Update 21. Afzal at Samira’s again B...U…T…..​

Samira ussko expect kar rahi thi iss baar aur nightie mein nahin sari mein thi. Afzal ne socha tha kal raat ki tarah ussko nightie mein hi paega balke socha tha ke iss baar shayad woh jaan boojh kar upar wala gown bhi nahin pehnegi! Magar sab ulta tha. Afzal ne plan kiya tha aaj usski strap chhune ki koshish karega nightie ki gown ko usske kaandhe se sarka kar, magar usska plan bilkool fail ho gaya. Ab ussko kuch aur sochna tha ussi waqt.

Iss raat ko Samira ne already kuch soch rakha tha Afzal ke liye, chalo dekhte hein kia hota hai achanak.

Afzal nashe ki haalat mein hone ki drama karte hue apne aap ko sambhaalne ke liye Samira ke kaandhon par apne bazu ko kiya aur dusre hath se usska ek hath pakarte hue dagmagate kadam se sofe ke taraf chalne laga jabke Samira ne ussko sambhalte hue wahan tak leagayi aur baithaya Afzal ko sofe par. Ab woh khadi thi aur Afzal baitha, to turant Afzal ne apne donon bahon ko Samira ke jism ke donon taraf karte hue ussko bahon mein liya aur apne sar ko usske chaati par rakhte hue badhbadhaya,

“Kaash Shireen ne eisa nahin kiya hota to aaj main akeala nahin hota, tumhari tarah woh meri bahon mein hoti iss waqt, Samira mujhe sahare ki sakht zaroorat hai mujhko niraash mat karna please…”

Samira ne apne ungliyon ko usske balon mein ferte hue kaha,

“Main samajhti hoon Afzal, tumko aur tumhare dard ko khub samajh rahi hoon, tumko emotional support ki zarorat hai aur tum akele ho to iss waqt iss liye ke mujhe jaante ho mere paas chale ate ho sahare ke liye, samajhti hoon main… par sunon Afzal, tum mere bhai jeise ho, apna parivaar ka ek sadasya jeise ho iss liye main tumko apna samajh kar apne paas ane deti hoon, magar socho iss haalat mein, sharaab ke nashe mein ek paraayi aurat ke kamre mein jab usska pati hazir nahin ho, to kia main kissi ko yahan ane deti kabhi itna karib jitna tum aaye ho?”

Yeh sunkar Afzal ko zabardast jhatka laga aur turant apne bazuon ko Samira ke jism se hataya aur uss se enkh bhi nahin mila paya….. turant uth khada hua aur kaha,

“Mu…..mujh….. mujhe maa maaaaff karna Samira main shayad ghalat kar raha hoon main chalta hoon sorry good night; you are a very good woman.. I am sorry my dear sister…..”

Itna kaha aur tez kadmon ki raftaar se darwaze ke taraf badh hi raha tha ke Samira ki phone bajne lagi aur Samira ek ajeeb nigaah se dekh raha tha Afzal ko jeise ussne usski chorri pakar liya ho… Eisa lagta tha ke Samira ko acchi tarah se pata tha ke woh ussko aazmane ke liye aya tha aur Samira ne usska khel bigaar diya, usski nazar mein aur muskaan se kuch eisa hi lag raha tha…. Usski muskurahat mein ek ajib, shaitani nahin to bahot hi kashish wali baat thi jissko Afzal padh nahin paya aur Afzal yeh kehte hue darwaze ko khola aur nikal gaya,

“Samir ka phone hoga bata dena ke main aya tha aur chala bhi gaya aur baad mein ussko phone karunga bye Samira.”

Samira ne phone uthaya aur hello karte hue darwaze ko lock kiya Afzal ko ussi Ajeeb nazron se dekhte hue. Tab tak Afzal nikal chukka tha aur Samira darwaze ko lock karte waqt phone par jawaab diya,

“Kyun tumne iss waqt phone kiya? Main ne mana kiya tha nah?”

Afzal wahin tha sirf ek kadam baahar chala tha aur ussne Samira ko yeh reply karte hue sunn liya aur apne kadam ko rok liya wahin ke wahin aur kaan laga liya Samira ke darwaze se sunne ke liye ke kiss se baat kar rahi hai aur kyun weisa kaha phone karne wale ko?!

Magar Samira pagal thi kia jo uss darwaze ke paas khadi hokar phone par baat karegi, darwaza lock karke woh chali gayi apne bedroom mein phone par baat karte hue…… Afzal ko aur kuch sunaayi nahin diya. Apna sar khujaate hue Afzal ne khud se kaha,

“Main ne thik suna ya sach mein mujhko chadh gaya hai aaj? Ussne bhai kia bana diya main paglaa gaya shayad anaap shanaap sunne laga hoon!!”

Aur jiss tarah uss din Samir ne Shireen ko kissi ki car mein jaate hue dekh kar shak nahin kiya bilkool ussi tarah Afzal ne bhi shak ka khayal mita diya Samira ko lekar aur khud ko kossne laga!

Ek aurat agar chaahe to ek kia hazaar mardon ko chutiye bana sakte hein! Aurat mein wo ajeeb si taaqat hoti hai jo ek mard mein nahin hota…. Andar ki taaqat, sabr ki taaqat, himat ki taaaqat, lambi intezaar ki taaqat…. Mardon mein yeh taaqat nahin hote. Jismaani taaqat mard mein hote hein auraton se ziada magar jo andar ki taaqat auraton mein hote hein woh bahot hi kum mardon mein hota hai. To yahan kia Samira ne do mardon ko ullo banaya? Ya kuch aur baat hein jo koyi samajh nahin pa raha hai?

Woh ajeeb si muskaan kia thi jab Samira ne Afzal ko uthkar baahar jaate dekha? Usski nazrein kia kehna chahti thi? Kia ussne apni vijayata hone ki khushi dikhaayi thi? Ya usske nazron ne yeh kaha tha ke “tu kia mujhko parkhega, main tumko ulta bhagati hoon yahan se!” Aur ya phir usski nazron mein ek chah thi ke ussne kyun Afzal ko eisa kaha ke woh jaa raha hai aur haath mein aayi achchi mauka ganwa diya ussne? Usske aur kareeb ho sakti thi, uss se ek aur rishta ban sakta tha… kia eise khayaalaat the Samira ke man mein? Yeh baad mein pata chalega, filhaal dekhte hein Afzal kia kehta hai apne dost ko phone karke.

Samir: “Han bata itni jaldi wapas agaya tu aaj? Kia hua yaar? Bata!”

Afzal: “Yaar Samir, Samira ek bahot achchi ladki hai hum khamakhan uss par shak kar rahe hein… woh bahot nek hai yaar; ussne mujhe bhai bola yaar meri behen hai woh yaara!!” --- yeh kehte hue Afzal ke enkh bhar aae aur Samir bilkool khamosh hogaya uss taraf…. To Afzal ek lamhe ke baad bola,

“Samir?! Samir? Hello? Cut gayi kia yaar? Tum ho nah?”

Samir: “Han bhai, han hoon, ajeeb baat hai nah yaar…. Hum sale mard kyun eisa sochte hein achchi auraton ke bare mein bhi? Yeh koyi ek taalaab ki machli nahin

hote jo sabhi machliyon ko gande kar dein yaar to phir hum sab eisa kyun sochne lagte hein yaar dhitkaar hai hum par yaar cheee thooo!!”

Samir bahot pachta raha tha aur Afzal bhi, donon sharminda the apne harkaton par.

Ab yeh phone wali baat aur Samira ki ajeeb nazron aur muskaan wali baat aap aur hum jaante hein magar Samir aur Afzal to nahin! Yeh yaad rakhein sab!!!


To be continued……………

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.