Update 15 Afzal locked up! Samir back​

Samir phone par hi bilkool jhatke wali khabar sunkar hakbaaka sa gaya aur poochta raha Samira se,

“Hello sunon, Samira listen to me itna to bata do kiss ka khoon kiya Afzal ne kia sach hai yah ussko fansaaya gaya hai kia tumko ziada maloomaat hai?”

Samira hichkiyan khaate hue boli: “Dekho main ziada nahin bol sakti ussne 2 katal kiye hein ab tum jaldi aao!! Main rakh rahi hoon phone.”

Samir ke hosh udh gaye, usske dil zoron se dhadakne laga aur jeise usske haath peyr mein se taakat chale gaye, usska dimaagh jeise bilkool khaali ho gaya, usske samajh mein nahin araha tha ke kia karein. 3 Din baaki the boat par kaam complete karne ki….. to woh kia karta samajh mein nahin araha tha use…. Bilkool kamzor par gaya tha uss waqt….. Himat karke ussne apne superior se baat kahi. Ab kyun ke Afzal unhi ke biradari ke the to chief ne radio phone kiya unit mein to khabar positive mein mili ke han Afzal ne double murder ke jurm mein quaid hai. Details nahin mili. To boss ne decide kiya ke mission ko incomplete chorr kar sab wapas chalen! Jaldi se ek helicopter se weh log airport gaye aur turrant jo pehli flight mili wapas jane ko unn par seat book kiya. Magr flight agle 17 hours ke baad ka tha!! Samir bahot bechain tha. Uska dimaagh kaam nahin kar raha tha. Usska sar chakraane laga, Afzal ki vyohaar ke bare mein sochne laga….. kia hua hoga soch raha tha. Kiss se panga hua? Kia usski kissi se koyi dushmani thi jo woh Samir ko nahi batana chahta tha? Agar ussne ghusse mein mara hoga to lahu lohaan kar diya hoga, hadiyan tod diya hoga….. “Oh my God!!” Zor se chillaya Samir, to usska superior ussko comfort karne aya. Uss ne kaha;

“Dekho hum sabse behtar vakil se baat karenge, criminal ki best vakil ko hum jaante hein, keise bhi ho bail par to nikaal lenge Afzal ko, phir 5/7 saal tak ruling hogi tab tak woh free rahega, magar unit se branded kiya jaega kyunke uss par

murder ka charge lag gaya hai – He will be dismissed in a ceremony in front of all unit members of the task force!”

Ye sunkar to Samir ko aur dhaka laga. Magar yeh soch kar ke Afzal ko bail par nikaal liya jaega aur 6/7 saal tak free rahega iss se usske dil ko thoda tassali mili.

Airport ke rest room mein unit ke members araam kar rahe the next flight ka wait karte hue. Samir leta hua tha ke usski enkh lag gayi aur ek bhayanak khwab se chohonk kar utha. Pasina pasina ho gaya tha aur ghabraya sa tha. Ussne sapne mein dekha ke Afzal khud Samir ka khoon kar raha hai! To woh Afzal ke ajeeb vyohaar ke bare mein firse sochne laga aur uss din ko yaad kiya jab car ki chabhi manga tha ussne aur kis tarah se Samir ko ussne jawab diya tha garam hokar. Lagta tha ke Samir ke khilaaf bhi kuch tha usske dil mein. Lagta tha ke samir se ghussa tha woh. Samir sochne laga ke kahin uss se koyi ghalati to nahin ho gayi hai? Kia Afzal ko koyi ghalat faimi hui hai Samir ko lekar? Kia Samira se koyi baat hui hai? Kyun uss tarah ki behavior ho gaya tha Afzal ki Samir ke taraf? Samir bahot yaad karne ki koshish karte jaa raha tha flash back mein jaakar ke kaun si baat hui hogi usske aur Afzal ke beech jiss se woh uss se naraaz ho sakta hai? Kyun pichle 3 chaar mahinon se woh thik se baat nahin kar raha tha Samir se? kyun woh Samir ke saath boat par ane se inkaar kiya? Kia ab ussko samir ka saath passand nahin tha? Agar han to kyun? Kia kiya tha Samir ne ussko? Kia Samir ka koyi kusoor tha? Kia Samir ne kuch kiya tha jane ya anjane mein? Kia Samir aur Samira related hein usske behavior ki change hone mein? Kia Afzal ko kuch eisi baat ka pata chala tha jo Samir nahin jaante the aur woh Samir se nahin keh paa raha tha? Kia Samira ko kissi raaz ki baat ka pata hai jo samir ko nahin pata? Yeh sab soch soch kar Samir paagal ho raha tha. Ussko ghar ponhunchne ke bahot jaldi thi aur Samira se milkar bahot sare sawalon ka jawaab pana tha. Khud se ussne kaha; “Oh I miss Samira like hell right now!! Kaash woh iss waqt mere saath hoti to main bahot sare sawaalon ka jaawab mangta uss se!! Main ne kyun yeh sab pehle nahin socha aur Samira se pooch taaj nahin kiya?! Samira to Shireen ki saheli hai to ussko Shireen se pata chal jata agar Afzal weisa hi behave kar raha hai ghar mein bhi to…. Yeh sab main ne kyun nahin poocha tha Samira se?!! uff!!”

Jab flight tayaar hua to Samir ne aakhri baar Samira ko phone kiya aur kaha ke woh araha hai aur kitne baje flight land karegi desh mein. Aur ussko airport ane ke liye kaha. Samira keise karke bhi airport gayi.

Plane land hui aur tez kadmon se Samir, Samira ke taraf gaya aur Samira ne uss ko bahot zor se bahon mein lekar rone lagi ek bache ki tarah. Samir ne usske sar par hath ferte hue kaha, “I am back stop now… chalo hum ek vakil ke paas jaa rahe hein boss ke saath, ussi ke saath challenge…. Raaste mein araam se batana kia hua hai.” Samira kamp rahi thi, usske jism ka har ek hissa tharthara rahe the.

Car mein baithne ke baad Samir ne Samira se pehla sawaal yeh kiya,

“Pehle tum mujhe yeh batao ke kia tumko kabhi Shireen ne kuch eise baat bataaye jo tum ne mujh se nahin kaha? Kia ussne Afzal ki vyohaar ke bare mein kabhi kuch kaha tumko? Bolo!”

Samira boli;

Kia yeh nahin puchoge ke usske kiss ka katal kiya hai? Yeh keisa sawaal pooch rahe ho tum Samir?”

To be continued……………

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.