Update 32 Shanaya kidnapped​

Ek subha ko Shanayaa sar jhukaae bus se nikli aur bus stop se hokar ab office wale building ke taraf chal rahi thi ke achaanak ek car ruki thik usske bagal mein aur ek aadmi jisske chehre par rumaal ka nakaab bandha hua tha usske haath ko achaanak pakra……

Samir ne sab kuch thik se dekh kar weisa kiya, acchi tarah se dekh liya ke door door tak koyi aaguey piche nahin hai, tab Shanaya ka haath pakra, Shanaya chohunk gayi aur hath khichne ki koshish ki magar Samir ki mazboot hath se nikalna asaan nahin tha komal Shanaya ko…… Shanaya darri hui boli, “kaun ho tum chorro mujhe varna main chillaungi….” Samir ne ussko zor se khincha aur Shanaya chillaayi….. jeise chiillaayi Samir ne ek eisa thapad mara usski kanpatti par ke Shanaya ke bheje mein ek eisa goonjh utha jeise koyi bomb phata ho…. Aur ussko chakkar ane lagi aur girrne wali thi tab Samir ne ussko uthakar car ke saamne wale seat par bithaya aur jaldi se driving seat par baitha aur gadi start kiye. Ek admi jo dusre building ke office worker tha tab tak karib agaya tha aur Samir ko rokte hue kaha, “Kia baat hai bhai kyun ladki ho zabardasti le ja rahe ho?” Samir ne kaha, “Mind your own business she is my wife and we have got a personal problem!!” To aadmi ne kaha, “Oh! sorry then”

Samir ne apne car ki number plate badal diya tha ek nakli number se. Aur car start karke jaldi se wahan se nikal pade. Shanaya apne sar ko donon hathon mein dabaaye “aaaahhh” kar rahi thi….. Woh behosh ho gayi thi uss thapad se. Woh naazuk Shanaya jissko kabhi kissi ne chhua tak nahin woh itni nazuk thi ke kanta bhi ussko chhubne se darrti , weisi Shanaya ko ek eisa thapad laga jo shayad hi kisi ko laga ho kabhi… Samir ka trained hath, itna mazbut tha ke bade se bade mard ko bhi agar ek lagta to dusra nahin mangta kabhi, aur haal mein gadde khudne se , chaale padne se Samir ka hath aur bhi sakht ho gaya tha upar se trained tha ke keise maarna chahiye ke kissi ko eisa lage ke hosh udh jaye….

Shanaya ke maa baap ne uss par kabhi bhi haath nahin uthaya tha. Bade naazon se pali thi woh. Shanaya ko pata nahin tha ek thapad kia hoti hai.. usska sar dard karne laga aur dhire se enkhen kholke car se baahar dekhte hue apne naazuk awaaz mein poochi, “Hum kahan jaa rahe hein kaun ho tum? Kyun mujhko mara tumne? Main ne kia kiya?”

Usski awaaz mein itni komaltaa thi ke Samir kaafi heyraan hua aur magar ussko koyi jawaab nahin diya aur drive karta gaya central lock ka button daba kar. Samir ke sar par ek topi tha…. Assal mein woh topi nahin balke Comando wala nakaab tha jo woh sar se khinche to chehre par ajata tha aur teen chedh hoti hai ussme, do enkhon ke liye aur ek munh ki jagah par….. tab tak rumal bandha hua tha usske chehre par naak se lekar niche tak…..

Shanaya ko samajh mein nahin araha tha ke kia ho raha hai, ussko ab tak chakkar araha tha, ussko lagta tha ke zameen ghum rahi hai, aur kabhi din to kabhi raat lag rahi thi…. Ussko lagta tha ek khwab mein hai…yakeen nahin araha tha ussko ke kissi ne ussko agwa kiya abhi abhi…. Kaafi der tak woh ussi haalat mein rahi aur apne enkhon ko band kar liya khud ko bimaar jeise mehsoos kar rahi thi…..

Koyi 50 kilometres drive ke baad Samir ne car roka aur dekha ke Shanaya shayad neendh mein hai, ussko jagane ki koshish kiya aur Shanaya nahin jaagi to usski saanson ko check kiya aur usske dil ki dhadkanon ko suna apne kaan ko usski seene par lagaakar….. uss waqt Shanaya ki komal boobs Samir ke gaal aur kaan se laga….. kitni komal thi, nazuk thi, lagta tha ek eisa phool hai hai jissko agar haath lagaya to bikhar jaegi, tut jaegi. Lut jaegi….. Magar Samir ko eisa kuch nahin mehsoos ho raha tha usska lakshya kuch aur hi tha uss waqt….. to ussne car ko baahar se lock karke number plate badla beech raaste mein aur asli number wapas laga diya aur phir drive karte chala gaya…..

Koyi aur 15 mins ke drive ke baad Shanaya ko fir hosh aya aur kahaanrte hue pani ki mang ki….. Samir ne kaha “pani nahin hai mere paas….” To Shanaya ne kaha, “mere bag mein hai, kahan hai mera bag?” To Samir ne iss baar apne sar wala naqaab khinch liya apne chehre par tab piche mudhkar back seat par dekha jahan ussne Shanaya ki bag fenka tha…. Aur drive karte hue ek hath se bag ko khinch kar Shanaya ke goad mein rakh diya….. Shanaya ne mineral water ki botal se paani piya aur poocha, “Tum piyoge? Tumko pyas lagi hogi!” Samir ne bus ussko ghusse bhare nazron se dekha par jawaab nahin diya…..

Kuch der baad Shanaya thik hone lagi aur hosh sambhaalne par Samir ke chehre par dekhte hue poocha, “Kahan le ja rahe ho mujhe tum ho kaun? Apna chehra kyun chupaya hai?”

Samir ne ussko mote mote enkhon se dekhte hue zor se kaha “just shut up and sit quietly where you are! Don’t ask me any question!” Aur Shanaya chhup ho gayi thodi der ke liye….. Woh sochne lagi ke office mein log usske bare mein sochenge aur sawaal karenge ke kyun abhi tak nahin ponhuchi to ab kaha;

“Mujhe office ke liye late ho rahi hai mujhko wapas chorrdo please….”

Samir : “Aaj office nahin jaa rahi ho tum!”

Shanaya: “Kyun?”

Samir: “kyun ke main keh raha hoon”

Shanaya: “Tum kaun?”

Samir : “shut up”

Shanaya: “yeh bhi koyi naam hai bhala?”……. Achah Mister shut up, tumne naqaab kyun pehna hai?”

Samir ne ghusse mein kaha; “Tum bholi banne ka naatak kar rahi ho ya dimagh se paidal ho?”

Shanaya: “Pata nahin!”

Aur Shanaya idhar udhar dekh rahi thi ke Sheher se bahot door nikal gaye hein aur sirf hariyali dikh rahe hein aur door mein ek gaon jeisa…. Fir poocha….“Tum idhar kyun jaa rahe ho? Aur batao mujhe itne zor se thapad kyun mara tha tumne? Main ne to kabhi kissi ka kuch nahin bigara aur aaj tak mere maa baap ne bhi mujhe thapad nahin mare, phir tumhara haath hai ya hathoda? Main behosh hi ho gayi aur ab bhi chakar sa araha hai, sar mein dard ho raha hai…. Kyun mara mujhe tumne? Aur batao nah hum jaa kahan rahe hein?”

Samir ne koyi jawaab nahin diya to Shanaya ne kuch sochte hue kaha;

“Achah ab main samjhi yeh koyi TV game show hai kia? mujhko bakra bana rahe ho kia? camera kahan hai? Piche koyi car camera ke saath hum ko follow kar raha hai kia?” Aur woh piche mudh kar dekhne lagi….. To Samir ne firse haath uthaya jeise ussko ek aur thapad maarne ja raha ho… to Shanaya apne donon hathon ko apne sar par karte hue bilkool jhuk gayi aur intezaar kar rahi thi ke ab thapad parega uss par… aur kuch pal intezaar karti rahi aur dhire dhire sar ko upar uthakar dekhne ki koshish kiya ke Samir ka haath kidhar hai…. Magar woh to drive kar raha tha ……… Tab Shanaya ne apne bag se apna mobile nikala aur number dial karne lagi……

Samir ne ek baar dekha, phir raasta dekha fir se Shanaya ke haath mein mobile dekha, fir se raasta dekha fir Shanaya ko dekha ke woh number dial kar rahi hai to jhat se mobile par itna zor se mara ke thoda Shanaya ko laga thoda mobile par aur mobile niche gir gaya aur cover battery sim sab alag alag ho gaye…. Shanaya ne apne uss hath ko dusre hath mein lekar iss baar rone lagi yeh kehte, “tumhare hathon se itna choth kyun lagta hai, hath se mara ya lakdi se?!! tum aadmi ho ya jaanwar? Mujhe office phone karke batana hai ke main kaam par nahin arahi hoon varna woh log ghar phone karke poochenge ke kahin main bimaar to nahin?!!” Aur woh sar jhuka kar apne chehre ko haath mein lekar rone lagi…..

Ab Samir ne socha agar office walon ne usske ghar phone kar diya to mushkil ho jaega sabko pata chal jaega ke woh office mein nahin aur ussko dhudne lagenge… to jaldi se Samir ne apna mobile diya ussko aur order dete hue kaha “yeh lo karlo phone office ko aur khabardaar kissi se kuch kaha to….sirf itna kehna ke office nahin arahi ho koyi vajah mat batana…..”

Shanaya ne phone liya aur hath mein phone lete hi kaha,

“Number nahin maaloom!!”

Samir: “What? What the hell apne office ka number nahin maloom?”

Shanaya sar niche karte hue aur ensoo ponchte hue dhire se kaha, “Number mere mobile mein hai to woh yaad rakhta hai nah to mujhe yaad rakhne ki kia zaroorat hai? Usski memory ziada chalta hai mere wali se!!”

Samir ko bahot ghussa araaha tha aur ussne car firse roka ek gaon ke paas aur car mein Shanaya ki mobile ke purze dhundhkar sab thik kiya aur Shanaya ne office phone karke bataya ke woh nahin arahai hai kyunke woh ek TV show mein hissa le rahi hai….”

Samir ko ajeeb laga ke ussne weisa kyun kaha…… Aur fir car badhne lagi uss ganne ki khet ke taraf…. din ke 11 bajne wale the…

To be continued…………

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.