Update 5 Termination of training, but to stay stand by! Relax moments at last.​

Ek saal aur bhi kathin training se guzarne ke baad unn 12 Comandos ko permanently as Comandos appoint kiya gaya. Weise 17 the magar sirf 12 Comandos banney, baaki ko as guards rakha gaya ussi unit mein. Samir 23 years ka hogaya tha 24 mein mein kadam rakh chuka tha. Hafte mein 5 roz unit mein jana tha naukri karne ke taur par. Karna kia hota tha, kuch khaas nahin har roz parade aur exercises karna zaroori tha magar kathin nahin, body ko fit rakhne ke liye sabhi basic exercises karna tha aur hafte mein 2 din daudna padta tha kabhi 10 to kabhi 20 kilometres, yeh part of the drill tha. Aur hafte mein do din firing exercises bhi hote the. Han Samir sharp shooter ban gaya tha unn kathin training ke dauran hi. Ab shooting ko maintain rakhne ke liye shooting training hote the 2 din har hafte mein.

Weekend mein free hota tha magar, kabhi emergency hui to weekend mein call karne se turant report karna tha unit par. Unit mein Afzal usska best friend tha. To weekends mein kabhi woh Afzal ke yahan to kabhi Afzal Samir ke yahan paae jaate the.

Weekends mein donon khub relaxed dikhte the kissi ko pata nahin tha ke yeh Comandos the. Bilkool normal logon ki tarah pesh aate the donon. Apne muhalle ke baaki doston ke beech Samir weise milta tha jeise pehle mila karte the magar kum. Ziada tar apne ghar ke andar hi rehne laga tha Samir. Baaki ke sab 12 Comandos ka bhi wohi haal tha. Jeise unit se ghar wapas jaate to ghar mein kadam rakhne ke baad kissi ko baahar nikalne ka mann nahin karta tha. Bahot thakaan mehsoos hoti thi. 3 saal ki training ki thakaan aur ghutan unn sab ke andar jeise quaid the. Kissi se iss bare mein weh baat nahin karte the magar sabhi ke andar kuch dabe hue the jeise ek jwalamukhi jo kabhi bhi phat sakti hai. Weh apne unit ke doston ke beech bhi apne andar ki ghutan, takliff ko bayaan nahin karte the.

Ghar mein maa baap aur bhai behen se jeise doorie paida kar liye the sab ne. Baatein kum karte the aur apne aap mein gum rehte the. Jab pehla din Samir ghar wapas aya 3 saal ke baad to apni maa ki bahon mein der tak rota raha ek chote bacche ki tarah. Maa pooch pooch kar thak gayi ke “beta kia baat hai bata to sahi, kyun ro raha hai? Kia hua? Khushi ke ensoo hein ya koyi takliff hai? Ya hum ko 3 saal baad mile iss liye rona aya bol na beta?” Maa bhi ro rahi thi apne jawaan bête ko rote hue dekh kar, aur bhai behnon ka bura haal tha bade bhai ko rote dekh kar. Baap ko kuch kuch samajh mein araha tha magar apne seene par uss ne pathar rakh liya tha kyunke ussko thoda bahot khabar tha ke kathin training se wapas aya aur ab woh Samir nahin raha jo ghar se gaya tha 3 saal pehle! Aur dhire dhire sab ko samajh mein agaya ke Samir ab ek alag insaan ban gaya hai. Koyi kehta ke yeh maturity ki nishaani tha to koyi sochta ke shayad ussko kissi se pyar hai aur woh bata nahin sakta. Usski maa aur behen ne kayi baar poocha bhi ke agar kissi Ladki se pyar karta hai to bata de weh unnke shaadi karwa denge magar Samir jawaab deta ke woh abhi shaadi ke liye tayyar nahin hai.

Kuch eisa hi haal baaki ke 11 sathiyon ka bhi tha, unn ke gharwale bhi eise hi daur se guzar rahe the. Samir ke baap ne apni patni se baat ki, ke Samir ke liye ek Ladki dekhna chahiye! Aur bina Samir ko kuch kahe unn logon ne ladki talash karna shuru kar diye.

Ek weekend ko Samir ka baap ne uss se kaha kahin chalna hai. Samir ke papa ki car thi aur khud Samir ne drive kiya aur weh log kissi ke yahan gaye. Kissi ne Samir ko nahin kaha ke ladki dekhne jaa rahe hein. Samir ka baap ne Samir se sirf itna kaha ke woh apne ek dost ke yahan ja raha hai.

Sab se surprise wali baat yeh hai ke jiss ladki ko dekhne jaa raha tha woh ladki bhi shaadi nahin karna chahti thi aur apne papa se zid kiya ke woh saamne nahin aegi. Weise ladki ka baap aur Samir ke baap ne ek dusre se baat kar liye the.

Jab ladki ke ghar ponhuche aur samir aur family lounge mein baithe to ladki ka baap ne Samir ke baap ko ek taraf bulaya aur kaha ke usski beti inkaar kar rahi hai woh nahin ana chahti! To Samir ke baap ne kaha koyi baat nahin ussne Samir ko bataaya bhi nahin ke ussko ladki dikhaane ke liye laya hai. To donon baap ne faisla kiya ke do dost ki tarah donon apas mein baat chit karenge. Weise Samir ka baap ladki se mil chuki thi ussko pehchaanta tha, kyun ke kuch roz pehle woh aya tha ladki ko dekhne ke liye. Uss waqt ladki ko pata nahin tha ke woh kiss liye aae the.

Woh ladki koyi aur nahin hamari Shanaya hi thi! Tab woh 18 saal ki hone ko thi! Aur tab Samir 24 ko hone ka tha. To pariwaar walon ne tey kar liye ke sirf dost ki tarah milein aur ladke ko kuch pata nahin chalne dein. Magar Samir ko pata nahin tha par Shanaya ko to pata tha ke koyi ussko dekhne ke liye aya hua hai!! To hua yeh tha uss roz, ke ghar ke kissi ek kamre ke andar se parde ke piche chhup kar Shanaya ne Samir ko dekh liya tha. Aur Shanaya jab kissi ko ek baar dekhti thi to kabhi usska chehra nahin bhoolti thi. Kuch log eise sach mein hote hein jo ek baar kissi ko dekhne se zindagi bhar uss chehre ko nahin bhoolte Shanaya unn logon mein se ek thi. Aur yeh to khaas mauka tha shanaya ki zindagi ke liye to woh keise uss chehre ko bhool sakti hai? Baat nahin bani to weh log wapas chale gay ek choti si mulaakat karke.

Yeh wohi din tha jab Samir ke jaane ke baad Shanaya ke papa ne uss se baat kiye the ke kyun shaadi ke liye inkaar kar rahi thi tabhi Shanaya ne bataya tha ke woh aur padhna chahti hai aur apne peyron par khud khada hona chahti hai. To papa baaat maan gayi thi aur phone par Samir ke baap ko bataya tha ke ladki aur padhna chahti hai abhi shaadi nahin karna chahti. Magar Shanaya ki choti behen ne usske papa se bol diya ke didi chhup chhup kar parde ke piche se ladke ko dekh rahi thi. Tab usske papa ne poocha tha, “Agar tumne ladke ko dekha to bata keisa laga woh tumko?” Shanaya nazrein jhukaaye hue boli thi, “Thik hai magar papa main ne eisa kuch socha bhi nahin, main interested nahin hoon, ladka thik hai thoda sawnla hai magar acha lagta hai phir bhi mujhe abhi nahin padni inn sab baton mein. Agar ladka aur 6/7 saal wait kar sakta hai tab sochungi!” Aur tab Shanaya ke papa ne ussko bataya, “Ari ladke ko pata bhi nahin tha ke woh yahan ladki dekhne ke liye aya tha woh to yehi samajh raha tha ke usska baap mera dost hai aur who mujhse milne aya hai.” Yeh sunkar Shanaya heyraan hui thi. Aur phir apne papa se ziada sawaal poochne par pata chala ke ladka bhi shaadi ke liye abhi tayyaar nahin issi liye baap ne kuch nahin bataya tha ussko, magar unn donon ko ek dusre ko dikhana chahta tha ke shaayad woh Shanaya ko passand karle aur shaadi ke liye han kar de……

To uss roz Shanaya ne Samir ko to dekh liya tha magar Samir kissi bhi Shanaya naam ki ladki ko na dekha na pehchaanta tha!! To yeh donon kiss mod par aur keise ek dusre se milenge aur kab? Ab 24 se lekar 29 ki umar tak kia guzarti hai Samir ke zindagi mein?? Yeh lambi kahani hai… aage chal kar pata karenge…..

To be continued…………

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.