Update 24 Afzal on the way​

Samir ek do kadam idhar udhar bedroom mein chalne laga, bed ke paas ata phir darwaze ke paas jata phir wapas ata, bedroom ko chaaron taraf dekhta, Samira ke chehre mein dekhta, phir uss aadmi ko dekhta…. Chillana bilkool band kar diya aur bilkool sukoon aur araam se baat karne laga, Samira se kaha;

“Jaa chorr diya tujhe, chali jaa!! aaj se tera mera koyi vaasta nahin; tu free hai, apne yaar ke saath chali jaa phir zindagi bhar kabhi mere enkhon ke saamne mat ana…” yeh sunkar Samira bed se utri aur almaari ke taraf badh rahi thi to Samir ne kaha,

“Nahin, abhi nahin? Raat ke 3 baje kahan jaegi tu? Nah! Abhi tu araam se reh le aur do ghari main khud nikal raha hoon…. Subha 8 baje aunga, aur jab main aun to tum yahan nahin honi chahiye…tera ek bhi cheez iss ghar mein nahin dekhna chahta hoon ek bhi nahin! Samjhi? Agar kuch chorr degi to jala ke khaak kar dunga….. Aur sunn mera ek bhi chiz nahin le jaegi iss gharr se… jo kangan meri maa ne tujhe diye the woh yahin chorr ke jana….. ek bhi chiz jo mere taraf se tujhe mili thi sab yahin rakh ke jana…. Aur agar ek bhi mera chizz le gayi to tujhko dhund kar goli maar dunga samjhi tu saali?”

Samira roti jaa rahi thi aur sarr hilla kar han mein jawaab de rahi thi….

Aur Samir wahan se nikal gaya.. ekdum se achanak cool ho gaya tha… pata nahin kia socha, kia tey kiya apne dimaagh ke andar ke khamosh sa ho gaya aur araam se Samira ko jaane ko keh diya….. apni car ko drive karta gaya karta gaya … subha ke 3 baje sunsaan galiyon mein lagta tha sirf ek hi car hein desh mein jo raaste par chal raha hai…. Bilkool sunsaan the chaaron taraf aur woh itna door nikal gaya drive karte ke ussko khud nahin pata tha ke kahan agaya hai…koyi 100 kilometre se ziada drive kar chukka tha jab ek samundar ke kinare car roka aur baahar nikal kar samundar ke taraf dekhte hue bahot hi zor se chilllaya teen baar;

“AAAAAAAAAAAHHHHHHHHHHHHHHH”

“AAAAAAAAAAAAAAAAHHHHHHHHHHH”

“AAAAAAAAAAAAAAAAHHHHHHHHHHH”

Usski awaaz echo kar rahe the samundar ke lehron ke beech… phir haanffte hue Samir reth par baith gaya…. Ussko sharaab pine ka zor se mann kar raha tha ussi waqt… magar uss waqt sunsan jagah par kahan se milta sharaab…… par jaldi yaad aya use ke Afzal ne glove box mein ek brandy ki botal rakha tha kuch din pehle..

ussko laga ke jeise pyase ko darya mil gayi…. Brandy ka botal lekar samundar ke kinare andheri raat mein pine laga aur apni kismat ko kosne laga….

Kuch der baad, Thoda sa nasha chadhne laga to aasmaan ke taraf dekhte hue Samir ne kaha,

“Are upar wale, kia khel khela tumne hamare saath, wah? Kia ishtory likhta hai tu upar baith kar wah you are the best story writer, I salute you boss!! Sala tumne mera aur Afzal ke naseeb milkar likhe the kia? Hein? Hum donnon ko dost banaya, aur donon ke saath ek hi sulook kiya eisa kyun boss? Kia rishta hai inn donon doston ki zindagi ka? Kuch aur karna baaki hai kia? Hum donon ki zindagi judi hui hai kia boss?”

sharab ka nasha kaam karne laga tha aur Samir ke zuban ladhkharane lage the….

Aur khud pite pite Samir khud apne sawalon ka jawaab dene laga, ussne kaha,

“Han!! Great great great God ho tum ab main samjha tera game! Tumne Afzal ko iss liye mera dost banaya, kyunke usske saath bhi eisa hona tha aur ussko apni wife ki murder karni thi, to tumne mujhko lesson diya ke ussne to apni wife ki murder kiya aur beizati hui usski unit mein, iss liye tumne mujhko yeh seekhaya ke mere saath bhi eisa hi hoga to main murder nahin karun so that main unit se nahin nikala jaun…okay boss? Yehi maqsad tha nah tumhara? Wah? What a game boss great game!! I got it boss!! Main ne murder nahin kiya to aap ka game safal hua God you must be happy that you succeeded nah!! Yes great God claps claps claps” Samir aasman ke taraf haathon ko uthaakar taliyan bajata gaya kaafi der tak…..

Aur wahin reth par leth gaya aur usski enkh lag gayi thodi der ke liye….. fir suraj ki pehli kiran jab usske chehre par aya to Samir uth baitha aur time dekha ke 6 baje the… ussne Afzal ko phone kiya….. Ab bhi nashe mein tha, zuban ladhkhada raha tha…..

Afzal ne phone uthaya aur ek yawn lete hue kaha,

“Sala neendh mein hoon kyun itni subha phone kiya sale, ab ghar wapas jaa raha hai unit se? kia baat hai bol!”

Samir: “hahahaha are mere yaar tu abhi issi waqt aa mujhse mil, main pi raha hoon samundar ke kinare tu aja jaldi se aa!! Mauj karenge aaj donon kismat ke mare dost!! Aja aja aja hurry up!!”

Afzal ko heyrat hui ke itni subha kyun Samir ke zubaan ladhkhda raha hai kia woh sach much nashe mein hein, usski aawaaz mein dard thi..magar kia hua hoga kyun eisa keh raha tha Samir…. Afzal ne pata poocha ke kiss samundar ke kinare hein kia baat hui vaghaira…. Magar Samir ne assal baat nahin bataayi… khush hone ka dhong kar raha tha…. Hanss raha tha magar jhooti hanssi thi Afzal pehchaan gaya…. Afzal ke samajh mein agaya ke koyi problem hai… Afzal ne bilkool nahin socha tha ke samira involved hoga… Afzal ne sirf yeh socha ke unit mein koyi gambhir saza mili hogi Samir ko ya ussko bhi suspend kiya gaya hoga kissi vajah se, Afzal sirf inn sab ke bare mein sochte hue jaldi se hath munh dhokar thoda sa chae peekar aur thodi chae Samir ke liye bhi liya aur nikla apne dost se milne ke liye der saal ke baad……

Jab Afzal uss jagah pohuncha to dekha Samir reth par leta hua hai aur bilkool behaal hai…… Afzal daud kar usske paas gaya, aur Samir bahot zor se rote hue ussko gale se lagakar kehne laga,

“Main loot gaya mere bhai, barbaad ho gaya main bhi Afzal, main kahin ka na raha, munh dikhane ki layak nahin raha hai main yaar; tujhse sab batane mein sharam arahi hai mujhe re!! keise bataun? tujhe kia kahun Afzal!!”

Afzal ke enkhen bhar aaye aur Samir ke sar par haath ferte hue dhire se poocha,

“Kia ho gaya bhai mere? Tujhe bhi nikaal baahar kiya kia unit se? Tumne bhi kuch kar dala kia yaar? Kia hua bata?!”

Samir apne sansson ko rokte hue bola;

Samira randi nikli yaar tujhe ussko chod dena chahiye tha, Sali ek mard ke saath so rahi thi mere bed par!!!”

Afzal ko bada jhatka laga aur usske haath peyr thand par gaye yeh sunkar! Usska muhn khula reh gaya Samir ke baat sunte hi….. phir Samir ne ek banawati hassi ke saath kaha,

“Yaar magar main ne ussko goli nahin mara…. Teri baat yaad agayi jab maarne jaa raha tha….. upar wale ne tujhko istemaal kiya mujhko sabak dene ke liye, kia ajeeb khel hai upar wale ka bhi wah re nili chatri wale wah!!”

Afzal ne Samir ko uthaya aur car mein bithakar drive karne laga flat ke taraf, tab tak 8 bajne ko tha……

To be continued………………..

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.