Update 42 Samir texed her more sensitive words​

Samir ko araam se neend aayi Shanaya se baat karne ke baad, aur udhar Shanaya ko bhi chain aur sukoon mila.

Subha 5 baje Samir jaag gaya aur Shanaya usske dil o dimagh mein baasi hui thi. Ussko yaad aya ke Shanaya ne kaha tha ke ussne isska bheja hua sms ko save kar liya hai aur isska likha bahot passand aayi use, to Samir ne socha ke chalo sms se hi kehdeta hoon jo kehna hai mujhe, shaayad ussko passand aajae. ….. Aur Samir ne 4 lambe lambe sms likh kar send kiya Shanaya ko.

SMS mein yeh likha tha Samir ne:

SMS 1. – “Pata nahin iss waqt so rahi ho ya jaag chuki ho, main abhi abhi jaaga hoon, bahot achchi neend aayi mujhe, kal raat tumse baat karne ka assar tha shaayad jo itna araam mila. Main sab kuch jo hua uss din bilkool bhool jaana chahta hoon, kaash eisa koyi bandobass hota ke mere dimaagh se sab mitta diya jaata, kaash eisa ho sakta ke mujhe 3 din piche bheja jaata aur main tumko wahan se nahin uthata, kaash main ne eisa kuch nahin kiya hota….. Zindagi mein pehli baar ek eisa kaam hogaya mujhse jisska mujhe itni afsos aur dukh hai….. Meri pehli bhool hai yeh…main to kabhi ghalat kaam kartta hi nahin tha, mera to har kaam tula huwa hota tha to kyun mujhse eisi ghinawni harkat ho gayi main khud nahin samajh pata apne aap ko….. Agar tumko yakeen naa aaye to mere enkhon ki gehraayi mein dekhna tumko pata chal jaega ke main eisa nahin hoon bilkool. Main apni zindagi mein kabhi itna sharminda nahin hua jitna ab hua hoon, mujhko jab Samira ne dhoka diya tab bhi main itna sharminda nahin hua tha…. Magar itna pachta raha hoon ab ke lagta hai zindagi bhar iss bare mein sochkar pachtata rahunga…yeh mere dil o dimaagh par ek bahot bada bojh ban gayaa hai, issko keise halka karun samajh mein nahin araha mujhe….

SMS 2. “Pata hai jab kal subha mujhko terrorist se ladne ka order mila to main chahta tha main main mission mein bilkool kaamyaab nahin ho paun, main chahta tha ke main marr jaun, main chahta tha ke ya to main helicopter se zameen par girr jaun ya mujhko goli lag jae aur bilkool mera wajood mitt jae…. Aur lagta bhi eisa hi tha mujhe ke ab main wapas nahin laut ke aunga, issi liye tumse maafi maangi thi kal jaane se pehle….. Magar ab jab kaamyaab hoga gaya mission mein aur tumhare miscalls dekhen aur sms padha to socha kitna ghalat tha main ke marna chahta tha…. Tum se baat keise karta aur keise maloom hota mujhe ke tumne mujhko maaf kiya hai. Chalo thik hua ke main sahi salaamat wapas agaya, ab tum ne to keh diya ke tumne maaf kar diya mujhe magar jaanta hoon ke itna asaan nahin hai mujhko uss ghinawni harkat ke liye maaf karna, tumne shaayad yeh sochke maaf kiya kyunke tumne mujhko TV par dekha aur socha ke mujhko kahin kuch ho na jae issi liye tumne woh sms bheja nah? Dil ki gehraayi mein tumko mujhse thoda nafrat to hoga uss din ke liye… main uss ko mitana chahta hoon, main chahta hoon ke bilkool koyi bhi mayl nahin rahe tumhare dil mein mere liye - woh keise hoga paata nahin mere paas ideas hein magar tumko qubool hoga ya nahin yeh mujhe nahin pata…..

SMS3. “Shanaya main tumse milna chahta hoon. Tumhare saath waqt bitana chahta hoon, tumhare saath rehna chahta hoon, tumhari awaaz ko sunna chahta hoon, tumko apne karib mehsoos karna chahta hoon, kia yeh mumkin hai? Kia yeh ho sakta hai? Kia tum ek baar fir mere saath chalogi uss jagah jahan par tumko legaya tha? Nahin kuch ghalat mat socho, kuch nahin hoga sirf baatein karenge aur sirf tumko apne saath mehsoos karna chahta hoon iss liye uss jagah se behtar mujhe koyi jagah nahin dikhta, aur wahan ab yadein hein tumhari… tum jitni royi thi uss din wahan main tumko utna hansste hue dekhna chahta hoon ussi jagah par, tum jitni ghabraayi hui thi main tumko utna hi chain se dekhna chahta hoon ussi jagah par – uss jagah par tumko jitni takliff hui main ussi jagah par tumko khushi dena chahta hoon – agar uss jagah se tumko nafrat hui to ussi jagah se tumko pyar karwana chahta hoon…. Pata hai uss jaagah ko main ne apne hathon se banaya hai, pura ek hafta laga tha mujhe ussko banana aur sawaarne mein… magar main uss jagah ko buri nazron se nahin dekhna chahta, main ussko ek milaap ki jagah samajhta hoon ek yaadgaar - mere liye woh ek ehem jagah hai, koson door, shor sharaaba se door, hariali ke beech, ek kone mein sirf main aur tum socho zara kitna achchah lagega…. Sochta hoon tum mujhe pehle kyun nahin mili thi? Samira se pehle tum kyun nahin mili thi mujhe Shanaya? Agar tum mujhko mil gayi hoti to yeh sab nahin hota uss din….. kaash tum mujhko bahot pehle mil gaye hote!!”


SMS4. – “Magar, agar tumko passand nahin to koyi baat nahin, nahin jaenge. Abhi mere sms ka jawaab mat dena. Baat karenge tab jawaab de dena, mujhe koyi jaldi bhi nahin aur shaayd ek do din aur hospital mein rukna hoga abhi mujhe. Tum shayad aaj ya kal office wapas jaogi, thik hai araam se jaana aur wapas ana. Apna khayaal rakhna aur han kissi bhi ajnabee ke taraf mat jana jeise main ajnabee tumhare paas aya tha…… apne aap ko mehfooz rakhna – Ab meri baari hai tumhare liye duaen maangne ko, zaroor mangunga, upar wala tumko hamesha khush rakhe aur tumhare sabhi balaon ko mujhe dede! Tum hamesha khush raho aur tumhare saare gham mujhe mil jae, main sakht hoon seh lunga tum bahot nazuk ho nahin sehen kar paogi….. Ek baar fir, main behad sharminda hoon, ab bhi pachta raha hoon mujhe mere uss harkat ke liye maaf karna main yeh rote hue likh raha hoon, agar tum iss waqt mere saamne hote to main tumhare paon par girr ke tumse maafi maangta sabke saamne. I mean it. Shubdin. Samir.”

Samir sach mein ro diye sms likhte waqt. Ussko ab bhi bahot pachtawa ho raha tha uss haadse ko sochkar. Aur baar baar soch raha tha ke kyun woh ussko Samira se shaadi karne se pehle nahin mili thi……. Magar usse kia pata ke wohi pehli ladki thi jissko usske pita ussko lekar dekhne gaya tha. Usski zindagi ki pehli ladki to Shanaya hi thi magar woh kia jaane woh to anjaan tha uss waqt jiss waqt woh Shanaya ke ghar mein baitha tha aur Shanaya ussko chhup kar dekh rahi thi…. Aur woh to shaadi ke liye tayaar hi nahin tha uss waqt…..

Iss bare mein main aap sab se apni khud ki rae dena chahta hoon dosto. Woh eisa hota hai ke upar wala hamari Jodi ko pehle se bana diya hota hai, aur iss dharti par humko buss ek dusre se milna hona baaki hota hai…. Magar hum ya to khud uss se door bhaagte hein ya kabhi haalaat nahin milaate hum ko ek dusre se. Ab socho Samir aur Shanaya kab ke mil chuke hote agar donon ne apne taraf se shaadi ke liye inkaar nahin kiye hote. Inn mein donon ki ghalti hein. Donon uss waqt shaadi karne se inkaar kar rahe the jiss waqt kismat mein inn donon ka milna likha tha. Jiss din Samir ke papa ussko lekar gaya tha Shanaya ke ghar, uss roz Shanaya ne to dekha tha Samir ko aur ussko to pata tha halaaan ke Samir ko pata nahihn tha…. To kismat uss waqt meherbaan the inn donon par magar innki apni niji faisle ke aaguey kismat bhi haar gaye….. to dekho kiss kiss mod se guzar kar aakhir donon ek dusre se fir mile… ab agar kismat mein inka wapas milna hai to miilke rahenge…magar iss liye ke kismat ka banaya inn donon ke thukraya tha to shayad ab bahot kathinaiyon ke baad hi wapas dobara milenge…. Keise kahani aguey badhti hai agle update mein dekhenge…..

To be continued………………..

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.