Update 46 Suspense​

Comandos ke daftar mein ek chief se baat hui to unhon ne kaha ke proof pesh Karen ke weh Samir ko jaante hein tab kuch bataega varna Comandos ke mission ke bare mein kissi ko nahin bataya jaata. Rita ne kaha ke Shanaya Samir ki fiancé hai aur bina batae ya kuch bole woh uss ke saath koyi contact nahin kar raha issi liye yeh yahan aae hein pooch taaj karne. To chief ne kaha;

“You are lying. Samir ki shadi ho chuki hai aur usski koyi fiancé nahin. Aap ko yahan jhoot bolne ki jurm mein hum giraftaar kar sakte hein issi waqt aur ek Comando ki search karne ke liye aap se special officials interrogation kar sakte hein kia chahte ho aap, aap yahan se niklenge ya interrogate karwaun jiss mein ghanton lagega?”

Rita ghabra gayi aur Shanaya ko dekhne lagi jissne ussko wapas chalne ko kaha. Donon nikal rahe the ke Samir ka ek saathi jo weak performance dene ki vajah se Ship par nahin gaya tha baahar se sab sun liya tha. Aur jab Rita aur Shanaya baahar chale gaye to woh piche se unn logon ko awaaaz diya aur dhire se jaakar bataya ke Samir ship par Somalia gaya hai aur do mahinon ke bad wapas aega.

Shanaya ka dil bahot zor se dhadka aur ussko chakkar jeise aya to Rita ke kandhe par apna sar rakha jeise girrne wali hai…. Tab Rita ne uss aadmi se Samir ka contact number manga fir ussne kaha ke beech samundar mein koyi bhi contact nahin ho sakta Ship ke radio ke ilawa. Mobile contact namumkin tha aur ussko Samir ka number nahin maloom tha.

Tab Shanaya ne dhimi awaaz mein poocha; “Samir keisa hai? Ussko to choat lagi thi aur ek mahine ke liye chuhti par tha nah?” Tab uss saathi ne kaha; “Mujhe bhi heyraani hai ke keise ussko ship par allowed kiya gaya jabke uss ka naam nikaal diya gaya tha kyun ke woh chhuti par the…. Fir kab kia decide kiya superiors ne mujhe nahin pata, magar yeh tey thi ke Samir ship par nahin jane wala tha usska naam kaat diya gaya tha.”

Shanaya: “To fir kyun aur keise gaya woh? Mujhko bataya bhi nahin ussne kyun eisa kiya ussne mere saath?!”

Shanaya aur Samir ka woh dost Shanaya ko dekh rahe the bina kissi jawaab ke. Shanaaya ke enkhen bheeg gaye aur sar jhuka liye rone ke liye. Tab Rita ne ussko sambhaalte hue uss aadmi ko thanks kehte hue yeh bhi kaha ke jab Samir wapas aega to ussko zaroor batana ke Shanaya usss se milne aayi thi yahan.

Aur woh wapas chale gaye. Shanaya bahot udas ho gayi aur raaste bhar rote hue wapas office gayi.

Udhar Uss Comando chief ne ship par radio call kiya aur commander se Samir ko bulaya baat karne ke liye. Samir se baat hui to chief ne poocha ke kia woh kissi Shanaya naam ki ladki ko jaanti hai. Beech Samundar mein Samir pehle se hi uljha hua tha iss bare mein aur ab chief uss se ussi ke bare mein pooch raha tha to Samir ne socha ke ab Shanaya ne case kar diya hai uss par issi liye chief ko bhi pata chal gaya, matlab ab chief Samir ko rape ke jurm mein dismiss karega, usski uniform faadi jaegi aur Samir ko woh manzar yaad aya jiss waqt Afzal ko dismiss kiya gaya tha ussko nanga karke….. Samir jab koyi jawaab nahin de raha tha to chief ne sawaal dohraate hue poocha “You have been asked to answer my question Mister Samir!!”

Samir ka pasina chhut gaya aur poocha, “Which Shanaya Sir? Please tell me what happened!”

Chief: “You do not know which Shanaya? You must be ashamed of yourself, you are a married man yet you do such kind of things?”

Ab chief ko to pata nahin tha ke Samir apne wife se separate ho gaye hein. Woh to yehi samajhta tha ke samir shaadi shuda hai. Ab Samir yeh to nahin bata sakta tha unit mein ke usski wife ki kissi aur ke saath chakar that iss liye donon alag ho gaye…. Samir ne kissi se bhi kuch nahin kaha tha Afzal ke ilawa. Aur ab baat yeh thi ke jiss tarah se Chief ne kaha ke shadi shuda hote hue tumko eise harkat karte hue sharam aani chahiye, to Samir yehi samjha ke chief rape ke bare mein baat kar raha hai, aur yehi samjha ke Shanaya ne Comando office mein bhi report kar diya hai rape ko Samir ka naam dekar……. Ussko aur ziada nafrat ho gayi Shanaya se aur aurat zaat se ab to…..

Chief ne aur details nahin diye ussko bus yeh kaha ke unnko Samir se eisi umeed nahin thi. Samir ne yehi samjha ke ab uss par bahot bada case hoga aur apna naukri kho baithega aur jail bhi jaega. To ab iss baat ko lekar Samir behad pareshaan rehne laga har roz. Din raat issi bare mein sochta raha, kabhi ghussa karta to kabhi Shanaya ko jaan se maarne ka sochta….. plan banana chahta tha ke jeise wapas desh jaega to firse Shanaya ko uthaega aur iss baar uss gadde mein lejakar gaad dega. Shanaya ka khoon kar dene ka sochne laga ab….. khud se Samir ne kaha; “Sali tu bhi randi hi nikli nah, mujhse mithi mithi baatein kar rahi thi aur ab mujhko report karne chali gayi superiors se! Wapas jaakar iss kutiye ko jaan se maar dalunga, iss se peehle ke mujhko dismiss kiya jae main uss ko maar dalunga iss baar…rape kiya tha sirf, ab jaan lunga Shanaya ki !!..... Sali auratein mujhko raas nahin aati…nahin aati mujhko raas auratein mujhe inn se door hi rehna hai ab zindagi bhar…..”

Udhar raat bhar Shanaya so nahin paayi. Yaad kar rahi thi kab last time Samir se baat hui thi, aur kab Ship par gaya woh…. To yehi samjhi ke uss roz jab Shanaaya ne uss se poocha tha ke rape karte waqt ussko keisa laga tha ussi roz se aur ussi waqt se Samir ne nah usska sms reply kiya aur nah call attend kiya…. Shanaya samajh gayi ke Samir tabhi se naraaz hai uss se aur woh ghusse mein khud jaan boojh kar ship par gaya hoga…aur khud se Shanaya ne kaha;

“Koyi baat nahin Samir, seh lungi tumhare sitam. Jitna sitam karna hai mujhpar karte jao, iss se ziada dukh to tum mujhe de chuke ho to yeh bhi seh lungi, pyar jo karti hoon tum se, to tumhare pyar mein yeh bhi manzoor hai mujhe. Jitna jee chahe mujhko rulao, jitna jee chahe tarpalo, main sehti jaungi, magar pyar to tumse hi karungi marte dum tak ab – chahe meri jaan bhi lelo Samir main ab kissi aur ki nahin ho sakti…jism to tumne zabardasti le liya, dil main ne khud tumhein somp diya hai, ab dekhna hai iss dil ka kia karoge….. jab tak dum hai sehti rahungi, nahin seh paayi to tum khud aakar sambhaalna apne pyar bhare dil ko…… Main tumhara intezaar karungi Samir, mere mister shut up, main wait karungi, 2 mahine kia tum do saal ke liye bhi kahin gaye hote to main tumhara intezaar karti…… mera pyar agar sacha hai to tum mere paas laut kar aoge zaroor, dekhti hoon mere pyar mein ab kitna dum hai….. mujhe jeetna hoga, tum mere paas zaroor wapas aoge, main ne pehli baar pyar kiya hai aur isss mein main asafal nahin ho sakti….. bus waqt ka intezaar karna hai dekhti hoon waqt mujhse aur kitna imtehaan leti hai….. will wait for you my love, will wait for you….” Aur rote rote Shanaya ko neendh aagayi.

To be continued…….

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.