Update 22 Afzal’s dismissal from Comandos & surprise​

Usske baad hona kia tha, Samir aur Samira ka rishta aur bhi mazboot ho gaya. Shak ki koyi gunjaayish nahin thi aur Samir bahot khush tha aur Samira bhi.

Kuch din baad Unit mein Afzal ki dismissal ceremony hui, jahan ussko bus samajhlo laat maari gayi, tamaacha mara gaya, beabroo kiya gaya….

Woh dismissal, ki ceremony ek badi punishment ki tarah di jaati hai. Sabhi force ki bade officers, superiors ki haaziri mein aur sabhi Task force, Commandos, Police, Soldiers, sabke maujoodgi mein ek bada sa ceremony kiya jata hai bilkool jeise ek award ya certificate of graduation dete waqt kiya jata hai weise hi iss dismissal ko bhi karte hein. Sab ke saamne open air mein.

Ek khula maidaan jeise ek stadium hota hai weise ek jagah par, ek podium par bade officers padhade hue the sab apne apne aude ke uniforms mein. Unn ke saamne maidaan mein hazaaron soldiers, policemen, Comandos, Emergency unit ke members vaghaira darjanon lines mein alert khade the jeise ke parade hone wala ho. Kuch der ke baad Afzal ko uniform mein pesh kiya jata hai podium par. Aur sabhi badge, taare, revolver, talwaar, chaku aur anek hatyaaron ke saath Afzal khada hua paaya jata hai. Trumpet ki goonjh zor se sunaayi deti hai aur Ek officer

zor se chillaata hai “Attention!” Sabhi baaki ke officers jo line mein khade hue the bilkool seedha changue khade ho jaate hein……

Aur ek ek karke Afzal se sabhi chizon ko sakhti ke saath chhina jata hai. Ussko nanga kiya jaata hai. Afzal chup chap khada enkhon se behte ensoo ko rok nahin pata, aur usska dost Samir alert par khade hue, rote jaa raha tha apne dost ko sabke saamne ruswa hote hue dekhkar. Kitni mehnat kiye gaye the inn sab ko paane ke liye, kitni kathinayon se guzre the, kitne raaton ko thik se soye nahin the, kitne baar jangalon mein bina kuch khae piye guzaare the, sab yaad araha tha Samir ko, aur aaj uss se sab wapas liya jaa raha tha jo uss ne itne mushkilon se haasil kiye the. Samir aur AFzal donon sab soch soch kar rote jaa raha the aur Samir bhagwan se binate kar raha tha ke ussko eise mod se kabhi nahin guzarne de….. Jo officer Afzal se sab chin raha tha bilkool ek jallad ki tarah jeise ghusse mein sab noch raha tha Afzal ke badan se….. yahan tak ke uniform ko phaadh kar tukre kiye gaye Afzal ke jism par aur ussko khamosh khada rehna tha. Ek ek badge ko nocha gaya usske uniform se, har ek sitare ko khinch kar liya gaya….. Sharmindagi mehsoos ho rahi thi Afzal ko sabke saamne eise ruswa hote hue magar yeh rule tha ke woh saza ke taur par khamosh rahe aur sab wapas chup chap lene dein!

Uss se sab chin lene ke baad ek superior ne ek choti si speech diya jiss mein yeh bataya gaya ke kyun Afzal se sab wapas liya ja raha hai, aur announce kiya gaya ke ab woh unit ki member nahin hai aur iss waqt ke baad woh zindagi mein kabhi bhi koyi bhi force nahin join kar sakte. Ussko nikaal baahar phenka jaa raha tha!

Speech khatam hui to Afzal zor se rote hue ghutnon par agaya aur bahot zor se chilla kar rone laga. Sab ke dismiss hone ke baad Afzal gaya ussko sahara dene aur rote hue Afzal ne kaha,

“Aaj ek aurat ke liye main ne apne saaari mehnat se paaye gaye chizon ko ganwa diye yaar! Kaash woh meri zindagi mein nahin aayi hoti to aaj main barabar tumhare tarah uniform mein hota!!”

Afzal usske peeth thapthapaate hue ussko zameen se utha raha tha aur uthkar ussne Samir ko zor se seene se lagaate hue kaha,

“Mere bhai kuch bhi ho jaye apne aap par kaabu rakhna, yaad rakhna ke tum kissi dushman ke ilawa kissi ko kabhi maar nahin sakte, itne sakht mehnat ke baad aaj yahan ponhuche ho meri tarah mat ganwana yaar, bahot dard hota hai Samir mere bhai bahot dard hota hai andar, sehen nahin hota jee mein ata hai khud ko goli maar lun ab, jine ki chah nahin mere dost, mar jaane ko mann kar raha hai mujhe…..”

Donon dost ro rahe the aur baaki ke dusre saathi unnko sahara dene ke liye aaye aur Afzal ko baahar tak chorra gaya…………….

Woh ek bahot dukh bhara din tha kyunke ussi sham ko Afzal ko flat bhi khali karna pada. Uss sham ko Samir bhi tha, samira bhi; juda hote waqt sab saath bahot roye aur Samir ne kuch paise diye Afzal ko car ki hisse wala aur ussko kaha ke wapas apne ghar jaakar koyi choti moti business shuru Karen unn paison se….

Aakhir mein weh juda ho gaye. Samir aur Samira ab akele ho gaye uss flat mein. Baaki ke logon ke saath dosti nahin thi. Ek parivaar ke tarah rehne wale bichad gaye aur sirf Samir aur Samira reh gaye akele.

Aur din mahine beette gaye firse, sab kuch mamool ki tarah chalne laga, samir kaam par to samira ghar par, samira kaam par to samir ghar par…. Kabhi kabhaar Afzal phone karta shuru mein fir dhire dhire woh bhi ana band ho gaya aur samir samira khush the aapas mein. Donon mein bahot pyar tha kum se kum yehi nazar araha tha sabko.

Har raat Samir kaam par chala jaata to raat ko takriban 10 se 10.30 tak Samira ko phone karke goodnight wish karta aur kabhi kabhi donon pyar bhare batein karte. Aur kabhi Samira pehle hi phone karke bata deti ke, “Aaj main bahot thaki hui hoon to sone jaa rahi hoon plz phone karke jagana mat!” eisa unn raton ko hota tha jab samira 10 bajne se pehle sone chali jaati thi.

Aur jab Samir din mein kaam karne jata to donon sham ko saath ghar wapas ate the aksar. Aur har weekend to saath hi guzaarte the aur kabhi Cinema, ya apne maa baap ke ghar ya kahin to ghumne chale jaate the.

Aur eise der saal beet gaye. Sab normal chal raha tha jab ek raat ko ek 10 maley ki building mein aag lagi to support karne ko Samir ki team ko dankal vibhaag ke sahayta ke liye bheja gaya. Samir aur usske unit ke 7 log saath gaye. Sab thik se hua aur sabhi logon ko safe bacha liya gaya. Kissi ko chot nahin ponhuchi.

Takriban subha ke 3 baje operation samaapt hua aur superiors ne sabko ghar wapas jane ki ijazat de diye. Samir khush tha kyunke bahot hi kum eise mauke milte hein beech raat mein ghar wapas jane ko. To flat wapas aya, ek flat ki chabhi hamesha usske saath hota tha. Khushi khushi ghar aya, ahiste se darwaza khola kyunke Samira ki neendh ko disturb nahin karna chahta tha aur dabe paon apne bedroom ke taraf badha.

Aur jeise kamre mein daakhil huwa to dekha usske bed par Samira ke saath ek mard soya hua hai??!!!!!! Samira choti si nightie mein adhnangi aur aadmi sirf apne underwear mein…… donon gehre nendh mein the…….. kaun tha woh??

Main readers ko guess karne ki mang karta hoon, aap log jawaab dein kia koyi guess kar sakta hai? Apne comments mein zaroor batayein… agla update padhne se pehle isska comment mein zaroor batana ke aap ne kiss ko guess kiya!

To be continued…………………

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.