Update 53 SMS part 2​

Shanaya ki enkhen khushi ke ensoo se bheeg gaye aur enkhen ponchte hue jaldi se reply kiya;

“Yes, yes, I will meet you. Main kitni besabri se tumhara intezaar kar rahi thi Samir. Tum kyun eise bina batae chale gaye the, kyun mujhko itna sataya tumne? Tum se milungi magar baat nahin karungi tumne mujhko bahot rulaya itne din!!”

Turant jawaab aya:

“Okay thik hai tum baat mat karna, main karunga tum sunna. Aur bahot kuch karunga tum chhup rehna bus hehehehe!!”

Shanaya se reply kiya; “Kia karoge?”

“Milogi to pata chal jaega”

“Kahan milna hai?”

“Zameen par ate hi bataunga.”

“Ghar nahin jaoge? Seedhe aoge tumne kaha, car se aoge ya keise?”

“Ghar se car lekar aunga”

Shanaya ne likha; “Office ke paas mat ane ko kehna, main nahin chahti ke koyi mujhe dekhe, kahin aur milna, kissi ko nahin bataungi, tumse milne ke baad office phone karke bataungi ke kaam par nahin arahi hoon okay? I missed you too much, I cried a lot thinking of you, I felt like I had lost you, I was very worried, why did you do this to me Samir?”

Samir ne jawaab diya; “I am very sorry, kuch ghalat faimiyan thi shaayad!! Issi liye yeh sab hua, main ghalat samjha tha….”

“Kia ghalat samjhe the tum? Kia kiya tha main ne?”

“Baad mein bataunga, fikar mat karo, ghalati meri thi.”

Shanaya ne khush hote hue likha, “Main tumko surprise karungi jab miloge to!”

Samir: “Achchah? Surprise to main tum ko karne wala hoon aaj!”

Shanaya: “Woh keise? Khair chorro dekhte hein kaun kissko surprise karta hai! – weise sms kyun kar rahe hein hum? Wait main tumko call karti hoon I want to hear your voice!”

Samir ne jaldi se sms type kiya; “No don’t call mera battery bahot low hai dead ho jaega, ship par thik se charge nahin ho raha hai”

Shanaya: “okay koyi baat nahin fir, sms hi karte hein. Kitne der mein land par aoge?

Samir: “shayad aur 4/5 ghanton mein….. achcha ab tum so jao, varna kal din mein jab mere saath hogi to neend aegi tumhein…..”

Shanaya: “nahin nahin, ab mujhe neendh nahin aegi mujhe sms karte raho jab tak land par reach hoge tum….”

Samir: “nahin baba!! Battery out ho jaega, main switch off karke charge karunga tab kal subha tumse baat karunga milne se pehle, tum ab araam karo nah!”

Shanaya to raat bhar sms karna chahti thi magar maan gayi Samir ki baat aur Samir ne bye kehkar switch off kar diya.

Shanaya ki khushi ka inteha nah tha. Usski sabr ka fal ab meetha nazar ane laga. Ab usski enkhon se neendh udh gayi aur Samir ki khayaalon mein apne takye ko bahon mein jakar kar bed par lotne lagi…… aaj pehli baar Shanaya ko Samir ko sochte hue eisi garam ehsaas hui ke woh Samir ke nange jism ko yaad karte hue usske jism ko bahon mein jakarna chaha. Takiye ko bahon mein jakre hue Samir ki jism ko yaad kar rahi thi jiss waqt uss gadde mein woh nanga tha aur usska jism Shanaya ki nangi jism ke upar the….. Shanaya uss dard ko bhool gayi jo uss waqt usss par guzri thi aur tabdil karte hue pyar ka ehsaas judh gaya jismaani kashish ke saath, Shanaya ki jism uss waqt Samir ke jism se judna chahti thi, Shanaya ko Samir ke chuwan ki zaroorat mehsoos hone lagi aur ussko laga ke uss gadde mein jo bhi hua tha usske bhalaayi ke liye hua tha varna aaj usske dil mein Samnir ke liye itna pyar nahin hota…… Aksar pyar dil se shuru hokar jism tak badhta hai yahan Shanaya ka pyar jism se shuru hokar dil ki gehraayi tak gaya tha….. Shanaya ne khud apne bahon ko chummte hue Samir ke chehre ko chumne ki tasavur kiya, khayaalon mein usski bahein Samir ke bahein the uss waqt, aur Shanaya ko utejina ne ghera aur ussko woh mehsoos hui jism mein jo pehle kabhi nahin hui thi…….

Aakhir mein Samir ke khayaalon mein gum Shanaya ko ek haseen needh agayi aur jab tak woh soyi sirf Samir hi usske sapne mein usske saath the.

Samir Zameen par agaya subha 6.30 ko. Aur jaldi ghar gaya, ek shower liya aur tayaar hokar apni car start kiye, pump station gaya fuel bhara aur ek public garden ke taraf drive karte hue Shanaya ko call kiya. Tab tak 7.30 ho chukka tha aur udhar Shanaya ghar se nikal gahi thi.

Shanaya bus stop par thi jab Samir ka phone aya;

Samir: “Hi Good morning, keisi ho achchi neendh aayi nah?”

Shanaya: “Hmmm aur tumko?”

Samir: “han main bhi kuch ghaton tak so paaya, achah sunon XYZ public garden ka pata hai nah main wahan tumhara wait karunga okay? wahan pohuncho main wahin milunga okay thik hai wahan?”

Shanaya ne kaha okay woh aadhe ghante mein wahan ajaegi.

Ab Samir ko yeh pata nahin tha ke Shanaya ko usska chehra maloom hai. Ussne yehi surprise dena chaha tha ke bina naqaab ke usss garden mein apni car ko door chhupa kar khada rahega aur khud Shanaya ko chohunka dega usske saamne aakar. Magar Shanaya ne socha tha ke woh chaahe naqaab mein ho ya bina naqaab ke woh ussko bata degi ke woh usske chehre ko pehchaanti hai…..

Subha ke 8 baj kaar 15 minutes hue the aur Samir uss garden mein Shanaya ka wait kar raha tha bina naqab pehne. Kyun ke subha subha tha garden mein ek bhi aadmi dikhaayi nahin de raha tha. Woh garden Shanaya ke office se 5 bus stop pehle tha, to Shanaya wahin utar gayi aur garden ke taraf jaane lagi…. Woh kaafi door thi jab ussko Samir nazar agaya ek lamp post ke paas intezaar karte hue…..

Shanaya ne garden mein entry kiya aur ahiste ahiste apni bag ko kaandhe par zor se pakre hue kuch nervous feel karte Samir ke taraf badhne lagi….. Samir ne bhi Shanaya ko ate hue dekh liya aur jaan bujh kar dusri taraf dekhne laga, woh to sochta tha ke Shanaya kahin aur jaakar usske car ko dhundegi….. magar bilkool chohunk gaya jab Shanaya usske paas aakar bahot zor se ussko apne baahon mein jakar kar apne sar ko usske seene par rakha!!

To be continued………………..

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.