Update 20 Samir back home next morning​

Agli subha ko Samir bechain tha yeh dekhne ke liye ke Samira ussko sab sach batati hai ke nahin. Har roz ke wapasi time se pehle ghar agaya. Samira bathroom mein thi, kaam ke liye nikalna tha usse. Samir ghar ke andar aya to yeh jaante hue ke Samira naha rahi hai, dusre weise subhon ki tarah woh utejit ho gaya aur jeise hi Samira bathroom se towliya mein nikli ussne ussko uthaakar bed par patka….. aur hona kia tha wohi Samira ka chillana,

“mere baal bheege hein , bedsheet bheeg jaegi, chorro mujhe, uff, kia kar rahe ho, college jana hai hmmm Samir, chorro nah mujhe der ho jaegi ouiiiieee maaaaaa ufff kia kar rahe ho Samir ……”

Samir ghurrate hue yeh bole jaa raha tha Samira ki jism ko chusste chabate hue,

“Eisi haseen mauke ko kaun ganwata hai bhala, biwi jab bathroom se nikle woh bhi adhnangi baal bheege hue, khushbudaar badan to mera to khada hoga hi keise sabr karun janeman….thoda maja kar lene do, pyas to bujha lun main aja meri jaan aja aja!!!”

Aur ishk farma leta hai kuch hi pal mein. Uss dauraan Samir bhool hi gaya tha ke kal raat ko Afzal aya tha usske ghar….. aur ab Samira ko upar se niche dekh raha tha jab woh tayaar hone lagi college jaaane ke liye. Aur andar hi andar sochne laga ke kia pata ke Afzal ne usski kissi jism ke kiss hisse ko chhuwa hoga… Samir soch raha tha ke agar Samira ne ussko nahin bataya ke kal raat Afzal aya tha to usspar shak karna jaiz ho jaega….. bus itna hi soch raha tha ke Samira ne kaha,

“Ek baat bataun?”

Samir: “han bilkool batao kia baat hai?”

Samira: “Magar iss baat ko tum apne tak hi rakhna abhi mat poochna uss se! Pata nahin kyun ussne batane se mana kiya hai!”

Samir ne anjaan hone ki naatak karte hue poocha,

“kaun? Kiss se? kia mat poochun?”

Samira: “Kal raat ko Afzal aya tha yahan!”

Samir: Achchah? Kyun aya tha? Kia hua?”

Samira: “Dukhi lag raha tha, thoda piya huwa tha, shayad Shireen ko miss kar raha hoga, taras aya mujhe usspar.”

Samir: “Oh! Apni patni ka khoon karta hai aur ab ussko miss karta hai! Kia naatak hai!”

Samira: “Jab kal raat tumne phone kiya tha to woh yahin tha aur ussne dhire se mujhse kaha ke tumko nahin bataun ke woh yahan hai, to usske saamne keise batati ke woh yahan hai, shayad ussko sharmindagi mehsoos ho rahi hogi ke

emotional support ke liye mere paas aya hai, to tumse nahin batane ko kaha ussne, issi liye keh rahi hoon ke mat batana ke main ne tumko bata diya… just ignore and don’t let him know that I told you okay?”

Samir andar hi andar bahot hi khush ho raha tha ke samira ne ussko sab kuch bata diya aur matlab yeh hua ke woh sachchi hai, bewafa nahin. Varna woh sab kuch nahin batati…….

Tab tak Samira tayaar ho gayi, aur Samir ussko school chorrne gaya car mein. Bade aashik mizaaj ka tha Samir uss subha aur bahot khush lag raha tha, filmi gaane gaate hue drive kar raha tha aur flirt karte jaa raha tha apni biwi ke saath raste bhar. School jab agaye to Samir ne kaha, “Mat jao nah! Chalo ghar wapas chalte hein dobara sex karenge, maja aega kia kehti ho?” Samira ne sharmaate hue kaha, “chal hat badmaash aur car se utar gayi aur Samir ko ek flying kiss bheja.

Ek lambi sanns lekar Samir wapas ghar aya aur turant Afzal ka darwaza khatkhataya.

Aur donon dost mil baithe kal raat wali baat ke bare mein discuss karne ko. Samir ne jab bataya ke Samira ne ussko sab bata diya ke kal raat Afzal aya tha aur emotional support ki zaroorat thi use to Afzal ne kaha,

“Aur kia kia bataya Samira ne tujhe? Sab details diya tujhko?”

Samir: “Woh school ke liye tayyar ho rahi thi to sab details keise batati, bus important to yeh hai ke tumhare mana karne ke bawajood ussne mujhko bata diya ke tu kal raat wahan gaya tha nah?!”

Afzal: “Hmm thik baat hai. Magar kal raat to tu bada bechain tha yeh jaane ke liye ke kia main ne ussko chhuwa aur usski kia reaction thi!! Kia main details mein bataun sab tujhko?”

Yeh sunkar Samir ki chehre ka rang thoda pheeka par gaya aur kaha,

“Han han thik hai tu bata sab details mein mujhe yaar. Shuru se bata….. ”Afzal: “Han to main ne thoda sa beer pee liya aur raat ke 9 baje ke karib wahan knock kiya. Woh nightie mein thi already…..”

Samir: “Han naturally uss waqt wo nightie mein hi hoti hai, magar gown upar pehni thi ke nahin?”

Afzal ne hansste hue kaha,

“Han yaar ek paraya mard ne knock kiya to kia bina gown ke darwaza open karegi. Beshak gown mein thi. Sab cover tha kuch nahin dikh rahe the.”

Samir: “phir?”

Afzal ne tab sab baat bayaan kiye. Magar yeh nahin mention kiya ke ussne kahan kaahan apne haath phere the Samira ke badan par. Afzal yeh khud dekhna chahta tha ke dobara woh weisa karega to Samira ki reaction kia hogi. Woh kuch apne liye bacha ke rakhna chahta tha pata nahin kyun. Wohi jaane usska kia irada tha, yeh to kuch dinon baad Samira se milne ke baad hi pata chalega. To Samir ne kaha,

Samir: “To saaf zaahir hai ke Samira seedhi saadhi hai nah yaar? Ussne mujhko sab kuch bata diya tumhare mana karne par bhi aur tumne wohi bataya jo uss ne bataayi, to matlaab saaf hai nah ab?”

Tab Afzal bola.

“Kia ussne tumko yeh baat batayi ke woh yahan aayi thi mere flat mei raat ke karib 12 baje?”

Yeh sunkar Samir chohonk gaya aur Afzal ke enkhon mein gambhirrta se dekhne laga.

Afzal ne fir hansste hue kaha,

“Darr mat, fikar mat kar, sab mera hi drama tha, main ne kadam dagmagane ki naatak kiya jeise ab girr jaunga to do kadam mera sath diya mujhe yahan laane mein ussne aur koyi baat nahin thi, mujhe chorr kar wapas chali gayi wo. Ab khush?”

Samir ke jaan mein jaan aayi aur kaha,

“To ab aguey kia plan hai yaar?

Afzal: “Kia sab baton ka paata chal gaya? Kia aur do teen baar mujhko usske kareeb nahin jana chahiye? Tumne hi to kaha tha ke eise kaamon mein waqt lagta hai aur dhire dhire pata lagana hota hai to ek hi din mein result chahta hai tu? Thik hai agar tu kahe to ruk jata hoon!!”

Samir ne thoda sochne ke baad kaha,

“Nahin nahin, thik hai tum aguey badho aur dekhte hein kia hota hai…. Shak to mujhe bhi hai kyun ke woh Shireen ke bahot hi kareeb thi, mujhe ab bhi lagta hai ke ussko ziada kuch pata hai magar woh kuch chhupa rahi hai, tu aguey badh yaar no problem…. Magar ek dost ke naate tu apni had mein rehna kuch bhi ho jae, limit mat cross karna keh deta hoon! Agar tujhko eisa lage ke woh eisi weisi hai to apne aap par kabu rakhna aur nikal jana wahan se aur muhjko turant phone karke batana thik hai? Mera bharosa mat todna tum!!”

Dusre raat ko Afzal ne fir darwaza knock kiya Samira ke yahan raat ke 9.30 ko! Aur phir pee kar aya tha aur ziada nashe mein hone ka naatak karte hue ponhucha wahan……

To be continued……………

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.