Update 23 Samira betrayed​

Samira ke bed par kissi dusre mard ko dekh kar Samir ko chakkar sa aya aur usske hath peyr kaampne lage. Ussko ek pal ke liye laga ke woh ek bura sapna dekh raha hai; khud se kaha, “yeh ek sapna ho, please yeh ek sapna ho hey Bhagwaan” aur apne ungli ko danton ke niche zor se dabaya to pata chala ke hakikat ka saamna kar raha hai….. Enkhon ke saamne andhera sa chaa gaya, peyron tale jeise zameen nikal gayi ho aur lag raha tha ke kissi khayi mein girr raha hai woh….. khud apne enkhon par yakeen nahin araha tha usse. Jahan tha wahi ke wahin khada raha kuch der tak Samira ke chehre ko dekhte hue….. Usske enkhen bhar aayi aur kuch der baad enkhon mein jeise khoon ubalne lage….. ek jhatke mein dimaagh mein sabhi training ke unn drisht dikhaayi dene lage usse jiss mein woh kathin se kathin mushkilon ka saamna karte hue vijay hota tha….. woh drisht nazar aya jahan zameen ke niche andere mein kehuni ke bal chal raha tha peeth par ek bada sa basta liye, phir uss drisht ko dekha jahan pahaad ki oochaayi se kaandhon par ek darkhat liye fisalti hui zameen par utar raha tha, aur dekha ussko zanjeer se bandha gaya hai aur usske peyron par 100kg ki wazan wala loha rakha gaya hai jo ussko uthana hai…… sabhi bahot kathiin training ki drisht usske enkhon ke saamne nazar aya……. Yeh woh pal the jahan seekhaya jaata tha ke chaahe kitna bada mushkil saamne kyun na ho, khud ko mazbut karna chahiye aur dimaagh ko thand rakh kar unn mushkilon ka saamna karna chahiye bina fail hue!!

Samir ka haath usske revolver par gaya, revolver ko haath mein liya, trigger bhi dabana shuru kiya bed par aim karte hue, aur thik ussi waqt ussko Afzal ki beizatti se unit se sabke saamne bedakhal hota hua drisht bhi dikhne lage…… Aur phir Afzal ki batein yaad aayi ke ussne kaha tha chahe kuch bhi ho jaye koyi eisa kaam mat karna ke ussko kabhi Afzal ke jeise haalaat se guzarna pade….. Samir ne revolver ko apne khud ki kanpatti par lagaya aur trigger dabane jaa hi raha tha Samira ne sapnon mein kuch badbadaya….. Tab Samir chal kar bed ke aur karib gaya uss aadmi ka chehra dekhne ke liye….. Anjaan chehra tha, ladka Samir se bhi jawan tha, kum umar ka tha, shayad Samira se bhi chota tha umr mein…. Samir kamre mein chal raha tha magar ek aahat bhi nahin ho rahi thi….yeh bhi trained kiya gaya tha ke keise ek billi ki tarah chalna chahiye ke kissi ko pata na chale ke tumn aas paas ho….to uss waqt Samir ke andar sirf ek Comando buss gaya tha, woh uss waqt Samir nahin tha ek mission par ek Comando tha…..

Dobara ussne socha aur khud se kaha, “Agar iss waqt ek Comando hoon to yeh donon dushman hein to dushman ko maar dena chahiye, kissi keemat par bhi innko bachna nahin chahiye”… aur phir khud hansste hue kaha, “magar kal mujhko saza di jaegi ke main ne apni patni ka khoon kiya, wah kamaal ke rules hein, patni dushman nikli to patni hi rahegi, aur dushman desh se chahe apna bhai aaye woh dushman hi hoga, kamaal ke niyam hein…Afzal ne bilkool sahi kiya tha Shireen ko uda kar…… main bhi uda doon donon ko?” usske dimaagh mein ek kashmakash chal rahi thi, lagta tha drums baj rahe hein bheje ke andar gehraayi mein…kaanon mein kuch ajeeb si gehri shorr wala goonj sunaayi de rahi thi…. Lagta tha hypertention ka mariz hai, ya high cholesterol ya diabetes ka symptoms hone laga ussko….. Badan mein kabhi thandi to kabhi garam leher daud raha tha… aur kabhi lagta tha ke behosh girr jaega wahin ke wahin….. bayaan karna mushkil tha ke kia feelings the usske uss waqt.

Aakhir mein Samir baith gaya zameen par. Usske tangein usska saath nahin de raha tha, kaamp rahe the, jiss ungli se trigger dabane ki koshish kar raha tha woh ungli tharthara raha tha, aur ussko saamne kum dikhaayi dene lage….. Tab ussko pata chala ke usske enkhon se ensoo beh rahe the.. usse khud nahin pata chala ke kab enkhon mein ensoo bhar aaye aur chalak bhi gaye ussko maloom hi nahin pada!! Tab usske mann kiya ke woh jitna zor se ho sake utna zor se chillaaye, magar chhup raha, andar hi andar sab choat, ghav, seh raha tha….. Achanak ussko laga ke usska gala bilkool sukha hua hai jeise barson se paani nahin piya ho aur ek tapti sehre mein pada hai…. Ab garmi chaane lagi jism mein…. Pasina chhutne laga be matlab…. Thodi der pehle thand lag rahi thi aur ab pasina apne aap behne lage…

To samir phir khada hua, aur room mein padi botal ka pani liya aur ek bahot zor ka laat mara bed par!! Donon Samira aur woh aadmi chohonk kar uth baithe bed par!!! Samira kambal ko khiinch kar apne chaati par karna chahti thi, magar Samir ne karne nahin diya, ek hath se Samir ne kambal ko apne taraf khiinchte hue kaha,

“Kyun sharam arahi hai? Nangi ho? Main husband hoon tumhara, husband se sharam arahi hai aur iss ke saath chodam chaati karne mein sharam nahin aayi tere ko randi kahin ki?!! Teri maa ki choot tere gaand ko cheer doon abhi ke abhi randi saali kia bolti hai bata? Afzal ki tarah tere aur tere yaar ke gaand mein iss pistol ki sabhi goliyan bhar doonm heeeeeeeiiiiiiiiiin!!!!!!” Bahot zor se chilla kar bola yeh sab Samir ne aur kaampti hui awaaz mein baat nikal rahi thi uss waqt. Samira ne ussko kabhi weise nahin dekha tha….. woh uss waqt koyi aur lag raha tha, khoon sawaar tha usske sar par uss waqt aur woh kuch bhi kar sakta tha. Woh dusra aadmi jo tha thar thar kampne laga, lagta tha mooth dega bed par hi…..

Ab baari thi Samira ko bolne ki… ussne socha ke jeise Afzal ne Shireen ko goli mari thi weise hi usska bhi ant hone wali hai to thartharate zubaan se aur rote hue Samira boli;

“Sunon Samir, goli mat chalana, meri baat sunon pehle tab jo ji mein aaye karna….”

Samir ne phir chilla kar kaha, “Apni gaand band raklh kuttiya; kuch bhi bolne ki zaroorat nahin, sab samajh mein agaya mujhe! Kia bolne ko bacha hai? Hein? Hahahahahahaha!!! Mujhe chutiya banaya saali; mujhko? Samir ko chutiya bana dala wah re aurat wah!!! Randi pakka randi hai tu!! Kothe mein naachne wali randi tujhse behtar hai ri kutiya…. Gali ke chawrahe par gandi kapde pehen kar dhande karne wali tujhse behtar hai… woh to saaf jism bechkar khaati hai kissi ko dhoka to nahin deti!! Magar tu? Tu randi ki maa hai randi ki dadi hai tu!!”

Samir ne ab bahot dhire se bolna shuru kiya, uss aadmi ke taraf dekhte huw uss se kaha bilkool araam aur dhire se,

“Aur tu? Yaar hai isska hmm? Kab se chodta hai isse? Har raat ko ata hai jab main nahin hota hoon to? Bata kia karun tera?”

Woh aadmi Samir ki enkhon mein khauff bhare nazron se dekh raha tha, usska pura badan kaamp raha tha darr ke maare….

To be continued in next update immediately…

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.