Update 11 Wedding of Samir & Samira​

Dosto uss din ke baad donon aksar milne lage jismaani taalukaat ke liye. Ek baar jo lazzat mil gayi to chhutna mushkil hi ho gaya aur shaadi ke ek din pehle tak eisa chalta raha.

Donon ko naukri se wedding ki chuhti mil gayi, aur dhoom dhaam se shaadi hui, Afzal ne ussi tarah se shaadi mein pariwar sameth saath diya, sabhi kaamon mein haath bataya jeise Samir ne Afzal ki shaadi mein kiya tha. Afzal ki biwi bhi saath thi. Bahot hi umda kisam ki pakwaan bane aur sabhi athiti behad khush hue…. Aur nach gana band baja sab first class the. Iss liye ke uss ghar mein pehli shaadi ho rahi thi to Samir ke papa ne behtarin intezaam kiye the.

Han, Shanaya ko samir ki shaadi ki khabar mili kuch din pehle, kyunke Samir ke papa ussko invite karne gaye. Ab shaadi ke roz Shanaya ke papa aur mummy jane se pehle bachchon ko tayaar hone ko kaha to Shanaya nahin tayyar hui jane ko wahan. Jiss din shaadi ki card aayi unnke yahan aur Shanaya ko pata chala ke Samir shaadi kar raha hai to ussne mann mein kaha, “Intezaar nahin kar pae woh koyi baat nahin tu nahin koyi aur sahi”…… phir bhi Shanaya ke dil ke andar ek tees si uthi pata nahin kyun; woh jalan thi ya udaasi usske samajh mein nahin aya uss waqt. Phir dhire dhire bhool gayi card wali baat ko.

Magar shadi ke roz jab usskepariwaar jane ko tayyaar ho rahe the to firse Shanaya sochne lagi aur firse wohi feeling hui usske dil ke andar. Jeise ek meetha dard utha, jeise shehed mein namak… bahot hi ajeeb kisam ki feeling thi…. Woh sochne lagi kyun usske bare mein soch rahi hai jabke woh kissi aur se shaadi kar raha hai….. Shanaya ko woh drisht dikhaayi di nazron ke saamne jiss roz apne papa ke saath Samir lounge mein baitha tha aur woh chhup kar parde ke piche se ussko dekh rahi thi aur Shanaya soch mein doob gayi aur usski zuban se dhire se yeh alfaaz nikle;

“Shayad aaj woh mujhse shadi karne ata agar main ne inkaar nahin kiya hota to!! Kia woh mujhe passand karta agar main usske saamne aati to? Kia woh mujhko passand tha ya hai? Aaj iss ghar mein shaadi hoti? Dhoom dhaam hulchul hota iss ghar mein? Hamare ghar mein shaadi main ne kabhi socha hi nahin!!!” Aur wohi usski chohti behen ne Shanaya ke zuban se nikli hui baat sunli aur kaha,

“Han didi aaj tumhari shaadi hoti aur hum sab khub rote jab tum vida hoti to!! Aur woh mera jiju hota – batao didi woh tumko passand the nah?”

Shanaya ne jaldi se apni chohti behen ke muhn par apne haath dabaate hue “ssshhhhh” kaha aur usske kaan mein dhire se boli,

“Tu wapas aakar mujhko batana usski dulhan keisi hai okay? Tum khub achchi tarah se ussko dekhna aur usski manners, smile, adaon ke bare mein mujhe batana thik hai? Samajh gayi nah?”

Choti bhen ne kaha, “okay didi main sirf ussi ko dekhungi magar missed jiju ko bhi dekhungi ke keisa dikhta hai dulhe ke dress mein aur wapas aakar tumko bataungi! Tum relax raho, weise tum khud bhi to chal sakti ho kyun nahin chalti hamare saath tum bhi? Chalo na didi!”

Shanaya ne inkaar kiya aur aakhir mein, usske ilawa sab chale gaye Samir ke shadi mein, sab ke jaane ke baad Shanaya udaas ho gayi pata nahin kyun. Sochne lagi ke kyun apni choti behen se weh sab batein kaha ussne? Kyun ussko unnke bare mein janne ke liye bechaini hai? Fir sochne lagi ‘kia woh mere kismat mein the? Kahin main ne apne kismat ko thukraya to nahin? Kia usska rishta mere saath upar se bankar aya tha aur main ne uss rishte ko thukra diya? Nahin nahin eisa nahin hota yeh mere dil ki vehem hai pata nahin kia kia soch rahi hoon!! Mujhe inn Sab chizon ke bare mein nahin sochna chahiye! Ufff!! Kia musibat hai kyun aya tha woh mere ghar uss din!!’ Aur Shanaya baaki ladkiyon ki tarah apne aap ko ek dulhan ke roop mein enkhen bandh kar ke dekhne lagi aur ussko neendh agayi aur a madhur sapna dekha ussne!

Sapne mein woh ek apsara thi aur usske parr the aur woh udh rahi thi baadalon ke beech. Fir ussko usska rajkumar unhi baadalon mein chuhpa mila. Woh rajkumar koyi aur nahin Samir hi tha!! Aur achanak woh drisht el bolywood duet ban gaya aur donon gana gane lag gaye :lol:

Udhte hue yeh gana gaya Samir ne Shanaya ki hath pakre hue baadalon ke beech,

Main ek chor tu meri rani

main ek chor tu meri rani

chori chori le chala main

tumko tumse hi churake

main ek chor tu meri rani

main ek chor :lotpot:

Aur udhte udhte weh Himalay ke peak par ruke, safed baraf se ghire unn narm mulayam cotton jeise baraf hathon mein lekar Shanaya ne apne part ka gana gaya bahot hi pyar se Samir ke enkhon mein dekhte hue:

tu mera raja main teri rani

tu mera raja main teri rani

chal pari main saath tere

sari dunya ko bhulake

tu mera raja main teri rani...... :laugh:

Phir udhte udhte ek hawai jahaz par ruke donon gane ko gate hue, wahan se sitare par baither phir chaand par gaye jahan yeh bol gane ki gaye donon ne:

hum donon ne dekha hai ek sapna

kahin pe chota sa ek ghar hai apna

angan mein utri hai chandni ratein

hum baithe karte hein prem kia batein

ye batein yeh ratein bhool jae hum

to hamein yaad dilana, bhool na jana..... :lol:

Aur achanak Shanaya ki enkhen khuli to woh gunguna rahi thi “tu mera raja main teri rani, tu mera raja main teri rani……. Aur jab uth baithi bed par to dekha yeh filmi song TV pe chal rahi thi!!!: :lotpot:

Magar kuch ajeeb sa assar hua usspar uss sapne ko dekhne ke baad. Jeise koyi ishara mil rahi thi ussko…. Woh fir se sochne lagi apne aap se yeh sawaal poochte hue;

‘Kyun aya tha woh mujhe dekhne uss din! Kitna khamosh baitha tha woh, ek lavz bhi nahin bola tha ussne, papa aur usske pita batein kar rahe the aur woh bilkool khamosh baitha tha, ek nazar idhar udhar bhi nahin dekha tha ussne…. Lagta tha usske dil par koyi bojh hai, khoya hua tha kissi khayaal mein shaayad man ka koyi peeda hai ussko… mujhe uss se baat karni chahiye thi….. sabse hatke the woh… bilkool baaki ke aaj kal ke jawanon ki tarah nahin dikh rahe the, rserved hai shayad, aur intelligent lag raha tha….kia kaam karta hai yeh bhi nahin pata papa se to main ne poocha hi nahin uss roz , to ab keise pooch sakti hoon……’

Ye sab sawaal ab Shanaya ko sata rahe the, magar ab to bahot der ho chuki thi wahan Samir Samira se shadi kar chukka tha.

To be continued…………………..

Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.