Update 45 Samir goes away again​

Comando unit ke 10 Comandos ko firse jahaaz par wohi Somalia ke pirates ka saamna karne ke liye select kiya gaya tha jab Samir hospital mein tha. Unn Comandos mein usska bhi naam tha. Magar kyunke woh hospital mein tha aur doctor ne use 1 mahine ke liye chhuti diya tha to usska ham hote hue bhi woh nahin jane wala tha ship par. Superiors ne sirf 9 Comandos ko bhejne ka intezaam kiya.

Magar ab jabke Samir ne apne dimagh mein yeh soch liya ke Shanaya ussko police ke hawale karna chahti hai to woh apne superior se milne gaya office mein. Chief se kaha ke woh ship par jaega. Chief ne ussko bola ke woh chuthi par hai to araam, ka faeda uthaaein. Magar Samir ne yeh kaha;

“Boss main to 24 hours duty par rehta hoon nah chahe office mein hoon ya dunya mein kahin bhi duty par rehta hoon nah? chahe chuthi par hoon tab bhi duty par hoon nah? Agar iss ek mahine ke beech mein jab main chuthi par hoon, inn dinon mujhko koyi issue dikhaayi diya kahin ya koyi gangster mila to ussko chuthi par hote hue bhi shoot ya arrest kar sakta hoon nah hai ke nahin boss?”
Boss ne kaha han bilkool kar sakta hai. To Samir bola;

“To boss mujhe ship par jaane ka ijazat dedo, main wahan bhi duty par hi rahunga jeise yahan ghar par rehte hue bhi duty par rahunga… I want to go boss mera dum ghut raha hai yahan rehne mein ab!! Now I am alone no wife or anything so I want to go away from here please let me go Sir.”

To chief bola ke woh to ghayal hai usske paon mein takliff hai. Tab Samir ne jawaab diya ke jab action lena hota hai to woh bhool jaata hai ke ussko koyi takliff hai, chahe ussko action ke dauraan goli bhi lag jae tab bhi woh apna mission ko complete karta hai marte marte hi sahi….. to ek choti si khaadach kia rokega ussko apne mission ko pura karne mein…..

Boss maan gaaya aur ussko jaane ko kaha ship par. Magar Boss ne Samir ko yaad dilaya;

“Remember that you will be on the sea for 2 consequitive months this time; you all will be back only after 2 months and from there apart from radio contact of the ship you will have no contacts with the anybody of the country okay? Remember that well.”

Samir aakhir chala gaya boat par jo ussi shaam ko port chorrne wala tha Somalia ke beech samundar mein jaane ke liye. Samir chal sakta to tha magar usske peyr mein dard vaghaira nahin tha aur ghao bhar rahe the, to thode hi dinon mein thik ho jaega yeh sahi tha.

Ab Samir to iss liye jaa raha tha kyun ke woh samajh raha tha usske saath firse dhoka hua hai aur ranj aur gham mein hote hue jaa raha tha….. ek kissam ki nafrat si ho gayi Shanaya se bhi aur socha ke ab kabhi kissi ladki ke taraf dekhega bhi nahin. Usske dil mein dard tha, pyar ho gaya tha Shanaya se aur ussne bahot kuch soch rakha tha Shanaya ke liye apne dil mein. Ussne jo bhi sms bheje the Shanaya ko dil ke khoon se likhe the, aur badle mein woh samajhta tha Shanaya se ussko pyar milega aur usski ki zindagi dobara sahi tarah se chalne lagegi Shanaya ka saath paakar, magar aab ussko nafrat si ho gayi khud zindagi se aur aur chahta tha ke koyi eisa muthbher ho jae jiss mein ussko goli lag jaye aur woh marr jae….

Jaane se pehle iss baar bhi uss ne apne papa ko phone karke bata diya ke do mahinon ke liye beech samundar mein jaa raha hai. Tab baat karte waqt apne pita se ussne poocha ke Samira wali baat baata diya gharwalon ko. To pita ne kaha han sabko bata diya sab bahot afsos kar rahe hein usske liye aur ussko ghar ane ko kaha hai. Aur Samir ke papa ne ussko ye bhi bola; “Beta tu wapas aae to sidhe ghar ana hum tumhare liye dusri ladki dekh ke tera ghar bassa denge. Mil jaegi achchi ladki, main dhundunga, tu zaroor wapas ghar ana beta.”

Samir ne mana kiya yeh kehte;

“Hargiz nahin papa. Mujhe ab bilkool shaadi nahin karni hai. Mujhe nafrat hai ladkiyon se. yeh khayaal aap apne dimaagh se nikaal dijiye ke mere liye ladki dekhe vaghaira. Main abhi hi keh deta hoon main kissi ko manzoor nahin karne wala aur agar aap ne shaadi ki baat ki to main ghar wapas aunga hi nahin!”

Do din ho gaye aur Shanaya Samir se contact nahin kar paa rahi thi. Kissi tarah ki contact nahin ho rahi thi. Jiss number se Samir ne sms bheje the ab woh number lag hi nahin raha tha bilkool…. Shanaya ka bura haal tha raat ko thik se so nahin paa rahi thi, roti rehti thi, Samir ki yaad mein raatein guzaara karti rote hue, ussi ke khayaalon mein din beete aur usske sapnon mein raatein. Shanaya samajh gayi ke uss din wale baat se Samir bahot naraaz ho gaya hai jiss din Shanaya ne uss se poocha the ke ussko keisa laga tha rape karte waqt. Kyun ke uss din ke baad hi bilkool contact nahin hui usski Samir se, ussi raat ko call kiya tha to koyi response nahin araha tha, tab se bilkool kuch nahin samajh mein araha tha ke kia hua hoga Shanaya ko…..


Shanaya ki muskaan kho gayi, udaas rehne lagi, apne kamre mein bandh rehti kaam se wapas aakar, kissi se baat nahin karti aur gumsunm rehti thi.


Udhar Samir ka kuch eisa hi haal tha, woh ship par chala to gaya magar usska mann wahan bhi nahin lag raha tha, woh bhi doston se door rehta tha, kissi se baat nahin karta aur apne haalat par khud taras khata tha. Shanaya ko yaad to karta tha magar woh pyar jo usske dil mein ubhra tha Shanaya ke liye woh nahin dikh raha ta…. Samir khud confuse tha apne aap se. Assal mein usske dil mein bahot pyar tha Shanaya ke liye magar woh manne ko tayaar nahin tha ke Shanaya usske saath dhoka kar sakti hai…. Ussne apne enkhon par yakeen kiya bina baat ki gehraayi ko jaane. Aur khud sochne laga ke ship par jaane se pehle ussko Shanaya se ek aakhri baar baat karna chahiye tha….. Magar ab bahot der ho chuki thi ussne socha…..


Shanaya jab kaam karne jaati aur wapas aati to raaste mein usski nazrein Samir ko dhundti rehti. Har roz Shanaya khud se kehti ke aaj Samir mujhse milne zaroor aega, kal zaroor aega, har roz charon taraf raaste par nazrein dawdati ussko dhundne ko magar Samir ka koyi pata nahin tha. Har subha kaam par jaati ashaa liye aur har shaam ghar lautti niraash hokar.


Ek din Shanaya ro rahi thi apne lunch time ke waqt office mein. Rita ne dekha aur ussko support karne aayi aur poocha ke kia baat hai. Rita soch rahi thi ke Shanaya pregnant hai. Magar Shanaya ussko kuch nahin batana chahti thi. Rita ne samjhaya;


“Dekho main tumhara dost hoon. Aur ladki hoon to tumhare dukh ko samajh sakti hoon, mujhse share karo kia problem hai shaayad main koyi madad kar sakun…. Uss din ke liye I am sorry. Mujhe nahin pata tha ke tum uss se pyar karti ho. Par baaad mein main samajh gayi ke tum sach mein ussko pagal ki had tak chahti ho. To thik hai uss se shaadi karlena that’s all.”


Shanaya usssko nahin batana chahti thi magar fir bhi bata diya ke Samir se ab koyi contact nahin hai 5 dinon se, usske samajh mein nahin araha hai kyun koyi contact nahin kar raha hai woh. Yeh sunkar Rita to negative soch rahi thi ke ussne Shanaya ke saath eysh kiya aur bhaag gaya…magar fir bhi Shanaya ki help karna chahti thi. Shanaya se Rita ne ziada information nikale Samir ke bare mein aur jab ussko pata chala ke woh Comando hai to Shanaya se kaha chalke Comando office mein Samir ke bare mein poochte hein….. Shanaaya nahin jana chahti thi, ussne inkaar kiya…..


Aur ek haffta beet gaya aur Shanaya ka bura haal tha aur Rita se dekha nahin gaya kyun ke Shanaya ke chehra utra hua tha woh bilkool achchi nahin dikhti thi. Rita ne bahot zid kiya ke at least kuch to khabar milega ke woh kyun contact nahin kar raha hai, ho sakta hai ke uss se aamna saamna bhi ho jae wahan…. Aur lunch time ke baad donon ne urgent permission liye office se aur search karke Comando office ki address ka pata lagaya aur donon gaye Comando unit mein Samir ko dhundne ……


To be continued………………… (1482 words)

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.