Update 19 Afzal with Samira​

Ab Afzal jaan boojh kar weisa keh raha tha Samira se ke woh kuch nahin bataye Samir ko…. Maqsad yeh that ke woh batati hai ke nahin….. aur fir Afzal ko to sab batana hi tha Samir ko… ab dekhna yeh hai ke Afzal kia karta hai khud mauke ka faeda uthata hai ya Samir se jhoot bolta hai… Dosti ka farz nibhata hai ya dagha deta hai, aurat ki roop se dhoka khata hai ya tanhaayi ke aalam mein kuch aur karne ka sochta hai…. Iss khel mein utar to gaya ab nibha paega ya nahin yeh dekhna hai!!

Nashe ke haalat ka naatak karte hue woh Samira ki aghosh mein to tha aur Samira Phone par Samir se dhire dhire batein kiye jaa rahi thi, eisi weisi baat ke ab woh sone jaa rahi hai neend arahi hai ussko, papers correct kar rahi thi vaghaira vaghaira. Usske baat chit ke dauraan jitna ho saka Afzal ne ussko chuhne ki bharpoor koshish ki. Magar Samira Samir se baat karne ki josh mein aur Afzal ki harkaton ko nashe aur akelapan ki vajah samajh kar andekha kiye jaa rahi thi, halaan ke ek do baar ussne feel kiya ke Afzal ka chehra usske boobs par dabbe hue hein aur usska haath usske kamar ko sehla rahe hein….. Samira yeh soch kar kuch nahin boli ke Afzal ki biwi abhi abhi chal bassi hai aur woh akela hai aur phir Samir ka dost hai, apna hai, phir thoda nashe mein hai, iss liye usske harkaton ko andekha kiya aur ussko yunhi mamooli baat samajh kar serious nahin liya.

Jab Samir se baat ho gayi to udhar Samir sochne laga ke kyun Samira ne nahin bataya ke Afzal aya tha? Aur fir sochne laga ke Afzal gaya wahan ya nahin gaya?

Kia pata Afzal apne hi flat mein ho aur gaya hi nahin ho wahan?! Socha ke Afzal ko hi phone Karen fir socha ke nahin kuch der aur wait karte hein.

Aur Afzal wahan tab tak Samira ke goad mein hi tha jab Samira ne usske sar ko uthate hue dostana andaz mein kaha,

“Ab jao tumhein sona chahiye Afzal, tum nashe mein ho! Jao apne kamre mein jao.”

Tab tak Afzal ne usske donon hathon ko apne hathon mein pakra hua tha aur kaha,

“Samira mujhe woh kamra kaatne ko daudta hai ab, mujhse akele wahan raha nahin jata main paagal ho jaunga….ek tumhi ho iss waqt jisska sahara le sakta hoon iss tanhaayi se chhutkara pane ke liye mujhe abhi jaane ko mat kaho please.”

Muskurate hue Samira khadi hui aur do kadam chal kar boli,

“Magar mujhe sona hai Afzal, kal college jana hai…..”

Afzal ke samajh mein nahin aya ke kia kahen aur majbooran uthna para usse…. Do kadam darwaze ke taraf badhte hue kadam dagmagane ka naatak kiya jab Samira usske bagal mein chal rahi thi, aur dagmagaate hue Samira ke jism par sahara lene ke liye apne hathon ko badhaya tab tak Samira ne khud ussko sambhaal liya aur kaha,

“Chalo tumko tumhare kamre tak chodh kar wapas aati hoon.”

Corridor mein chalte hue, Samira ka dayan bazu Afzal ke kamar par, aur Afzal ka bayan bazu Samira ke kandhe par, bus teen, Chaar kadam chalna tha aur khud Samira ne darwaza kholte hue kaha, “Lo agaye, ab jao araam se so jao.”

Afzal ne Samira ka hath pakar kar andar karte hue kaha,

“Andar to ao, dekho keisei virani chaayi hui hai ab…dekho to…..”

Tab tak woh Samira ko andar khinch chuka tha… aur Samira ne charon taraf dekhte hue Shireen ki kami mehsoos kiya aur kaha,

“Udaasi chaayi hui hai iss flat mein ab to….”

Aur Afzal ne usske kamar mein haath dabaate hue apne ziada nazdeek kiya aur bed par baith gaya, fir apne sarko Samira ke chati par se dabate hue, ussko apne bahon mein lekar kaha “Ab iss udaasi mein main akele keise reh raha hoon socho zara Samira meri kia haalat ho gayi hai socho…..”

Samira khadi thi aur Afzal bed par baitha to zaahir hai Afzal ka sar usski chaati par dabe hue the, fir Samira ne apne hathon ko usske balon ko sehlaate hue kaha,

“Dekho Agfzal main tumko samajh rahi hoon tumko iss waqt sahare ki zaroorat hai magar main kar bhi kia sakti hoon..apne aap ko sambhalo please; mujhse yahan nahin raha jaega mujhe Shireen ki yaad arahi main chalti hoon…..”

Afzal rok nahin paya aur Samira tez kadmon se nikal gayi…..

Turant Afzal ka phone baja aur Samir kaha,

“Kia yaar 11 bajne ko hai aur tumne kuch kaha bhi nahin hua kia tu nahin gaya tha kia wahan?”

Afzal uthkar darwaze se bahar dekhte hue jawaab diya,

“Yaar main wahin tha jab tumne phone kiya tha Samira ko aur main ne hi ussko tujhe batane se mana kiya aur ussne tumko bataya bhi nahin…. Magar sun, kuch eisi weisi baat nahin abhi to shuruwaat hai…. Thode dinon mein pata chal jaega ke woh seedhi hai ya nahin…waqt lagta hai eise kaamon mein…..”

Samir: “Achah yeh bata tumne ussko chhuwa kahin; ya chuhne ki koshish ki?”

Afzal: “Ab phone par details dun kia? Main ne kaha nah abhi kuch pata nahin chalne wala…waqt lagta hai dhire dhire bataunga nah. Filhaal sab thik hai.”

Samir : “Fir bhi itna to bata, ussko chhuwa tumne, aur usski reactions kia thi tab?”

Afzal: “Bhai mere main ussko dhoka de raha hoon, bechari mujhpar taras kha rahi hai kyunke meri biwi marri hai…. Main dukh mein hone ki drama jo kar raha hoon, Shireen ki kammi dikha raha hoon to dost ke naate taras to kaegi nah mujhpar yaar… abhi results nahin aegi eise dost….. Kuch dinon mein samajh mein ajaega….. weise tum mujh par koyi shak vak mat kariyo, apne dost par yakeen rakhna…main kuch eisa veisa nahin karunga…. Jiss din laga ke woh mere taraf arahi hai to main khud nikal jaunga aut turant tujhko phone karunga okay mere dost? Tu befikar reh aur chinta nah kar yaar hoon tera, duhman nahin….. Tere liye yeh kar raha hoon mera dil khud yeh karne ko raazi nahin …bus ek do raton ko aur uss ke ziada nazdeek hone ki koshish karta hoon fir final result ajaega. Ab tu befikar kaam kar main thoda so leta hoon, good night Samir.”

Samir yeh sochne laga ke kyun uss waqt Samira ne ussko nahin bataya ke Afzal wahin tha? Kyun? “Subha ghar jane ke baad pata chalega Samira kitni sachchi hai…..” Samir ne khud se kaha….

To be continued………………

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.