Update 43 Shanaya’s collegue – a huge problem​

Shanaya Samir ki sms padhkar firse bahot royi subha subha. Reply karna chahti thi magar samir ne kaha tha ke baat karte waqt jawaab dena sms se nahin, to reply nahin kiya. Magar apne aap se Shanaya sawaal karne lagi ke kia sach much ussne Samir ko balaatkaar ke liye kshma kar diya? Kia usske dil ke kissi koney mein woh nafrat nahin paal rahi kahin? Kia Shanaya badle ka koyi khel khel raha tha Samir ke saath? Kia Shanaya jeisi ladki eisa kar sakti hai? Kehte hein ladki kitni bhi shushil kyun nah ho waqt ane par Durga zaroor ban jaati hein. Kia Shanaya eisa kuch soch rahi thi apne dimaagh mein ya sach mein woh Samir ko dil de baithi thi?

Shanaya ne uss subha ko kaam par jaane ka faisla kiya halaan ke do din rest karna chahti thi. Usske maa baap ne aur ek din araam karne ko kaha magar woh keh gayi ke ghar mein baithe woh bore ho rahi hai. To shower kiya, firse apne jism par Samir ke danton ka nishaan dekha aur usse khud nahin pata ke kia unn nishan ko dekh kar ussko kia mehsoos ho rahe the ghussa ya pyar? Darr ya nafrat? Shanaya khud confuse thi. Aur apne emotions ko ab samajh nahin paa rahi thi.

Office mein Shanaya ke dost to zaroor the, bahot nahin magar sabhi ke koyi ek khaas to hota hi hai to ek thi Shanaya ki best friend.

To ab entry hoti hai ek new character ki. Yeh hai Rita. Office mein Shanaya ke saath kaam karti hai. Donon bahot karib hein. Ek dusre ke secrets bhi share karte hein. Jitney saalon se Rita Shanaya ko jaanti hai ussko sab maloom hai Shanaya ke bare mein. Rita ek amir family se hein. Usski mummy samaaj sevak hai aur mahila samelan ki leader bhi. Aksar mahilaon ke liye morcha nikaalti rehti hai. Rita ke pita sheher ke bahot jaani maani vakeel hai.

Rita thodi bigdi hui ladki hai. Modern hai aur kayi boyfriends badal chuki hai. Woh aksar apne boyfriends aur relations ke bare mein Shanaya ko bataya karti hai. Rita ne kayi baar apne boyfriends se sex kar liya hai aur yeh baatein Shanaya ko kayi baar sunaayi hui hai. Ab sirf office ke andar yeh donon milte hein, baahar nahin kyunke, Rita khud ki car mein aati hai aur lautne ke waqt woh underground parking chali jaati hai apne car se wapas jaane ko jisska raasta alag hota hai aur Shanaya to bus stop jaati hai bus lene ko. To yeh donon sirf office ke andar milte hein, lunch mein milte hein aur breaks mein.

Shanaya ke upar jo bhi beeta woh ussko kuch bojh jeisa lagne laga aur soch rahi thi ke kissi se baat karegi to shaayad araam milegi usse. Baat kare bhi to kisss se? sirf Samir se hi yeh baatein kar sakti thi….. Magar jab lunch mein Rita se mili aur Rita hamesha ki tarah ladkon ke bare mein hi baat karne lagi. Weise aadat ke motabik Shanaya to ziada baat chit karne walon mein se nahin thi, woh to ziada sunti rehti thi bakbak sirf Rita kiya karrti thi. Uss roz thik lunch time mein jab Rita apni bakbak kiye jaa rahi thi to Shanaaya ki mobile bajne lagi….. Rita ko heyraani hui kyunke koyi kabhi bhi Shanaya ko call nahin karte the, aur Rita ko ziada taajub tab hua jab Shanaya uthkar ek kone mein chali gayi phone call ko attend karne ke liye….han woh Samir ka call tha.

Jab Shanaya baat kar rahi thi Samir se to Rita ussko khub observe kar rahi thi kyun ke woh ek chamatkaar se kum nahin tha ke Shanaya ko kissi ne call kiya…. Aur Rita to ghaat ghaat ki paani pee hui thi to ussko der nahin lagi samajhne mein ke Shanaya ek ladke se baat kar rahi hai phone par…. Shanaya ki hichkichaahat, usski berukhi baat karte waqt, usski muskaan, usske chehre par laali, yeh sab dekh rahi thi Rita aur woh samajh gayi ke koyi hai Shanaya ki zindagi mein….. Rita ko sunaayi to nahin de raahi thi ke kia baatein kar rahi hai magar ussko observe kar rahi thi. Ab sirf Raita hi nahin har koyi Shanaya ko dekh rahe the, woh iss liye ke woh uss kisam ki ladki nahin thi jisski koyi boyfriend ho sakta hai kabhi. Kissi ne kabhi socha bhi nahin tha….. woh to “arrange marriage material” thi Rita ussko kaha karti thi aksar.

Ab Samir aur Shanaya ki baat chit sunte hein:

Shanaya: (Bahot dhire se) “Kyun phone kiya main kaam par hoon!”

Samir: (hansste hue) Hahaahaha!!! Kyun itni dhire se bol rahi ho waha bolna mana hai kia? koyi sunlega to kia ho jaega tumko dismiss kar diya jaega kia hehehe”

Shanaya: “shut up Mister shut up!!!” Aur yeh kehkar khud Shanaya hanss padi.

Samir: “hahahaha shut up mister shut up wah!! Kia baat hai hahaha!!”

Shanaya: “tum mujhpar hanss rahe ho?!”

Samir: “Sunon tumne to kaha tha do din rest karogi teesre din kaam par jaogi nah? To kyun aaj hi chale office?”

Shanaaya: “Ghar par din bhar tarah tarah ke khayaal ate rehte hein, dimaagh garam ho jata hai, din bahot lambe lagte hein, waqt nahin guzarta jeise…. Kaam par mann kaam mein laga rehta hai aur khayaal mein woh sab batein kum ate hein, pareshaan nahin rehti hoon yahan….”

Samir: “Oh I see! Main ne ulta yeh socha tha ke ghar par ziada araam karogi…chalo thik hai agar tumko eise ziada passand hai to… hmmmm mera sms padaha?”

Shanaya: “hmm padhi, aur khub roya bhi subha subha, tum ab eisa mat likha karo…mujhe bahot rona ata hai main bahot sensitive aur emotional hoon.. aur tum kyun baar baar kshma maang rahe ho keh to diya ke maaf kar diya hai nah? Khabardaar phir maafi mange to!”

Samir : “dil se maaf kiya ya eise hi keh rahi ho?”

Kuch der Shanaya khamosh rahi kuch sochte hue…. Samir ko teen baar “hello” bolna pada tab Shanaya ne reply kiya;

“Han yahin hoon main.”

Samir: “Tum ne jawaab nahin diya!”

Shanaya: “Ek baat poochun?”

Samir: “han bilkool pooch”

Shanaya: “nahin nahih rehne do”

Samir: “nahin poocho na please kuch bhi ho poocho!”

Shanaya: “Tumko keisa laga tha uss waqt?”

Donon taraf koyi 30 seconds tak koyi jawaab nahin tha… Samir ki bolti band ho gayi…usske dil ki dhadkan tez ho gaye , peshaani par pasine ke boond aagaye aur usske paas jawaab nahin tha dene ko to Shanaya ne khud kaha,

“Hello, kia hua?”

Samir: “Ab kia bolun, tum sahi se sawaal poocho tab nah koyi jawaab doon, kia keisa laga, kiss baat ke liye pooch rahi ho tum?”

Shanaya: “Mera rape karte waqt tumko keisa laga tha?”

Samir laal pila ho gaya aur ussko laga ke Shanaya ne usske seene mein ek chura bhonk diya ho ….. gehri sansein lete hue jawaab diya,

“Shanaya, main ne kaha tha nah ke main sab bhoolna chahta hoon, aur main ab ussko rape nahin manta…yeh rape lavz bahot gandi hai…issko please mat istemaal karo nah!!”

Shanaya: “woh rape hi to tha!! Kia meri ijazat se kiya tha woh sab tumne? Ladki ke ijazat ke bina jab woh sab kiya jata hai to ussko rape hi kaha jata hai!”

Samir ka gala sukh gaya aur pani pine ko mann kiya usse…. Ussko ab yakeen ho gaya ke Shanaya ne ussko bilkool maaf nahin kiya hai…. Kyun woh eisi batein karne lagi achaanak…kal tak to sab thik tha…..

Samir: “Kia ho kia gaya hai tumhein ab..hmmm…. tumne kissi se kuch kaha ya kissi ne iss bare mein tumse kuch kaha kia? kyun eisa keh rahi ho ab? Isska to saaf matlab hua ke tumne mujhko bilkool bhi maaf nahin kiya….”

Shanaya: “Main pooch rahi hoon ke tumko mazaa aya tha ya nahin tumko kia feelings hue the? Tum apne aap mein nahin the woh samjhi main, magar kia jo khushi ek mard ko normal relation ke waqt hota hai kia weisa feel kiya tumne? Chalo easy example deti hoon, jab tum apni wife Samira se woh sab karte the, jo uss se feel karte the kia wohi feel kiya tha tumne mere saath weisa karte waqt?”

Samir (ghusse mein) “Dekho yeh sab batein phone par nahin karte, agar tumse mila tab poochna tab jawaab dunga abhi nahin, main phone rakh raha hoon bye” Aur Samir ne hang kar diya.

Samira phone ko apne saamne karke dekhte hue ahiste ahiste chal kar Rita ke taraf badhti hai jeise hosh mein nahin thi. Rita ke paas aati hai to Rita ussko hillate hue poochti hai kia hua to Shanaya kehti hai “Mera rape hua tha!!” Uss waqt Sahanaya jeise hawa mein baatein kar rahi thi…. Uss par jeise bhoot sawaar tha koyi, jeise woh nahin bol rahi thi, jeise koyi aur usske andar se baat kar rahi thi….. usski nazrein fix ek chiz par dekh rahi thi, kissi gehri soch mein doobi hui thi…. Rita bahot shocked thi usski baat ko sunkar aur kaha,

“Mujhe bus usska naam bataa mere papa ussko jail mein thuss dega, meri maa apne mahila samelan se usska band baja degi…tu bata woh kaun hai…tujh jeisi ladki ki rape ho gayi aur tu chhup hai? Ab to tamasha hoga aur ussko pata chalega ke kia kiya hai ussne!!


To be continued………………

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.