Update 38 Geting ready to return​

Shanaya ko ajeeb sa dard dikha Samir ke enkhon mein aur uss ne dekha ke Samir ki enkhen nam ho gaye yeh sab kehte hue……

Shanaya to woh ladki hai jo dusron ke liye jeeti hai, woh aur usski maa baap aur sabhi ghar ke log eise hi hein….dusron ke dard ko baante hein, yeh weh log hein jo dusron ke liye jeete hein apne liye nahin, yeh weh log hein jo dusron ke gham ko apna gham samajhte hein…jo dusron ke dard ko apna dard samajhte hein….. bachpan se Shanaya eisi hi hai, apni maa baap par gayi hai, bahot narm dil aur dusron ke dard ko apna dard samajhne wali hai Shanaya aur jab Samir ne yeh sab kaha to Shanaya ek pal ke liye apna dukh bhool gayi aur ussko Samir par taras aayi aur sab kuch details mein bataane ko kaha. Shanaya ne poocha Shireen kaun aur Afzal kaun aur Kavita kaun?

Apni daastaan ko sunate waqt Samir ro pada….. rote hue ussne bayaan kiya ke keise woh aaj kal ke ladkiyon ko dekh kar shaadi karne se ghabrata tha ke kahin ussko eisi weisi ladki nahin mil jae….. Aakhir mein shaadi kiya aur ant wohi hua jisska ussko darr tha… Samira ne ussko dhoka diya aur Shireen ne Afzal ko aur aakhir mein Afzal ne bhi dhoka diya ussko usski ex wife ke saath jaakar…. Yeh sab chillate hue, ghusse mein aur bahot dard ke saath bayaan kiya Samir ne aur Shanaya rone lagi…. Bahot zor se rone lagi apne liye nahin ab Samir ke liye ro rahi thi…. Tab baad mein khud par ussko rona aya ke unn logon ki vajah se aaj usski yeh dasha hui!!!

Shanaya ko Samir ke dil mein ladkiyon ke liye nafrat ka pata chal to gaya fir bhi ussko maaf to nahin kar sakti thi jo ussne usske saath kiya….. taras arahi thi ussko uss waqt Samir par aur ek baar Shanaya ne kaha;

“Main tumhara chehra dekhna chahti hoon kia yeh kar sakte ho mere liye?”

Samir ne kaha; “Aaj nahin magar ek din zaroor aunga tumhare saamne iss naqaab ke bina….”

Shanaya: “Tum karte kia ho ? matlab kia kaam karte ho?”

Samir: “who bhi fir kabhi bataunga aaj nahin!”

Shanaya: “matlab tumko mujhe firse milne ki umeed hai?”

Samir: “Haan! Milogi aur zaroor milogi!”

Shanaya: “Hargiz nahin… kabhi nahin eise sapne dekhna band karo…. Mujhe tum par aur tumhare daastaan sunkar taras aya tum par isska matlab yeh nahin ke main sab bhool gayi hoon jo tumne mere saaath kiya………………… ek baat bataaun tumhen main?”

Samir: “kia?”

Shanaya: “tumhein pata hai main kyun tumse khul kar batein kiye jaa rahi thi jiss waqt tumne mujhko uthaya tha?”

Samir heyran hokar Shanaya ke enkhon mein dekhte hue poocha, “kyun?”

Shanaya: “iss liye ke mujhe tum mein ek apnapan sa laga, laga ke tumse koyi naata hai, laga ke tum koyi apna ho aur chehre ko chhupa kar mujhe surprise dena chahte ho…. Mujhe laga ke mera tumse koyi rishta hai uss waqt….. magar jab tumne yeh karkat kiye to main sochne lagi ken main kitni ghalat thi….. keise aur kyun mein ne ek ajnabee mein rishta dhundna chaha…kyun mein ne tumhare enkhon mein kuch eisa dekha jisssko dekh kar uss mein koyi rishta sa dikhaayi diya… kyun eisa laga tha mujhe?!! Issi liye tumhare chehre ko dekhne ka mann kar raha tha mujhe…. Khair ab jane do nahin dekhna mujhe ke tum kaun ho, jo bhi ho ghalat aadmi ho tum…han haalat ka shikaar ho magar haalat tumko yeh karne par majboor nahin karta, yeh sab tumne khud apne aap kiya….

Shaam 4 baje tak donon baatein karte rahe ek dusre se!!! kabhi kabhaaar Shanaya apne baare mein soch kar ro deti to kabhi Samir apne bare mein kuch kehte hue ro deta….. Aur Shanaya ne ghadi dekhi aur kaha,

“Ab mujhe nikalna chahiye taake 5 baje tak ghar reach ho sakun….”

Samir khada hua aur mudh kar Shanaya ko dekha aur poocha,

“Keisi ho? Behtar feel kar rahi ho ab? Chal sakti ho?”

Shanaya ke enkh bhar aaye Samir ke iss ek sawaal se! woh sochne lagi yeh wohi insaan hai jissne usska rape kiya? Keise ab khayaal tha usse ke main thik bhi hoon ke nahin?!! Aur jawaab mein Shanaya ne sirf sar ko han mein hilaya!

Samir ne Shanaya ko pehle seedhi chadhne ko kaha, Jab Shanaya chadh rahi thi to usska ek peyr fisal gaya aur niche Samir ne apne haath mein usske peyr ko sambhala chappal sameth…. Samir us waqt upar Shanaya ko dekhte hue usski vazan apne haath mein thaama hua tha…. Shanaya ne usske enkhon mein dekha aur fir wohi apnapan dikha ussko Samir ke enkhon mein aur jab donon upar aagaye to Shanaya ne rote hue kaha,

“Tum mein apnapan dikha mujhe iss liye main tumhare saath yahan aayi aur socho kitna dukh hota hai jab koyi apna hokar kissi ke saath woh karta hai jo tum ne mere saath kiya!!! Bahot dukh hota hai…. koyi apna eisa nahin karta….. zindagi bhar apne aap ko tum khud maaf nahin kar sakoge jo aaj tumne kiya…. Yaad rakhna meri baat ko tum!!”

Samir ka mann kaamp utha Shanaya ke baton ko sunkar aur woh bilkool khamossh raha apne aap ko kusurwaar samajhte hue……

Samir car drive karte hue uss jagah gaya jahan Shanaya bus se wapas ghar jaati hai. Ussne Shanaya ko apne ghar tak chorrne ko kaha magar Shanaya ne mana kiya aur kaha ussko ussi bustop par chodna jahan se woh har roz bus leti hai….. Shanaaya nahin chahti thi ke Samir ko usske ghar ka pata chale…. Aur jab Shanaya car se nikli to mudhkar Samir ko dekha aur kaha, “Khabardaar agar mujhko phone kiya to, main koyi jawwaab nahin dungi aur ek do din mein iss simcard ko badal dungi….”

Yeh keh kar Shanaya bus stop par chali gayi…. Samir car ke andar se hi ussko bus ane tak dekhta raaha…. Bus aayi aur Shanaya chali gayi mudhkar dekha bhi nahin Samir ko bus ke andar jaate waqt jo Samir expect kar raha tha ke woh mudhkar dekhegi ussko…….

Samir ghar jaakar bahot roya apne sar ko deewaar par peette hue….. apne ghar ka bahot saare saamaan ko toda ghusse mein…apne aap par ussko bahot ghussa araha tha…apne kiye par bahot pachta raha tha…. Keise badlega jo kuch ussne kiya….. usska kia bharpaayi hai?? Kia kar sakta hai ab!!!

Udhar Shanaya ghar jate hi apni maa se kaha ke ussko bukhaar hai shaayad woh thik nahin aur naha kar sone chali gayi apne kamre mein….. aur kambal ne niche munh chhupa kar khub royi… raat barah baje tak ro rahi thi, kabhi apne liye to kabhi Samir ki zindagi ko soch kar… Samira ke bare mein sochkar samir ke liye bahot afsos ho raha tha Shanaya ko….. soch rahi thi ke samir ko sahare ki zaroorat hai…. Apni gham bhool gayi aur sirf Samir ke bare mein soch rahi thi….aur sochne lagi ke woh keisa dikhta hoga….. samir ke jism ko bhi socha Shanaya ne kyunke usske jism ke ilawa ussne samir ki jism ka koyi aur hissa dekha hi nahin tha sirf usska nanga jism hi ziada dekha tha Shanaya ne…..

Aur fir Shanaya apne khud ke jism ke upar jo hua woh sab soch ke rone lagi aur nafrat hui Samir se ussko….. magar fir sochne lagi ke samir ke enkhon mein kia kashish thi jiss mein ussko koyi rishta dikh raha tha…kaun ta woh aadmi jissne usska balaatkaar kiya aaj?!!

1 baje raat ko Samir ne Shanaya ki mobile par phone kiya… ussko pata tha ke Shanaya nahin so rahi hogi….. Mobile vibrate par tha….. Shanaya ko pata tha ke wo phone karega, magar unknown number dikh raha tha, Samir ne apna number hide kiya hua tha…. Shanaya ne pphone bajne diya, ek baar, do nbaar teen baar…… 20 baar Samir ne phone kiya magar Shanaya ne nahin liya….. Samir ko ghussa araha tha ke kyun nahin le rahi hai phone…… aadhe ghante baad firse phone kiya magar iss baar mobile switch off aa rahi thi…Shanaya ne phone bujha diya ……. Ab Samir paagal hone laga, woh uss se poochna chahta tha ke ghar mein kissi ko koyi shak to nahin hua…. Poochna chahta tha ke woh keisi feel kar rahi hai, poochna tha ke kia dard kum hua ke nahin……….

To be continued………………… (3300 words from both update

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.