Update 14 Afzal behaves odd!​

Samir ko thodi bahot heyraani hui magar ussne iss baat ko Afzal se discuss nahin kiya. Ussne socha kissi jaan pehchaan ke saath gayi hogi Shireen. Aur kuch dinon baad woh iss baat ko bhool bhi gaya.

Waqt guzarta gaya. Din eise guzre ke samajh mein nahin ata tha kab ek saal aur beet gaya. Inn chaaron ki dosti atut the. Hamesha ek saath program banate the aur jude hue the chaaron. Shaadi ka teesra saal chal raha tha jab ek roz Samir ne notice kiya ke Afzal kuch khoya khoya hua sa rehne laga chand dinon se. Jab Samir uss se iss bare mein sawaal karta to Afzal baat ko taal deta aur kissi dusre mudde par baat karne lagta.

To eise hi ek roz Samir ne kaha,

“Yaar ab shayad hum donon ko baap banne ka time agaya what do you say?”

Afzal khamosh tha. Samir ne phir se wohi baat kahi. Phir bhi Afzal ek taraf dekhte hue kaha, “Yaar yeh boss ne aaj kyun teesre group ko uss taraf bheja hai?”

Samir ko ghussa aya aur thoda sa awaaz ooncha karte hue bola,

“AREY YAAR MAIN TUMSE APNE BARE MEIN BAAT KAR RAHA HOON TO KYUN TO TOPIC KO AVOID KAR RAHA HAI? AGAR ISS BARE MEIN BAAT NAHIN KARNI TO SAAF BATA DE!”

Afzal bola, “Han nahin karni baat iss bare mein ab thik hai?”

Samir ko kuch thik nahin lag raha tha. Phir woh Afzal ke kareeb ate hue dhire se bola,

“Yaar Afzal koyi problem hai kia yaar? Kuch dinon se tu kuch different behave kar raha hai? Dost se share nahin karega apne problem ko?”

To Afzal ne kaha ke koyi bhi problem nahin bus usska mood thik nahin hai. Phir Samir ne kuch nahin bola aur apne kaam mein lag gaya.

Kuch chaar mahinon tak eisa chalta raha. Afzal kum batein karta, ziada ghussa karta aur kaam se ziada absent hone laga tha, kabhi kabhi kaam par ata bhi to beech mein wapas chala jata!

Han ek baat aur thi ke shaadi ke dusre saal ke beech donon ne milkar ek car kharide. Aadhe paise donon ke the uss Car mein. Ussi mein donon naukri par bhi jaate aur kahin bhi jana hota to ussi car ko use karte the. Kabhi Samir drive karta to kabhi Afzal. Jab apne parents ke paas jana hota to ek dusre se ek do din pehle bata dete the tab donon mein se ek car lekar apne wife ke saath apne parents ke yahan jaate the. Varna kabhi bada program hota tha to chaaron saath jaate the car mein. Bilkool ek family jeise the sab.

To ek roz day shift par the donon to din mein achanak Afzal ne car ki chabhi mangi Samir se. Samir ne poocha kahan jana hai to Afzal ne ghusse mein kaha;

“Kahin bhi jaun Car mein mera bhi hissa hai to jab bhi kahin jana chahun car ki chabhi mujhko milna chahiye!”

Samir: “Arey yaaar bhadak kyun raha hai kia main chabhi dene se inkaar kar raha hoon? Yeh le!” kehkar Samir ne ussko chabhi de diya aur woh car lekar nikal gaya ek permission lekar naukri se. Samir sochta raha ke Afzal kahan gaya aur kyun batane se inkaar kiya ussko.

Phir 7 mahine eisa hi chalne ke baad woh din aya jab South Africa ke dakshin mein boat par jaane ka order mila unit mein se sirf 4 Comandos ko. Unn mein Samir aur Afzal ke naam shaamil the. 20 din ke liye boat par rehna tha pichle time ki tarah. Sab tayaar the magar Afzal ne jaane se inkaar kiya. Samir ko bahot heyraani hui ke kyun Afzal jaane se inkaar kar raha hai. Poochne par bhadak raha tha yeh kehte hue ke usski zaati maamla hai.

Samir ne jab boat par jaane ki baat Samira se kiya to poocha ke woh kia passand karegi flat mein hi rehna ya apne maa baap ke paas rahegi ya to phir Samir ke maa baap ke yahan bhi reh sakti hai unn 20 dinon ke liye. Samira ne kaha ke flat mein hi reh sakti hai kyun ke Shireen wahin hai aur Afzal nahin jaa raha hai to woh bhi to hoga to woh secure feel karegi. Magar jab Samir ne Samira ko Afzal ki ajeeb vyohaar ke bare mein bataya to decide hua ke unn 20 dinon ke liye Samira Samir ke parents ke ghar rahegi.

Jane ka din aya aur Samir boat par chala gaya magar Afzal nahin gaya usske saath. Samira apne in laws ke ghar chali gayi aur wahin se naukri par jaati. Samir ki choti behen bahot khush thi apne bhabi ko ghar mein paakar aur ziada samaye usske saath bitati thi.

Udhar Afzal aksar naukri se permission lekar car se takriban har roz kahin jata tha. Kissi ko samajh mein nahin ata tha woh kahan jaya karta hai. Shireen Samira ko phone kiya karti thi aur kabhi kabhi donon mila bhi karte the kaam ke baad. Ek Saturday ko Shireen ne, Samira ko flat mein bulaya aur woh milne gayi uss se. Uss roz bahot late ghar wapas gayi woh. Samir ki behen ne poocha kahan thi itni der tak to Samira ne kaha ke flat mein thi Shireen ke saath kyun ke woh akeli thi iss liye ke Afzal kaam pet ha uss din. To samir ki behen ne kaha ke ussko bhi saath kyun nahin legayi thi!! Jisska jawab Samira ne muskurate hue yeh diya ke “Tu abhi choti hai badi ho jaegi tab le chalungi.”

15 din beet gaye the Samir ko boat par gaye hue. Udhar Samir boat se bhi contact kar paata tha kabhi kabhi Samira ko cell phone ki roaming maadhyam se. 17th day ko achaanak Samira ne rote hue Samir ko phone kiya aur kaha ke woh turant wapas aaye ek bahot badi durghatna ho gayi hai!!

Samir ko shock laga jab poocha ke kia baat ho gayi aur jab Samira ne jawaab diya ke Afzal murder ke jurm mein giraftaar ho gaya hai!! Samir ne poocha “WHAT? KISSKA MURDER?!” Samira zor se rone lagi…… baat nahin kar paa rahi thi…..

To be continued…………….

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.