CHAPTER 1 - Arun, Uski Behnen aur Uske Man ki Awaz

Update - 1



Ek tej roshni jo ankhon ko dhundhla kr de, bahut tej ghumti hui gadi ek ped ki taraf ja rahi hai... dusri gadi me ek joker baitha hua hai, wo use dekhkar bahut hi tej hasne lagta hai.. wo hasi jo kisi ke bhi rongte khade kar de... ek dhamaka hota hai aur charo taraf aag lag jati hai...

Arun ek dum se apne bistar pe uth ke baith jata hai. Wo chillata ja rha hai aur apne aap ko hi marta ja rha. Pair idhar udhar kr rha hai. Puri body paseene se bheegi hui hai. Wo hawa me hi aag ko bujhane ki kosis kr rha hai.. fir jaise hi use realise hota hai ki wo sapna tha wo dheere dheere shant ho jata hai. Arun apni ankhon ko ragdta hai.

"Ek aur bura sapna", uske man se awaz aayi. Arun ko aise sapne us accident se abhi tak aa rhe the. Wo hamesha yahi sochta hai ki ye sapne aane kab band honge.
"Shayad kabhi nhi," wo apne aap ko bistar ke samne wale seeshe me dekhte hue btata hai.

"Tumhe muth mar leni chahiye,". Ye awaz hamesha madad to nhi krti hai.

Arun apne gal pe halke se marta hai. Is tarike so apni awaj ko punishment bhi de deta hai aur khud ko jaga bhi leta hai. Ghadi ki taraf nazar jane par pta chalta hai ki 5:30 baj rahe hain. Alas se wo bed se niche utar ke light on krne ja rha hota hai ki uske room ka darwaja halka sa khulta hai aur bahar ki roshni uske kamre me enter hoti hai.

Uski judwa behen Aarohi apna sir andar krke badi chinta ke sath uski taraf dekhti hai.

"Ise hamesha pata kaise chal jata hai?" Awaz puchti hai.

"Arun tum thik ho?", Wo aake arun ke bagal me bistar par baith jati hai. "Ek aur bura sapna?"

Arun apni nazrein niche jhuka leta hai. Wo aarohi ko pareshan nhi krna chahta. Aarohi kai mayeno me bilkul uski trah thi, aur kai mamlo me bilkul alag. Kabhi kabhi use lagta tha jaisa uska aur aarohi ka koi rishta hi nhi hai jabki duniya walon ki nazron me wo dono judwa hain. Udhar uski sir me us awaz me aise hi koi dhun gani suru kr di.

Wo dono bachpan se hi jyada se jyada time sath me hi rehte the. Isi wajah se unke friend circle unhe Double A keh kar bulane laga tha. Aarohi ko pata nhi hamesha kaise pata chal jata tha ki Arun udas hai. Uski baki behne ise judwa hone ka side effect batati thi. Arun bhi hamesha jan jata tha ki aarohi sad hai chahe wo uske sath ho ya nhi.

"Arun?"

Arun uski or dekhta hai. Wo use bahut hi gambheer tarike se dekh rhi hai.

"Hello...Arunnn."

"Hmm, sorry. Main thik hun, Bas wahi sapna," Wo thodi jhurjhuri ke sath kehta hai.

"Wahi dobara? Accident wala?"

Arun haan me sir hila deta hai. Aarohi uske kandhe ko pakadkar apna sir uske kandhe par rakh deti hai.
"Joker bhi tha kya?"

Arun ek halke se muskurata hai aur haan me sir hila deta hai.

"Tumhari aur joker ki dushmani hai kyu. Accident ke sapne me joker? Kya bachpan me joker ne mara tha kya?" Wo uski taraf dekhte hue bahut hi serious mood me puchti hai.

Arun halki si hansi ke sath use dhakka deta hai. Aarohi hamesha use acha feel krwa hi deti hai. Chahe kaise bhi.

Wo fir bhi darawani awaz me kehti hai, " Kya us shaitan joker ne tumhe uski badi lal naak chhune ke liye majboor kiya?" Aur dobara arun ko pakad leti hai.

Arun kafi tej hasne lagta hai aur use bed par dhakka de kar kehta hai "Nahi usne ye kiya tha," aur uski ped me gudgudi krne lagta hai. Aarohi bahut tej hasne lagti hai aur pich hatne ki kosis krne lagti hai.

Arun ko pta tha ki use sabse jyada gudgudi kahan lagti hai (dono judwa hain bhai).

"Uske pas boobs bhi hain,"
(aage se bold me likha hua part arun ke sir me awaz ki bat ko bataya jayega)

Arun ruk jata hai tab tak aarohi saas leni lagti hai. Arun sochta hai kya kisi opeartion ke through wo is awaz ko band nhi kr skta. Sayad use psychiatrist ki jarurat hai. Aarohi ko utha dekh wo dobara uske pet ki taraf hath badhata hai.

"Stop." Wo tej awaz me bolti hai. chehre me bahut badi smile hai. Wo uske hath par marti hai aur kamre se bahar jane ke liye darwaje ki taraf jane lagti hai.

"Dobara sone?"

"Ab jab tumne itni gudgudi krke jaga diya tab?" Wo uski taraf hath jhad ke chali jati hai. Darwaja band hote hi arun ko PAGAL sunai deta hai. Wo dobara bistar par let jata hai aur chhat ki taraf dekh ke sochne lagta hai..



Post a Comment

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.