Update 13 Changes in the livinghood​

Din, mahine, beette gaye aur donon dost weise hi apne patniyon se kabhi door to kabhi raton ko paas hote. Aur takriban ek saal guzar gaya weise hi. Ek hafta raat ko saath hote to dusre hafte biwi raat ko akeli rehti. Aadat ho gayi inn chaaron ko weise hi jine ki.

Han har weekend par din raat saath hote the sab. To aksar Afzal aur Samir program banate; charon ek saath kabhi cinema jaate, to kabhi samundar kinare choti si picnic ke liye, ya ghumne jaate saath sab. Mahine mein ek weekend charon saath bitate the. Kabhi Afzal apne patni ke saath Samir ke yahan ata to kabhi Samir, Samira ko lekar Afzal ke yahan jata. Donon patniyon ko pakana ata tha, to jab charon ghar mein ek saath hote to donon biviyan kitchen mein achche pakwaan banate aur donon mard kabhi beer peete ya kabhi yunhi saath mein gupshup lagaate. Afzal ki biwi ka naam Shireen tha. To Shireen aur Samira achche dost ban gaye aur sabhi awraton ki tarah yeh bhi apne apne pati ke bare mein tarah tarah ke batein karte aur kabhi hansste unnko aur kabhi chidhaate the.

Donon young ladies apne sex life ke bare mein bhi batein karte the. Shuruwaat Shireen ne kiya tha apne bedroom ki batein karne se, to Samira bhi share karne lagi uss se apne bedroom ki baton ko. Donon ne yeh bhi baat kiye ke jinn raton ko husbands kaam par jaate hein to weh keise raat guzaarte hein akele……

Pura ek saal guzarne par, donon jawaan awratein ek dusre ke itne nazdeek agaye the ke inn ke beech secrets bhi hone lage. Ab ladies log to secrets share karte hi hein magar weh ladies talk hote hein aur hum mardon ko bataane se weh log mana karte hein yehi kehte hue ke ‘its ladies talks!’

Ab kiss tarah ke secrets share karte the Samira aur Shireen yeh baad mein pata chalega hum sabko. Abhi ke liye itna kaafi hein ke yeh donon bahot nazdeek ho gaye the aur waqt ba waqt mila bhi karte the. Donon awratein modern thiin, padhi likhi thi, ek teacher to ek boutik wali, kabhi boutik mein milte donon aur wahan se kahin jaate, to kabhi ghar mein milte donon. Donon ki bahot jamti thi. Bilkool jeise Samir aur Afzal dost the yeh donon bhi bilkool weise hi dost ban gaye the.


************************************************************

Ek saal apne maa baap ke saath rehne ke baad Samir aur Samira ne decide kiya apna ek alag ghar lene ka. Facility yeh tha ke Samir ko unit ke taraf se rehne ke liye alishaan flat mil raha tha aur udhar Afzal ko bhi. Samir ne apne maa baap se kaha ke fikar karne ki koyi baat nahin woh har mahine unnko paisa deta rahega aur apne choti behen aur bhai ki padhaayi ki zimedaari usski. Aur har do hafte mein unn logon se milne jaega aur mahine mein ek roz ka khana maa baap ke ghar pe. Yeh decision khud Samir ne liya. Magar pehle Afzal aur Samir ne milkar aapas mein yeh decision liye the aur bilkool weise hi Afzal ne bhi apne maa baap se kaha aur nibhaane ka wada kiya Samir ki tarah hi.

To ek saal baad donon flat mein move hue. Aur donon Afzal aur Sameer ke flat ek dusre ke bagal mein hi the; yeh donon ne chunn kar liye the taake ek parivaar ke jeise donon saath rahe, aur zaroorat padne par ek dusre ka support rahe hamesha. To ab shuru hui ek dusri kisam ki zindagi in chaaron ke liye. Afzal aur Samir ke liye asaan tha kyun ke wahan se unit jana karib tha, magar Samira aur Shireen ke liye thodi si duvidha ho gayi kyun ke inn ke naukri ki jagah door par gayi uss flat se! Phir bhi sab ne adjust kar liye aur chand mahinon mein sab fit hogaye aur aadat ho gayi sabko.

Jab raaton ko Afzal aur Samir kaam par jaate to aksar Shireen aur Samira ek dusre ke yahan pae jaate. Donon padosi bhi the ab to. Aur jo secret wali baat thi ab to aur bhi ziada karib hone se secret bhi ziada ho gaye aur barkaraar rahe!!

Jab kaam par se raaton ko Samir ya Afzal phone karte to pata chalta ke Samira Shireen ke yahan hai ya Shireen Samira ke flat mein hai. To donon doston ko achchah mehsoos hota ke unnke biwiyan akele nahin hein, donon ke paas ek saathi hai ab. Sab log secure feel karne lage.

Baat kuch ajeeb hua jab Afzal aur Samir ke night shifts mein changes aayi!! Kuch eisa badlaav aya jinnse donon couples ko bada takliff hua. Donon ladies ko bhi disturbance hue. Ek baar ek emergency outing ke dawraan Afzal ghayal ho gaya goli se. To ussko ek mahine ki leave mil gayi. To Sameer akela padh gaya raton ke shift mein. Jab Afzal thik ho gaya aur duty join kiya to ab usski night shift aur Samir ki night shift same nahin rahe! Jiss hafte ko Samir night shift karte tab Afzal ka day shift tha aur ulta uss taraf. Tab hua yeh ke Afzal jab raat ko ghar par hote to Samir kaam par, to tab Shireen nahin jaa paati Samira ke yahan aur unnki secret wali raatein namumkin ho gaye kyunke, jab Afzal raat ko kaaam par jaate tab Samir ghar par hota aur uss waqt Samira nahin mil paate Sahireen se….. Han agar milna chahte to husband se kehkar thodi der ke liye milne chale jaate the magar ziada der to nahin…. Par jab donon husbands nahin hote the tab to ghaanton waqt saath bitate the donon awratein….. to iss bare mein badi disturbance hui ladies ko………….

Ab Afzal aur Samir ko bhi bilkool thik nahin lag raha tha night shift ko akele kaam karna… donon saath rehna chahte the….. to ek roz donon ne plan banaya ke keise ek saath same shift par wapas kaam kare. Afzal ne Samir se kaha, “jiss hafte ko tu night karega bimaar pad jaa.. sick leaves lele….. phir next week join karega to night mein join karega to hum saath honge…..” Samir ne wohi kiya….. ab ek hafte woh ghar par raha magar Samira ko to school jana tha…. Akela pad gaya bilkool kyunke Samira leave nahin le sakti thi iss liye ke exams chal rahe the college mein unn dinon…. Magar ek roz Shireen ghar par thi jab Samir, Samira ko bus stop par chodh kar wapas aya to…….

Samir ne poocha ke woh boutik nahin gayi, to ussne jawab diya ke chuhti par hai uss din! Jab Samir ne poocha ke din bhar kia karegi to Shireen ne kaha kuch bhi karne ko nahin hai, shaayad kuch shopping karne jaegi baad mein….. Samir Afzal ko phone karke iss bare mein baat karna chahta tha magar nahin kiya……

Uss roz kuch ghanton baad Samir terrace par smoke kar raha tha to dekha Shireen sajh dhaj kar kahin jaa rahi hai niche gate ke taraf…… jaldi mein thi, aur jab raaste par nikla to ek car ruki aur Shireen uss mein chadh gayi aur car zor se nikal pada……

Ek bada kasht dhuan ka udaate hue apne munh se Samir soch mein pad gaya ke kiss ke saath Shireen jaa rahi thi aur kahan??

To be continued………………

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.