se behne lage.

Fir Shanaya usske gale mein apne bahen daalte hue usske gaal ko chumne lagi aur kehti gayi, “I love you, I love you very much, kitna tarpaya tumne mujhko, kyun itna tarpaya mujhe tumne?” Samir kuch nahin bol raha tha balke Shanaya ko dhaka dekar wapas usski seat par kiya usse. Shanaya muskuraate hue boli;

“Uff tumhari yeh adaa, yeh mardaangi, yeh ghussa, yehi bhaa gayi mujhe shaayad… weise hum kahan jaa rahe hein ussi jagah jahan pehli baar gaye the? Hmm?”

Samir koyi jawaab nahin de raha tha, bahot ghusse mein dikh raha tha aur drive karte jaa raha tha, bahot hi tez. Car kabhi gadde mein padta, kabhi kissi chiz se takrata fir bhi Samir drive karte jaa raha tha…. Shanaya ne kaha; “Ab itni jaldi kyun hai, ab to main tumhari ho gayi hoon dil – o – jaan se to yeh bechaini kyun, araam se chalo, aaj main khud apne aap ko tumhare hawale karti hoon, yeh jism – o – jaan sab tumhare hein ab.” Samir bahot khamosh tha, usske jabra hill raha tha woh apne danton ko dabae jeise apna khoon pee raha tha ghusse mein…..

Jald hi woh ganne ka khet agaya aur Samir ne Shanaya ke haath pakar kar zor se khinchte hue lejaane laga khet ke andar…. Shanaya ko dawdna padh raha itna tez Samir chal raha tha ussko khinchte hue….. Shanaya fir boli, “Magar kyun eise behave kar rahe ho jeise dobara mera rape karne jaa rahe ho main ne kaha ke ab main tumhari hoon! Bahot pyar karti hoon tumse main, ab tumhare bina jina dushwaar hai mera…. Tumko nahin maloom main ne kiss tarah yeh do mahine bitae hein, har pal til til marr kar jeeya hoon tumhari yaad mein……”

Samir ne ussko apne goad mein utha liya ganne ke khet ke andar daakhil hote hi aur tez kadmon se chalte hue aagey badhne laga….. to Shanaya ne apne bahon ko khushi se usske gale mein lappet liya aur usske gaalon (naqaab par hi) ko chumte hue aaguey badhe….. tab Samir bola;

“Mujhe bewaqoof samajhti hai tu? Tu samajhti hai main tera khel nahin samajhta hoon – Bhagwan ko yaad karle aaj tera aakhri din hai, mita dunga tujhko nah rahegi banss na bajegi bansuri, dekhta hoon keise tu mujhko naukri se nikalwati hai, tu kia samajhti hai main Afzal hoon kia? Mera vardi nahin utrega, mujhko dismiss nahin kiya jaega, tu yahin sadh jaegi aur kissi ko bhi pata nahin chalega tera ata pata….. to tu keise mere khilaaf kuch bata paegi…tera naam o nishaan mita dalunga aaj…..”

Yeh sunkar Shanaya thodi heyraan hui magar usske baton ko ziada ehmiyat nahin diya, ussne socha Samir ussko dara raha hai eise hi…..

Gadde mein aa ponhuche aur Samir Shanaya ko kandhe par lekar niche utra. Jeise hi niche aa gaye Samir ne Shanaya ko zameen par patka, ussko halki si choth aayi kamar mein, fir bhi seh liya, kuch nahin kaha, fir jab Shanaya khadi hui aur apne bahon ko Samir ke gale mein dala to Samir ne ussko dhaka dete hue kaha;

“Kia samajhti thi tu ke mujhe kuch pata nahin chalega, tu kaamyaab ho jaegi tum ne socha nah? Are mujhe pehle to shak hua tha fir jab asliyat ka pata chala main ne apne enkhon par yakeen nahin kiya uss din jab tumko police walon ke saath dekha…… mujhko fanssaana chahti hai tu?!! Kamini aurat!! Sab aurat ek jeise hote hein sirf mardon ko dhoka dene ke liye paida hote hein… khaas kar mujhko…. Magar ab main eisa nahin hone dunga…. Aaj to tu gayi kutia aaj tu gayi yaad karle apne bhagwaan ko tera antim samaye agaya ab!!”

Shanaya ne sab suna aur apne kismat par pata nahin uss waqt woh hansse ya roe…. Bus chup chaap Samir ke enkhon mein dekhti rahi aur itna kaha ensoo bhare nainon se; “Inn enkhon mein main ne apni zindagi dekhi hai meri nazrein dhoka keise khaa sakte hein, tum mujhko naayi zindagi dene wale the to maut ka samaan kyun laae ho apne saath aaj?”

Samir ne aur ek dhaka dete hue usse kaha, “Band kar apni bakwas aur chikni batein main nahin ane wala teri baton mein, bahot bewakuf bana liya mujhe kamini, maut saamne dikhayi diya to mithi batein karne lagi tu!”

Shanaya ke enkhon se boondein chalkne lage aut thartharate honton se kaha;

“Kia kismat leke aayi hoon main bhi, eisi to nahin thi meri kismat ab kia ho gaya samajh mein nahin ata, Samir main tumse behad pyar karti hoon khuda kassam, tumko apna jaan maan liya hai kabse…. Tarap rahi thi main tumhare yaad mein itne din aur aaj tum kia sila de raho mujhe… chalo thik hai, tumhare hathon se marna bhi gawara hai mujhe bus ek ilteja hai woh puri kardo mujhe maarne se pehle….”

Samir: “Han bol teri aakhri khwahish zaroor puri hogi jaldi bata…”

Shanaya tarapti awaaz mein behte ensoowon se boli, “Ab to yeh naqaab hatado, dekh lene do kaun hai woh jiss ke saath mujhe laga ke mera janmom janmom ka naata hai….”

Samir ne ek shaitani muskurahat ke saath yeh kehte hue apne chehre se naqaab hataya, “Sach mein ek number ki chaalak aurat hai tu, wah maan gaya main tumko, marte marte dekh le mera chehra, kitni bholi banti hai tu par hai ek number ki chaalak tu”…. Yeh kehte hue Samir ne ek lamba tez churra Shanaya ke peth mein bhonk diya…… woh churra itna lamba tha ke Shanaaya ke uss paar nikal aya usski peeth mein…..

Shanaya muskurate hue Samir ke chehre ko dekh rahi thi aur ek aah bhi nahin nikli usski zubaan se….woh khush thi ke ussko dekh rahi thi jo ussko dekhne aya tha usske ghar mein apne pita ke saath….. yeh pehla aadmi tha usski zindagi ki aur issi liye hamesha se Shanaya ko lagta tha ke iss se usska koyi naata hai….. Shanaya ki saansein foolne lagi aur munh se khoon nikal pade….. apne jeebh ko baahar nikaal ke honton par ferra jo khoon se ladpath the, tab Samir ne churre ko wapas khincha usske peth se….tab Shanaya ki aah nikli aur woh zameen par girr gayi, enkhen khuli hui tab bhi Samir ke chenre ko dekh rahi thi….. aur ek muskurahat usske chere ki raunak ko badha rahi thi; Shanaya ne apne haath upar karte hue Samir ko apne paas ane ka ishara kiya; Samir mudhkar wapas jane wala tha magar pata nahin kyu ruk gaya aur Sahanaya ke paas baitha usske hath thaam kar…. Tab Shanaya ne rukte rukte awaaz mein kaha;

“Tumse sach mein bahot pyar karti hoon, koyi bhi dhoka nahin diya main ne tumko, tumko apna jaan maana hai main ne….tumko apna pati swikaar kar liya hai mann mein…….” Woh bol nahin paa rahi thi..rukna padh raha tha saans lene ke liye, naak aur munh se bahot khoon behne lage the….. fir ussne bolna jaari rakha, aur thoda sa muskurate hue apne haath ko Samir ke chehre par ferte hue boli, “Kitna sona hai tu, tumko pehle din dekhte hi pyar hogaya tha tumse….. jab tumhari shaadi ki khabar suni to jalan aur udaasi chaa gayi thi, par dekho kismat ka khel tum apne wife se juda huwe, mujhse se mile aur ab mujhse bhi juda…….” Bus itna hi keh paaya Shanaya aur usski aatma parlok sidhaar gaye…….

Samir zor se chillaya, “Nahin nahin tumko batana hoga tumne mujhe kab dekha tha pehli baar kab keise mujhe jaaanti ho tum?? Jawaab do, jawaab do mujhe kaun ho tum? Kaun ho tum?!!!!!! Aur achanak Samir ki enkhen khul gayi….. yeh sab woh ship par sote hue sapna dekh raha tha!!! Samir pasine se tarr tha…. Pasina ponchte hue woh gehri khayaalon mein kho gaya fir se Shanaya ko sochte hue…… kia woh mujhe pehchaanti hai? Kia main usss se mila hoon pehle kabhi? Kyun woh kaha karti thi ke mujhse usska koyi rishta jeise hai?? Kaun hai woh? Kia chahti hai woh mujhse? Kia woh mujhko report karne hi ko gayi thi Superiors ke paas? Yeh sapna kyun aya mujhe ke main usski katal kar raha hoon? Han main ne yehi karne ko socha hai…. Magar sapne mein baad mein pachta raha hoon kahin sach mein pachtana na pad jaaye?? Bahot soch samajh kar kaam karna hoga… har kadam phoonk phoonk kar uthana hoga mujhe, koyi ghalati nahin honi chahiye iss baar….. main Afzal ki tarah lapete mein nahin ana chahta……

Aap sab sochen, main issko END wala asli part likhne wala tha magar pata hai ke bahot doston ko eisi end passand nahin ata to dream bana diya isse :D

Ab sochen end eisa hota to kia hota?


To be continued………………………..

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.